ye sakut hai ajeeb sa
ye sama-aton ko kya hua
ek teri khamoshi ne humnawa
mujhe tamaash-been bana diya
goyaii ka haq goya zindagi ku mila
hume mar mar ke jeena sikha diya
na-shukrey nahi hain hum ba-khuda
humein yaad hai tera karam teri atta
saraab nagar may ek umar cut gaii
ab haqeeqaton ka bhala kya faida
hosh-o-hawaas saath tum le gaye
ab is paikar ko naam kya dain bhala
ajab kashmaksh may hai waqt bhi
lagta hai kuch bhi kisi ka na raha
muh mod kar chal diye saaye sabhi
koi hamara na raha hamaare siwa