Search This Blog

Saturday, April 13, 2024

jaate jaate ye tamasha bhi aam kar jaayenge....

 


kahan socha tha aap raah apni alag kar jaayenge

Kahan socha tha Zindagi se meri guzar jaayenge

Is tarha ek teer aur is ristey dil per chalayenge

log kehte hain sath waqt ke zakham bhar jaayenge

akhir khaali ankhon ke ilzam kis ke sar jaayenge

jaate jaate ye tamasha bhi hum aam kar jaayenge

asan nahi tha un ka mujh se bichad jaana yon

ek umar le kar meri,akhir kaise mukar jaayenge

kya mai samjhun ke ab yaad unko kuch bhi nahi

ya udaas shaamon may chupke se uter aayenge

meri tanhaion ko bana lenge mohabbat ka gawah

ya apni khamoshiyon ko mere naam kar jaayenge

aye dil kise tha patta hum jeete ji mar jaayenge

vo zameen ki aghosh ko apna miskin banayenge

Darmyan asman aur zameen ke hum rah jaayenge

saathi umar bhar ke hum ko akela kar jaayenge

aye mosam-e-gul bata....




mere derd ki koi dawa nahi

is se pehle kya hua hi nahi 

ye itna bhi ab sawa  nahi

phir tou ye gila,gila hi nahi

--------------------------

aye mosam-e-gul bata

isme meri kya thi khata

arzu gulon ki tha chaman

gulon se ishq khizan ko bhi tha

pathjhad ka khauf dono ko tha

ek duje se bichadna taye jo tha

mosamon ki jawani thi mokhtasar

gulon ka husn bujhta hai peshter

khilti kaliyon ko bikherna bhi tha

daliyon se ekdin bichadna bhi tha

jaate jaate meheka gaye kitney dil

mehefil may sama unki khushbu se tha

qurbani koi rayegaan kabhi jaati nahi

ishq ke husn ko kabhi maut aati nahi

Thursday, April 11, 2024

ye daur bhi abur kar hi lenge....

 



koii ahat  na ummid-e-nau koii

bas sunnata aur hu ka alam hai

-------------------------------------

yon hi hota raha hoga is waqt-e- faani may

ye daur bhi abur kar hi lenge  zindgani may

rishta saayeban ka  deewaron se hai qayam

kya saaye sirf saath chalte hain  jawani may

takmil ke liye apni,adhure baab koshan hain

be sar-o-pa be-rabt unwan hain kahani may

akhir kyon jeena bhi mushkil  hai marna bhi

be-kasi ne maza paaya bhi tou lun tarani may

manzilein ehsaas ki taye hoti hain sherton per

her roz milta hai ek daras namkeen paani may

"wahadahu lashareeka lahu"pe hoti hai ibtida dil ki

agar samjhe tou hai faani madghum laa-faani may