Search This Blog

Tuesday, July 29, 2014

tu na rakh aye munafiq...........







tu na rakh aye munafiq meri namaz ka hisaab 
teri namaz dhong hai mera her fale hai namaz
jalwa-e-kibriya hain zakhmi qalb-o-jigar ye mere
mere zakhmon se chedkhani ka dhund na jwaz
ab tak shermindgi ka jisne chakha ho na zayeqa
sajdon ki haqeeqat ko bhala kya samjhe vo majaz
ye aag dil may rakh na is ko sholon may tu badal
is se koi na bach saka ke phailna is ka hai mizaj
maana ke patharon ne banaya hoga tujhe pathar
hum bhi qudrat ke usulon ka nazara karenge aaj
hum ne barha kohsaaron ko azmaaya hai kohsari
patharon may bhi gul khilana hai mehbub ka andaz

Thursday, July 24, 2014

Vo phir awaz de raha hai.................











ye kon bandh kiwaden
dheere se kholta hai
ye kon awaz de raha hai
madham si dhadkanon ko
mayusion ke andhere
lamhabhar ko chat gaye hain
mubham si koi kiran hai
jo ummid ban gaii hai
ek taar phir se chid gaii hai
jo khayal se mil gaii hai
un ankhon ki chamak may
manzil gum ho ke reh gai hai
ya yon bhi dil keh raha hai
unhi may manzil mil gaii hai
mujhe sada hi ye yaqeen hai
tu dil ke paas hi kahin hai
is subah shaam ke safar ka
tu shahid hai mere raston ka
tujhe mere lamhath ka patta hai 
jahan maine khud ko kho diya hai
ye waqt mujh se chin gaya hai
mere wajud se mukar gaya hai
azab se ab dar nahi lag raha hai
ke yehin se shuru vo silsila hai
vo ankhen ummid ki hain taalib
jahan khayal ko tu mil gaya hai
derd ka ye sauda bura nahi hai
khayal behlawon ki hi sayee hai
chalo do pal ummid ke shajar se
ek saaya hum bhi chura lein
do ghadi jaati huii saanson ko
hum teri awaaz dekar bula lein
ke ummid bhi ek arzoo hai
aur mohabbat arzoo nahi hai
mohabbat inaayet hai roshni hai
ye wahed ummid daayemi hai

Tuesday, July 1, 2014

ye Moqam hai makan nahi.....



ajab makhlukh hai maula teri
ajab hai tere khalkh ka carvan
saara jahaan bana adam ke liye
phir bhi adami dhundta hai makan
chuntiyon ne khoja zameen ka raaz
parindon ko kaafi na hua asmaan
tinkon ki niyu per bichaaye apne parr
apnon ke liye banaya haseen ashiyan
ghaaron ko banaya miskin shah-e-dasht ne
chopayon ne kaha hum bhi lamakaan
adami ne seekha inhi se saleeqa-e-zindagi 
adami insan bana inhi ke darmyaan
ye dar ye deewar kya banayenge ghar
ye hai bas aam sa khahishon ka kunwaan
gar adam ke seene may karwat na lega dil
uska thikana na ye zameen na vo asmaan
ye zarurat nahi hai adam zindagi ki teri
ye tera moqam hai ye tera makaan
khuda ka ezaaz hai ye hasti teri 
teri hasti se qaayem hai tera jahan
zamaane ki gerd may isey na malus kar
ke teri raah may hi hai teri manzil ayaan