Search This Blog

Tuesday, December 29, 2009

Ye bhi ek daur hai





Ye bhi ek daur hai

Ye bhi guzar jaayega

Ye mast kharamaan waqt

Apni chaal badal jaayega

Is jism ka her ansar

Qatra qatra pighal jaayega

Be-khwaab in raaton say

Her khwaab nikal jaayega

rang badalte chehron ka

ek aur rang dhal jaayega

zakhm puraane kehte hain

Naya her derd behal jaayega

Zindgi ek musafir ka quba

musafir chola badal jaayega

mai ek haqeeqat hun abhi

mujh per bhi ye kal aayega

Saturday, December 26, 2009

Ye Dewanon ke khugar hain



Yaadon ke khaakon may
Aaj bhi chund taaza rang
naqsh-e-faryaadi ban kar
sana-kaari ka mazhar hain
ek be-rang si zindgani ka
ek az sar-e-nau jawaani ka
ek naii dil-kash kahani ka
ye khayal pas manzar hain
inhi se udhar dilkashi le kar
sajte hain khwab ye mosam
khahishon ke safar per in ki
udanen be-baal-o-par hain
kabhi hosh ke dushman ye
kabhi maikash ka pyala ye
kabhi pyaase ka dilasa ye
ye dewanon ke khugar hain

Friday, December 11, 2009

Guzre mosamon ki



Guzre mosamon ki
Saughaat naii le kar
Phir lo aagaye hain
Wahi qafiley bahaar ke
Veeraan gulshanon ko
Mil gaye hain ishaare
Hum hain tumharey
Wahi Saathi pyaar ke
Na ahad hai wapsi ka
Na ummid ka safar hai
Phir bhi humsafar hain
Wahi saaye etebaar ke
Derd Saahilon ka purana
Darya apne safar ka aadi
Tufaan ke maajhion se
wahi naate dulaar ke
her lamha naii kahani
deewanon ki eksi zindgani
ishq aur bekhudi ke
wahi rishte khumaar ke

Wednesday, December 2, 2009

Mai ishq ki surat hun zarur



Ya sada thi ek khayal ki
Ek khayaal ki thi ibtida
Khayaal hi khayaal may
Taraash liya ek dilruba
Ab zamaane se kya kahun
Khayaal ko tu kaise mila
Raaz-e-haq jaanta nahi koi
Izhaar usi se hua tha barmala
Mai ishq ki surat hun zarur
Mai hun niyaton ka sila
Mera aks tera khayaal hai
Tera Dil hoga meri sada
Qaasid hun tera pyaam hun
Tera lafz lafz meri dua
Ajib dastaan hai ye zindgi
Her arzu may khuda mila
Jub khayaal rubaru hogaya
Phir koii perda na raha
Aain qudrat ke ek rukn ka
Mera sukhan hai silsila