Search This Blog

Sunday, August 30, 2015

is tu tu mai ki kahaani ki'......






Un khaali khaali ankhon may
Phir se koi khwaab jagayegi
wahi chaand phir kal ubhrega
chaandni dil may uter aayegi
aaj ki shab khaali haath sahi
Kal koi subah sitaara laayegi
is tu  tu  mai ki  kahaani  ki
saari umr laa-haasil jaayegi
Deewano duniya zaahir hai
Apna Izhaar Tum se  paayegi
koi tadbeer karo na manzil ki
Is rasam ki raah nikal hi aayegi
tere waade per kaamil emaan hai
ye duniya tujh se hi shafa paayegi

Wednesday, August 19, 2015

kardo kardo karam....







hai baad qadam-bosi ke ye arz hamaari....
Rahbar yaad dilaata hai her roz tumhaari...
anmol hai aapke taaj ka vo shah nageena
usi may doob kay paaya hai apna safeena
kya maangte hum dekh ke sarkaar ki surat
aap ke dar se hi mili hai is dil ko baseerath
ek amal hamesha ke liye ho gaya qaayem
derd ke badle taaseer-e-dua hogai daayem

Saturday, August 8, 2015

yaad aa raha hai....................




phir yaad aa raha hai un ankhon ka istejaab
us tapti dopeher may nikal aya tha mahtaab
pas manzar tha charsu ek khilta hua gulaab
maano us lamha chat gaya ho rooh ka hijaab
ajab moqam tha bhul gaye alamon ka hisaab
ek muztar ko uda le gaya vo noor ka sailaab
mere sohne rab ki hikmat ka koi nahi jawab
sharf adam ka kabhi zaaya na ho saka janab

Tuesday, August 4, 2015

roz ek taqaza karte ho.................





roz ek taqaza karte ho
roz dawa ki zid karte ho
per marz apna hai nayaab
her roz hai roz-e-hisaab
jub dil shikwa karne lagta hai
ek aaina ankhon may khulta hai
dekh aye baatin tere sitam
rooh ko diye hain tune zakham
kaash jawani hoti na ghum
kaash ye bachpan jaata thum
aane ko mod sunehere bhi aaye
mosam malhar darbaari bhi gaaye
panchi sa dil gaaye haaye vaaye
pal may phir wahi haaye haaye
koi kahan baandh saka lamhon ko
jub dil ne par they apne phailaaye
ek jast ki bas doori thi
hum hote aur unke saaye
taaron se bhi baatein hoti theen
chaand se mulaqatein hoti theen
badal door se lalchaate they
ek ek buund ko tarsaate they
rahbar dil dhona chahta tha
so roz lahu rulaata tha
ek roz qayamat se bhi mile
us lamha saare armaan jale
bhasam huye khahison ke marz
usne yaad dilaaye ulfat ke farz
usne hans hans kar ye samjhaya
bas ek raaz hi apne haath aaya
sabar ka phal meetha ho na ho
ezaaz zabt ka wahi kehlaaya
ek jahaan ki hasrath may
dono jahaan se jaaoge
gar khud ko samajh jaaoge
dono jahaan khud may paaoge

Monday, August 3, 2015

vo waqt aur tha.........................





ab shayed koi geet hum gaa na sakenge
ab shayed koi baat hum bana na sakenge
zindagi samajh rahe hain teri chaal hum
shayed ab teri baaton may aa na sakenge
vo waqt aur tha hum jis ke ghulaam they
Aaj koi zanjeer khud ko pehna na sakenge
hosh ke nakhun,dawa,sab le chuke hakeem
beemaar ko phir beemaar bana na sakenge
yaaron ne jo diya qismat samajh ke rakh liya
ab dushman ka koi ehsaan utha na sakenge
sadion ke baad bhi zindagi ki surat wahi rahi
ek tere siwa koi surat dil may basa na sakenge
mudat hui teri deed se dil ko roshan kiye huye
ab shayed vo  khwab may bhi aa na sakenge
jub bhi uthaaye haath tujh ko kiya hai yaad
ab shaayed tere ghum humen rula na sakenge

zindagi humne aaj tujhe ......................





zindagi humne aaj tujhe 
teri nazar se dekha hai
husul se behter hai faham
aaj tujhe ghaur se dekha hai

apni nazr may thi duniya saudai
her nazar ilzam her khata ruswai
ek apne siwa her ankh nazar aai
raah dekhi na,sada thokar khai

log perdon ko tamasha karlenge
apne ilzam kisi aur pe dhar leinge
ek dusre ki khushi ku har lenge
bemaqsad hi gunaah apne sar lenge

soch ko jo manzar dikhaaye humne
khud may wahi khwab jaagaye humne
ek umr ganwa kar tujhe paaya humne
teri khatir bada khud ko sataaya humne

yaqeen hai bas ek aapki hi surat........................





mere sarkaar aapko hai darkaar
na-jaane kyon ki wahi takraar
karam beshak khamosh ho laikin
shafa ka ho kar rahega izhaar
mere yaqeen ko na rondo sarkaar
ye khayal jeena karde na dushwaar
yaqeen hai bas ek aapki hi surat
aap rakhte hain meri khabar sarkaar
sunaayenge agar hum daastaan apni
kahin zikr aapka bhi na aajaye sarkaar
khayal to gum they adam ki duniya may
unke hast ka bolein kon hai zimmedar
isi bahane dekhli zindagi humne teri surat
nadan warna khaali haath jaate sarkaar