Search This Blog

Tuesday, October 28, 2014

bas ek dhaal hai tere daman ki..............



kholi ankh tou uff kya dekha
bas darya tha na kinare they
bas saath kamzor sahare they
kaun humko paar lagayega
in maujon say koi kya payega
ye to waqti tez dhaare hain
ye bhi tufan ke aage haare hain
bas ek dhaal hai tere daman ki
dheemi chaal hai tere kherman ki
phir bhi mazbuti se tune thama tha
tere saath  mun mast kharaman tha
ye ehsaas ke darya laakh muhzor sahi
usey tujh se takra ke thak jaana tha
ab saare derd kaif ki manzil paalenge
ab saare zakhm teri mehefil saja lenge
ke tujh ko khabar hai is jhilmil ki
ke tujh ko khabar hai is bismil ki

Sunday, October 26, 2014

roz ek khwaab sanwarta hai.............




roz ek perda girta hai
roz ek rishta marta hai
roz ek shajar hara karta hai
roz ek sukha patta girta hai
roz ek takraar hai jeevan ki
roz ek khwaab sanwarta hai
roz ek dore bandhi hai dil se
roz ek bandhan tuta karta hai
roz ek saaya hai deewaron pe
roz ek deewar giraaya karta hai
roz ek jung hai dil ke khanon may
roz ek ek ahad aahen bharta hai
roz ek yaad hai tere qutbon ki
roz ek daras le ke ubharta hai
roz ek taara dooba in ankhon may
roz ek naya chaand khila karta hai
roz ek naye kal ka waada hai
roz ek irada raah dekha karta hai
roz ek naya tamasha hai duniya ka
roz ek purani baat bataya karta hai

Wednesday, October 22, 2014

kya bataun tum ko mai ke haal kaisa hai....................





kya bataun tum ko mai ke haal kaisa hai
is khushrang mosam may malal kaisa hai
nabz ashna jaanta hai dhadkanon ki laye
her ehsaas hairan hai vo kamal kaisa hai
rukti huii saanson ko vo rukne nahi deta
apni ankhen malta hua ye visaal kaisa hai
dum todti ummid ke moqabil yaad hai uski
gar mohabat imaan hai to sawaal kaisa hai
talab ki justaju gar zaaya kardegi haasil ko
phir khuda bande ka rishta lazawal kaisa hai
sada in khayalon se goya hai teri khamoshi
ek rishta unsuna hai per bemisaal kaisa hai

Thursday, October 16, 2014

vo kal aaj bhi gunja karta hai..................







vo kal aaj bhi gunja karta hai
vo kal aaj bhi khwab sa lagta hai
vo kal aaj bhi dil ki shadabi hai
vo kal aaj bhi dil ki bazyaabi hai

Aah koi dil suna karta tha
koi saath aahen bharta tha
koi pehlu mehkaya karta tha
koi ankhon may rang bharta tha

sab tab ki ye baaten theen
jub din apna tha apni raaten theen
chahe chund hi mulaqaaten theen
tamam umr ki saughaaten theen

jis per pathjhad ka saaya tha
ek naya mosam us per aaya tha
ek buund mangte ka sarmaya tha
wahi buund luta kar aaya tha

kyon apni ummid pe roya karta hai
kyon khud ko in may boya karta hai
kyon apni khamoshi goya karta hai
kyon bekar daman bhigoya karta hai

faqat ek dawa hai tere zakhmon ki
bas hai ek hi marham bechaini ka
apne hawason ko phir kal se mila
wahin maujud hai tere ghum ka sila

Friday, October 10, 2014

Zindagi phir shaam huii jaati hai..............





Zindagi phir shaam huii jaati hai
namukamal tamaam hui jaati hai
kaun ab ghaur kare haasil kya hai
jitni guzri tere naam huii jaati hai
umar waqi dhoke ke siwa kya hai
koi aah jaise nakaam hui jaati hai
zindagi dhundte hi rahe tera jawab
ek sawal per hi tamam hui jaati hai
kitna siffak tha daanavon ka qalam
koi tegh jaise be-niyam hui jaati hai
daman-e-taar se lipte hain khaar kai
yehi rasm-e-ulfat pyaam hui jaati hai

Wednesday, October 8, 2014

Tabeeb mera..................




Tabeeb mera khafa hai
Magar umid-e-shafa hai
Taalib saraapa iltija hai
Abadi adna,aala dua hai