Search This Blog

Saturday, June 20, 2015

hawa ched na tufaan..................





hawa ched na tufaan ko apne jhonkon se
puraana  waasta hai in ka aise dhokon se
barasna hi moqadar hai to khul ke barsenge
kahan ghabrate hain badal aise mauqon se
aao karo masmaar qila jo khud hai girne ko
koi tasveer ubhar na aaye in jharonkon se
be-niyaam hokar jo chake hai maza jigre ka
vo talwaar uthaii jaaye na laakhon se
maana sitam ka ek aur perda karam bhi hai
laga ke ilzam nazar aaye khair-khahon se
meherbaan ek wahi hai saare zamaane may
gar vo chahe to uter aaye khaali ankhon se

Tuesday, June 16, 2015

shah-e-jahan khair se ho aapki amad.......







shah-e-jahan khair se ho aapki amad
phir se mubarak ho aapko meri hukumat
sau jaan se karte hain aapka khair moqadam
jaan gaye aap ke dum se hai mera dum
kaise do lafzon may simat aayi hai meri kahani
na raha umr ka shikwa na yaad rahi koi jawani
bas yaad raha ek aapko hi maangne ka taqaza
zindagi chahe rahi ho nadan chahaton ka taqaza
apnaye sada aapki beloose mohabbat ke hi zewar
hasrathon ne laakh dikhaaye zamaane tere tewar
meri doobti hasti ka kinaara wahed aap ho saheb
meri adhuri qismat ka sitaara wahed aap ho saheb
yarab tera karam sada mera rakha tu ne bharam
tujh se behter koi kya jaane tere kya hain hum
sada rakhna hum per apni shafaqat ka ye saaya
ban ke rahbar tu hamaara sada saamne aaya

Tuesday, June 9, 2015

deewangi ko hosh kabhi na mil sake.................







tujh ko aye zamaane
mai kya suna rahi hun
mere khayaal ki be-khayaali  
manzar-e-aam laa  rahi hun
kya waqi hai ye be-khayaali
ya tujhe sheesha dikha rahi hun
jibilatein kahin muh na mod lein
so khayaal per perda gira rahi hun
deewangi ko hosh kabhi na mil sake
so khud ko deewana bana rahi hun
kya duhaii dun, aur tere shauq ko 
roz ek barchi tujh ko thama rahi hun
hukumatein tujhe na raas aayengi ghulam 
mere aqa ke rubaru sar ye jhuka rahi hun

Monday, June 8, 2015

tere mere darmyaan theen jo baarishein......




tere mere darmyaan theen jo baarishein
vo aaj bhi dhundti hain apni zameen
unhen gumaan tha ke barsi theen kabhi
vo aaj bhi dhundti hain apni numi
koi derd kahin tha bheegta hua
kahin gunjti rahi madham si hansi 
ajab tha qurbaton ka apna mizaj
vo lamha bana raha phir bhi ajnabi
zindagi ne daman apna bacha liya
vo baarishein kahin aur baras hi gayeen

Monday, June 1, 2015

ishaara kar rahi hain nishaniyan.....





ye  zindagi  hai  bati hui
isey bantna hi shaoor hai
wasaten iski jitni badheen
isey mangnna hi dastoor hai
mohtaat hain jo daana-e-waqt
ye unke ahwaal ka qusoor hai
ye faramoshi unki naii nahi
ke admi azal se kamzor hai
askh shikwa hain na kar byaan
derd maqbool rab ke huzoor hai
ishara kar rahi hain nishaniyan
ummid ki manzil nahi door hai