Search This Blog

Wednesday, January 14, 2009

Haqeeqat


ek roz yon hua
khuda udaas tha
mohabbat asmaan ne ki
malayekon ne rab kaha
bhishtion ne sab kaha
phir ye tha kaunsa khula
kya chahiye takmil ke liye
kise dhundta hun mai
kya chahta hun mai
Noor ne muskura ke kaha
aaina chahta hun mai
tujhe paana chahta hun mai
khuda ko baat ye aai pasand
Noor takhliq ke liye hua razamand
Asmaan ke roub ne kaha
Rab hoga kis pe fida
Rab ko inkisaar tha pasand
Zameen se zarrat liye chund
Apne noor ko shaamil usme kiya
Yon zahur mehbub ka hua
Mohabbat naam uska rakha
Apni hi noor ka
khud deewana hua
Mohabbat azal se
Khudaaii may maujud thi
Ban kar Mehbub-e-do-jahaan
Duniya may jalwagar huii
Yon akseer-e-mohabbat
Bande ki Charagarh huii
Mehbub ki khatir
Adam aur Duniya bane
Mehbub ki khatir
Rab ne deen-o-dil chune
Mohabbat ka sila
Gar mehbub maangte
Uski rehmaton ka raaz
kaise pehchaante
Saare jalwe usi ki
Zaat ka Jamaal hain
Saari hikmaten Usi ki
wasaf ka kamal hain
Khud apne noor ko
Usne mehbub kar dia
Khud apni haqeeqat ko
Ser basajood kar dia
Samjhni ho agar
Raah-e-mohabbat tumhi
qaliq ke qurb ki
raah chunni hogi humen
tu paalega usey
apne hi amal may
Vo milta hai sab ko
mohabbat ki shakal may
Mohabbat ki haqeeqat
Bas itni hai dosto
Mohabbat bhi hai
Ek ibadat hi dosto


Mohabbat


Aye zindgi
Gar unwaan tera
Mohabbat hi hota
Na duniya may aate aate
Koii zeeh rooh rota
Gar waqi tu
Khubsurat hi hoti
Raat udasion pe apne
Yon phut phut na roti
Gar tu sunehra khwab hoti
Koii ankh phir na soti
Mohabbat mohabbat
kya jaan paya hai koi
aakhir in jazbon may
rakha hai kya
ghum-e zindgi ka
ek aur nasha
ek aur maza
warna ye ilzaam
kis per lagate
khaali haat aaye
khali haath jaate
gar waqi mohabbat
hoti jahaan may
ye be-kali si na hoti
kisi dil-e-badgumaan may
kahin koii soch
fursat bhi paa le
shaayed usey mohabbat ka
ghum hi maar daale
gar ho tou musibat
na ho tou musibat
tanha raha bhi na jaaye
tanhaiion may bhi milaaye
ke inhi tanhaion ne
samjhaii mohabbat
inhi tanhaion se
ki hai mohabbat
mohabbat kya hai
ek haseen tassaur
rang is may bhare hai
khud deewana mussavar
takhliq pe khud apni
gar nazaan hoga
ye jazba mere yaar
sirf ek gumaan hoga
mai chahti hun
ek baar mujh se
mohabbat mile bhi
sirf mohabbaton ki tarha
mujhe jaan le bhi
mai jaan lungi
pehchaan lungi
mai paigham lungi
mohabbat ko paighaam dungi

Thursday, January 8, 2009

Baat Phulon Ki




baat phoolon ki suna karte the
saath khwabon ke hua karte they
ek umr kati hai deewanon may
hum kaise deewane hua karte they

Wednesday, January 7, 2009

Her Sher Sukhanwar Ka


Her sher sukhan-war ka
khud apna bayaan hota hai
shayer dar perda takhyul ke
kaise kaise ayaan hota hai
Her zakhm mohabbat ka
ek ghazal gumaan hota hai
Dekhiye khoon-e-jigar in ka
Kaise kaise zyaan hota hai
her shab ghum-e-yaraan,
ek derd jawaan hota hai
surat ho koi arzu ki ,
phir sher kahaan hota hai
ye saleb hai chahat ki,
shayer qatal jahan hota hai
jahan jazbon ki ho hukumat ,
wahan aur sama hota hai
dam bhar may ye perwana,
kaise kaise dhuaan hota hai
ek umr ganwa kar shaayer,
phir se jawaan hota hai

Saturday, January 3, 2009

Mere Dosto

mere dosto mujhe tum bhula do 
ke mai kuch bhi nahi hun
zyaan hun bayaan hun
 

mai kaise bhula dun
ke
ab tak yehaan hun 

kya waqi ek zarra thi zaat meri zaya gaii 
kya bas itni thi auqat meri ke aai gaii 
haye kaash mai hoti saba
saath hoti tumhare 
haaye kaash dhoop hoti
sang hoti tumhare

haaye kaash raat hoti
tum hote sitaare
pehle tum se mila karti thi
shaam-o-sawere 

bazm-e-yaaraan ke laga karte they roz phere
khoja khud ko sada
sang pyaro 
tumhare 

tumhari shararton ne 
khole they raaz saare
mai jaanti hun
saath tumhara
moqadar se mila hai

tum si koi baat
kahin bhi nahi thi
perwaz ki chah may
ganwaye per bhi apne
tum si koii baat
wassaton may bhi nahi thi
na mil saki zamin bhi
qadmon ko apne

asmaan ki zid
dono suraton may nahi thi

chaand,tum jahaan they
mai bhi wahin thi

Friday, January 2, 2009

Yaad



yaad ka her kona
vo khurachne laga hai 
vo chund lamhe 
jin per zindgi thi nazaan 
hawa say khusbuon ki tarha 
vo apne sang le gaya