Koi sapnon ki nagri se
her dum bulaata hai
Meri soii raaton ko
Koi phir se jagata hai
Kehta hai kya hua akhir
Ye waqt sab per hi aata hai
Ghanimat jaan waqt ko nadaan
Gaya waqt waapas kub aata hai
Hosh ko abhi bade kaam karne hain
Insan hi insan ke kaam aata hai
Yon Ganwaane se khud ko kya haasil
Ghum e duniya May ghum bhul jaata hai
Tera Muntazar hai waqt aye dil e muztar
Soch Khuda her dil kyon mokhtalif banata hai
Jaane waale ki ab tu nahi manzil
Bhala Tujh se kahan ab un ka naata hai
Zindagi se mila jo bhi lauta ke jaana hai
insan khali haat aata hai khali hath jaata hai