Search This Blog

Sunday, November 23, 2008

Mohabbat-Kada



halaath,daur,waqt,kya mashre ki dane hain
mashra inse hai ye mashre ke ameen hain

mohabbat se bhi pehle mohabbat-kada tou ho koii
makaan ki azmat se be-khabar kaise makeen hain

sadiyaan,insaan dhundti raheen,in rishton ke beech
badalti ruton ne kaha humi inki zameen hain

safar bas rahe zaad-e-safar ki chah kyon
umr ek dhoka sahi ye dhoke haseen hain

khwab ghaflath ki hi talab,phir ajab kya
iblis hukmaran nafs per,sajdon may jabeen hain

sau jhoot bol kar haasil hua ek sach
sharf basher ka kahe tere jurm sangeen hain

halaath per ilzam hain,qudrat se hain gile
be-yaar madadgar hum rahe kahaan hamare moin hain

inaayeten bhi mileen,aur sohbaton ka faiz bhi
rehber ke saare sabaq samjho tou dil-nasheen hain

sharr takhliq-e-adam se bhi peshter paida hua
dastur-e-kainaath,ye hikmaton ke aain hain

ek apne siwa dhunda zamane bhar may khuda
“chaand” aagahi ke raaste mohabbaton ki dein hain

Thursday, November 20, 2008

Tum ek Khwab ho


Tum ek khwab they khwab ho
ankh khulte hi ojhal ho jaoge

yaas ka ek lamha hun mai
mujhe kab talak tum rok paaoge

waqt ki giraft may jo na asaka
us dil se bach ke kahaan jaoge

ansuon se bhi daagh dhul na sake
ab inhen kis tarha tum mitaoge

ret ki tarhaa jo sarak hi gayaa
kya vo pal tum phir de paaoge

dil chahe khatam na ho raat ye
"chaand" khwab may hi sahi mil jaoge

Zamana

Tez-Raftar zamane ki
is uftad tabiyet ne

kitne fitne jaga diye hain
paas ho kar bhi
koi paas nahi hai
Fasiley kitne badha diye hain
Paane ki tamanna nay,
is khone ke khauf ne
Khwaab kitne ganwa diye hain
yehan teri nahi zarurat
yehan meri nahin zarurat
Insaan kitne bana diye hain
dekh Parwaaz ke liye
wassaton ki caha mein
Aasman kitne ganwa diye hain
Arsh-o- farsh ki ye
jiddatein nai nai hain
“Chaand” kitne saja diye hain

Lazzat-e-Ishq

Lazzat-e-ishq gar gunah hojaye
kabhi hum sey bhi ye khata hojaye

Aqahl–o-shaoor ka ab tou Khuda Hafeez
Ishq ki her ada Khuda hojaaye

Parwana jala shamma,bas saher hone tak
Soz-e-ishq mujhe umr-bhar ka atta hojaye

karam,gar daman-e-yaar haath aajaye

“Chaand”kyon na derd aur sawa hojaye

Talab-e-nafs

Meri jaan mana kay qurb,talab-e-nafs hai
Azadi-e-qalb na ho to zindagi qufas hai

taa-umr na khatam ho tamanavon ka wajud
In ki badaulat zindagi mahaz ek hawas hai

Safar-e-hayat mukhtasar,aur takhaze hain bahut
Ek ek ki takmeel sau sau baras hai

rab ka faisla hai seene may dil bhi ho
Aur farman yeh,saath iblis ka najas hai

Gar ishqh hai jahed,dil maidaan-e-karbala
“Chaand”ki had aakhir yehin pe bas hai

Na chino Nadano


na chino naadano mujh se jawani meri
bade naaz nakhron say ruki hai abhi

jo jaa ke na aaye ye vo bahar hai
ishqh ki fiza may doley hai abhi

khubsurat hai ye be-wafa zaalim ada
her nazar us ki mehbub hai abhi

qatal mehboob,is ne kitney kiye
her waar is ka kaari hai abhi

husn ko hai ibadat ka darja diya
aur khud kaafir bani khadi hai abhi

lamha lamha jeene do is mein mujhey
zindagi ka is mein maza hai abhi

vo meri hum safar hai hamraaz hai
“chaand”kabhi ruki na ruke hai abhi

Sadaf


Saghar se kub bujhe hai
sadion ki tashnagi
Door-ras Na-khuda ne kashti,
saagar may utardi
le dubne ko bhanwar,
khahishon ke be-qarar they
durr-e-ashiqi ki khoj may,
sadaf ne umar guzardi

Wednesday, November 19, 2008

Aadhe Adhure Insanon Ki...

Aadhe adhure insanon ki ye basti hai
giraan mohabbat,sasti bas ek hasti hai

ek sawal hai bachpan khwab jawani hai
umr hasraton ki chakki may peesti hai

gar tamgha hai faqeeri seene se laga
thokraon may phir kyon uski hasti hai

hikmat teri aur zadd per dil kitne
ek ishaare ko tere khushi tarasti hai

acha aur bura dono maa-jaaye hain
sabar ki hi kami bure may disti hai

de kar zehn-o-dil faqat badnaam kiya
anjaam-e-zeest ki dore qudrat kasti hai

meri tamanna her dil ko mile yaqeen
kaamil imaan, aala, afzal ,haq-parasti hai

ghum ke maron ko mile maseeha phir
is inaayet ke badle qayamat sasti hai

payaam mohabbat ka ho her dil may
dayar-e-ulfat may rahmat teri barasti hai

sau khwabon per ek atta bhari hai
tu jahan"chaand"wahin pe basti hai

Vo Aaina sa....

jub us se baten karti hun
ek aaina sa lagta hai

is anjani dil ki basti ka
koi aks purana lagta hai

apna yahan kuch bhi nahi
ye naya zamana lagta hai

hosh ki baaten jub karti hun
ye dil deewana lagta hai

kya waqi ab tak zinda hun
khwaab sa jeena lagta hai

ab aur kuch yaad nahi
ek naam suhana lagta hai

ek hadisati lamha jaise koi
ulfat ka zamana lagta hai

teri qurbat ka daur haseen
"chaand" ab fasana lagta hai

Tuesday, November 18, 2008

Zindagi


zindagi tujh ko
bahoot dhoonda humne
baad muddat ke
yeh baat khuli
tu har rang me
mere saath hi thi
dil ke tukdoon me
tu hi nazar aai thi
ankh se tapke ansoon ne
tera hi aqs dikhaya tha
khuli aankhon se khwaab
tune hi dikhaye the
bandh aankhon se faisle bhi
tune hi karaye the
zindagi tune bada majboor
kiya tha hamko
hamne tere har rang se
pyar kiya tha leikin
tera koi bhi roop mere
haath na aaya tha
jaane kya baat thi hamesha
tune mujhe mayus kiya
maine jab bhi lapakna chaha
tujh ko pakadna chaha
par tune kabhi meri bahon mein
na anaa chaha tha
jaane wo kya
haalaat the tune
mere ehsasath ki duniya mein
tehelka machaya tha
har rishte ki har daur mein
pehchan karaii tune
har chehre ko tune
aaina dikhaya tha
kaash tune ye zulm
mujh pe na kiya hota
kaash meri ummeedon ka
bharam rakh leti
khushiyon ka sayaa
kyon uthaya tha
aye kash mera dil ban kar
mehsoos kare mujhko
har dil mein mera dard tune
kyon na jagaya tha
jane tu kab mujh ko
mehsoos kare pyari
muddaton tera intazaar
aankhon mein samaaya tha
haaton se tere dor
phisal na jaaye kahin
daman mere hathon se
chut na jaaye kahin
mazboot haaton ke sahare
sabhi chute gaye
mujh se mere pyaare
sabhi rooth gaye
zindagi tu bhi musibat mein
saaye ki tarah
kyon mujhe chod gayi
mujh se muh mod gai
haan ye vada yaad rakhna
ke aana hai tujhe
phir ek baar mujh mein
tujh ko jagana hai tujhe
ek naye roop mein
ek naye rang mein miley
ab tu mile to
sarapaa mohabbat banke miley
tu mere har khwab ki
zinda taabir lagey
“chaand”mere arzoovon ka
haseen taaj lagey

Her ishaare may dekha.....

her ishare may dekha
ek ishara khuda ka

raah hai rahbari hai
paigham hai khuda ka

khabar bekhabar ki mili
raaz samjha khuda ka

shert thi jo zindgi
tha rasta khuda ka

wahed adam se duniya
aalam wahed khuda ka

fitraton may jo jhalke
wahi jalwa khuda ka

noor payambaron ki surat
milta rahega khuda ka

roz imtihaan bashar ka
khud imtihaan khuda ka

mohabbat may gumaan lazmi
yehi imtihaan khuda ka

bedaar batin ka takhaza
ishq habib-e-khuda ka

majnun hai khud mohabbat
laila-e-moqadar khuda ka

sarfaroshi pe kamar basta
deewana mehbub-e-khuda ka

zaat may uske shaamil
zikr-e-mustafa khuda ka

her taqliq se pehle
noor-e-mohabbat khuda ka

ye sauda ishq ka
raaz-e-hikmat khuda ka

tulu-e-seher kahe hai
samjho ishara khuda ka

zuban qaasir bayan-e-kareemi
“chaand”ehsaan khuda ka

Monday, November 17, 2008

Khamoshion ko...


khamoshion ko aaj phir di hai sada
serhadon per kyon qaid hai dil mera

pasbaan dhundta phirta raha sadion talak 
hukumaton se ladta rahaa hai dil mera 

riyasat na jaagir hai koii ameer ki 
ek Darvesh ka veerana hai dil mera 

jis ke qadmon tale mahaken mashk-o-gul 
misl-e-sar pesh hota raha hai dil mera 

intiha derd ko bakhsh kar rota raha 
aise deewane ka deewana hai dil mera 

sune ek aalam ke derd-e-be-karaan 
udaasion may uski be-taab hai dil mera 

girha halaath ki khole uski charagiri 
raah-e-shauq may azaad hai dil mera 
safar paane ko hai manzil ka nishaan 
hum-qadam hai asmaan,chaand hai dil mera 

Saaybaan


phir ek intizar dil ko thamaaya gaya
phir ummid ke safar per bulaaya gaya

arzu chahtoun ka matam sab ho chuka
phir mosam-e-nau se dil milaya gaya

zeest ka unwaan tune mohabbat likha
mere baab ko be-unwaan kyon sajaya gaya

ilzaam saare zameer ne apne sar liye
ek zarb-e-aakhiri dil deewana banaya gaya

gulshan ko veeraane ki sangat jub mili
tab kahin rishta bahaar se nibhaya gaya

but-kade se nikal kar ibadat aai samjh
khuda sanam ki rahbari may milaya gaya

khamosh behti nadi kab se hai humsafar
iztarab raah-e-intizaar ka yon bhulaya gaya

koi aahat, samaa-aton ko mili hi nahi
carvan-e-ishq ka nishaan buth bataya gaya

mohabbat ke israar jub afshaa hone lage
mehbub tha jo,mehbub per utaya gaya

lamhe-bhar na muhallat mili bas lut gaya
hairaan dil begana mehafil may paaya gaya

jaan balab hasraton ko samete hai khada
jalte dilon ka habeeb sehra bataya gaya

ku-e-yaar tak safar ka hausla kaise mile

her mod per dil jalaya gaya

ek koshish hai zindgi,karenge umr-bhar
rahbar ka nishaan Chaand banaya gaya

Chahragar

ek dil ki baat hai dosto
jo rab ki saughath hai dosto
pareshaan dil kub se khamosh tha
waqt ka na jise hosh tha
sadayen us ki sadiyon takrati rahin
duayen bhi derd apna lutati rahin
waqt ka her sitam khoob tha
her zakhm us ka mehboob tha
ek din arsh se aai nada
tera mehboob hoga sab se juda
noorani nazar aah!vo javidani asar
kar gaii dil-o-jaan muattar eksar
ishq ishq karta dil zinda hua
raaz-e-ishq jaan kar sherminda hua
pairahan raahbar ka ek paighaam tha
ek mayus birhan ke naam tha
dua arzu se peshtar mil gaii
her hasrath zindgi may dhal gaii
lafzon may jo dhadka tha sadaa
rubaru us ke dil tadpa, khuda
ye raahen, adam ka samaan hain
yaan hikmaten sab ki mehmaan hain
zaad-e-safar shaagird ka manzoor tha
murshad ke karam ka mashkoor tha
ku-e-mehboob may bhi sauda-giri
jaan de-kar seekhi ishq ki jadugari
ek dil darbadar ka maara hua
rab ki nazar may pyara hua
raah-e-ishq ki bas haqeeqat yehi
her taraf sirf wahi hai wahi
us nigaah may wahi mehmaan tha
mera mehbob usi ki pehchaan tha
karta raha dil muddaton tak safar
“chaand”ko mil gaya uska chahragar

Sarkaar





Chaha tha bahut chahaton ko aam karenge 
duniya yaad rakhe aise Kuch kaam karenge 
Kahan jaantey they,ke yehi hai farman-e-Khuda 
Apne hi dil ka maatam subha shaam karenge 
ye sach nahi ke yehan pyaar mohabbat ki kami hai 
jahan ho Noor-e-mohabbat,wahan shaitan qayam karenge
Barson se  bhatakti is  pyaasi rooh ka  samaan 
Sarkaar ki ek nazar ka haasil jaam karenge 
Khud ki talaash mein gar mil bhi gaya Khuda 
Tumhari hi rahbari mein ye safar tamaam karenge
tumhari milgai, mil jayegi sarkaar ki nigaah 

mohabbat ka haq ada hum her gaam karenge

Ehsaas



sanbhale na sanbhle hai meri arzoo
Ek tere milne ki aas bahut

Hain machalti saanson ke taqaze kaii
Ek tere lams ka ehsaas bahut

Hasraton ki aji baat kya poochiye
Sadiyon tak rahi in ki pyaas bahut

Mil jaati agar mangne se humein
vo mohabbat na aati raas bahut

Tohfa gulabon ka kis kis se mila
Sadion mehakta raha yeh ehsas bahut

Ruke they labon par fasane kaii
Khamushi ki aada thi khaas bahut

Mohabbat adibon ka hi atiya sahi
'chaand" ne kiya iska paas bahut

Muddat hui mujhe pukara nahi kisi ne



Muddat hui mujhe pukara nahin kisi ne
Mud mud ke dekhti hain mayusiaan meri

Dil-e-zar zar ka naqsha bigad raha hai
aa ke samet-le koi udasiyaan meri

Kya samaan karun jo bakhshish mujhe mile
Ya-rab aakhir hongi kub sunvaiyaan meri

Barf ban gain jazbon ki saari nadiyaan
saath hain wahi be-sar-o-samaniaan meri

jo baar baar tuta vo dil nahin raha
ab aur kya badhengi pareshaniaan meri

Hamqadam na ban sake jo sadion saath they
hain wahi sunsaan raaste aur tanhaiaan meri

Har rishta sard sa aur saanson sa be-wafa
kya kya manzar dikhayengi nadaniaan meri

unsay khafa hone ka haqh bhi chin gaya
“Chaand”bas mai hun aur pashemaniaan meri

Deewanon se pooche hai vo...

deewanon se puche hai vo
deewana bana kar
deewane ho kya paaya batao
hosh ganwa kar

mai kaise bataun khirman pe
girin jub bijliyan
uske labon per aah thi
mujh ko jala kar

ek naya mafhum mila
ulfat ka uski zubani
visaal chahten shab-e-ghum
sab ko bhula kar

inke baghair bhi
saath saath chalenge mai tu
khayal hukmaran honge
faseelon ko mita kar

haan hum milenge
mera daman hoga tera haath
“chaand”mahashar tak ka
saath hai samjha kar

Pathron se log bhala

pathron se kab bhala log dil lagaate hain
dil hi kya log bhagwaan badal jaate hain

hai sehraaii bashindon sa awaara insaan ka dil
pyaase kub auron ki pyaas bujha paate hain

kitne fitne poshidaa hain is jaduii bakse may
ek dabao aur kitne fitne ubhar aate hain

sailaab ko aate dekh kashtiyan manjhdaar may
maajhi chod,saahil ki simt daud lagate hain

nafsa nafsi ka alaam suna hoga mehshar may
is daur ke bhai,beheno se naata tod jaate hain

ek mamtaa ke sahare sau tufanon se ladna sikha
koi kya jaane bas saude saare rishte naate hain

kahin ye aas ke panchi phir perwaaz pe apni
"chaand”num ankhon ko khwaab dikha jaate hain

Khahishon se is dil ko


khahishon se dil ko azaad humen ab karna hai
tere liye hi yarab apna jeena aur marna hai

ek baat bata mere khuda ye karobar-e-hasti kya
duniya may aa-kar duniya se kaise mukarna hai

dore tere haath,her baazi teri,apni sirf maat
sab kuch haar kar bas jaan se guzarna hai

raaz raha insaan ka dil,bhed saare sirf jaane tu
gehri khaii zeest,yom-e-hisaab se bhi darna hai

in sochon ne sada,sawal kiye hain mujh se
ek tere shauq ki khaatir kitnon ko jeena marna hai

tune kaha teri siffat bashar may jhalke hai qaaliq
phir insaan ko mitti se mitti kyon karna hai

noor-e-mohabbat se roshan dil bashar ko hi mila
teri zaat ko hi adam ke dil may utarna hai

faani ko laa-faani karne ko awaaz deti hai rooh
“chaand” samjh le, rooh ka
marna hi marna hai

Sila intizaar ka



sila intizaar ka aksar yon bhi mila karta hai
koi mil kar na milne ka gila karta hai

hurf hurf pe tohmat hai jafa-e-ulfat ka logo
khud farebi se shikayet kaun bhala karta hai

ek un-dekha khwab saja kar ankhon may apni
taabir ki hasrat may koi kab se jala karta hai

taaseer duaon ko kabhi naseeb tou hogi ya-rab
suna hai her derd may tu hi mila karta hai

kahin paimana-e-dil chalak na jaaye ab ke
haan saath waqt ke her zakhm sila karta hai

ek mahakti shaam ka wada ummid-e-bihisht bana hai
“chaand” bata tu kahan ye phul khila karta hai

Us shaam ka kaho kya karen


us shaam ka kaho kya karen
jise kabhi sahar na mil saki

jis pyaam ki humen talaash thi
kabhi vo sitar na mil saki

kyon is udaas maah-e-firaaq ku
ek shab-e-qadar na mil saki

dhadkne ka to bas gumaan hai
ek dhadkan magar na mil saki

kabhi waayez ke qaul-o-qarar se
kisi ko kausar na mil saki

chaand jo taalib-e-do jahan rahe
unhen ishq ki nazar na mil saki

Thursday, November 13, 2008

Khwaab...



Khwab sab aaye guzar gaye
Khayal hi sang-e-safar rahe
Taabir koii na paa saka
Koi rang haath na asaka
Ye koh sa dil mera
Ye Wadion sa daman mera
Hawadis -e-gulistaan Samet-ta raha
Tufaan kinaron se uljhta raha
Awaaz de rahe hain rat-jage
Tere deed ko sitara kiye
Khamosh din muh tak rahe
Raat kaajal si maange tujhe
Shaam intizaar ki chup khadi
Shab-e-intizaar lagti hai badi
Teri baaten saughaat meher ki
Nerm awaaz faiz ki ek kadi
Tere lubon se mehek gayeen
Duayen sabhi mere naam ki
Aye hairaan dil teri qasam
Usne nibhaii ishq ki her rasam
Kaif-aageen sarapa bas ek nasha
Ek nazar uski mushkil kusha
Dono aalam hogaye mere surkhuru
Ek masti ka alaam vo maahru
Dawa hosh ki ab kaun kare
Ye zameen asmaan aahen bhare
Qaliq ki anmol taqliq vo
Bakhuda bande ki taufiq vo
Muddua ban kar vo mil gaya
Muddaton paala zakham sil gaya
Kabhi sisakte rahte hain waste
Kabhi muskura uthte hain raste
Haatim ,dana hai ,hai saqi
Kabhi jaabir lage,kabhi sakhi
Mele meelon tak hain lage
Ek uska rang anokha lage
Tanmun range uske rang may
Jeet uski huii is jung may
Khwaab tou khwaab hain aayenge
Haq-o-imaan hi saath jaayenge
Daras mohabbat hi rahega sada
"Chaand "ko mil hi gaya khuda

Wednesday, November 12, 2008

Qurbat

Ramzan laaya hai qurbat khuda ki
Ye Samjha raha hai azmat dua ki

Sada manga hai tum ne khuda se
Is maah dogey tum apni atta se

Umr ke chund roz, roze rahengey
Khud ibadaat niamaton ki intiha kahenge

Noor-e-khuda hai lutne ki arzu may
Rehmat-e-baraan hai butne ki arzu may

Moqadar se milta hai mominon ko
Maah-e-ramzaan Aabid Aarif kahenge

Mehbub tak sada azmaaye gaye hain
Unke Aashiq kahan juda unse rahenge

Maah-e-barkat sikhaye rasmen jahad ki
Rab se bande key her ahad ki

Shukr-o-sabar ka tohfa idd hogi
Vird-e-mohabbat rab ki deed hogi

Raza-e-qaadar bas bande ki roghbat
Sajdon may dhundta ho jo mohabbat

Maah-e-karam Ek jung jari rahegi
Ek ek lamha rab ki khaatir, kahegi

Is maah maqsad,tere haath hoga
Amal hai junnat her dil kahega

Hamd-o-sana se mahakti fizayen kahengi
Mubarak hain dil ye jinmey rahengi

Kal talak duniya ki majburiaan theen
Jism-o-rooh may badi dooriaan theen

Chaak honge perde saari khahishon key
Ehsaas tauba karenge apni laghzishon key

Amal ajaz ka khuda ko pasand hai
Khud khuda us dil ka arzu-mand hai

Kya patta tumhara waqt tum se kahe
kal Ramzan hoga,tu rahe na rahe

Milo khul kar inke shab-o-roz sey
Kehta hai kya rab suno ghaur sey

Meri mohabbat kabhi buti na bategi
tum butoge,tumhari mohabbat ghategi

Momino utho chaand nikle jahaan bhi
Jis tarha uth-te ho waqt-e-azaan bhi

aaj khaas karlo,kal mumkin nahin
Idd manao milkar,raho tum kahin

Ghum hain apne,saanjhi hain khushian
"Chaand"ek rang karlo idd ki ye ghadian

Mere Qaliq

Her dam jinka dam bharti hun
Jinse pyaar bahut mai karti hun
Jinki surat per mai marti hun
Jinki qurbat ko mai tarasti hun
Jinse taqliq ka matlab paaya hai
Apna hona samjh may aaya hai
Hasti jinki karam ka saaya hai
jinko maine qismat se paaya hai
jaise maali ko mohabbat gul se hai
chaman ko roghbat her dil se hai

ulfat ko aqeedat unki mehefil se hai
jaise shaagird ki nisbat kaamil se hai
kitni baaten yaaden unse wabasta hain
manzil tak ka wahi tou rasta hain
saare lafz unki mohabbat ka guldasta hain
unke bin ab halaath mere khasta hain
ek muhafiz ki chaadar kitni zaruri hai
ek unke sang zindgi lagti puri hai
unse bichadna rishton ki majburi hai
qaliq ke haath hi qalq ki dori hai
sab kuch khwab sa kyon lagta hai
unke bina koi rang nahi jachta hai
kaun hai unsa derd mera kehta hai
unka aks aaj bhi mujh may rehta hai
jaise ek tasveer adhuri hun mai unki
jaise ek saughat zahuri hun mai unki
jaise ek tamanna puri hun mai unki
jaise ek ummid zaruri hun mai unki
khud se jub bhi mai milti hun
unko khud may paakar mai khilti hun
unke hi naqsh-e-qadam per chalti hun
"chaand" Baba ki yaadon may palti hun

Tumhara khath



khath tumhara aaj bhi derd laaya hai
Baad marne ke khabar bederd laaya hai

Tumhari khamoshi ka naya jwaaz ek lekar
dil-e-shakista aur aahen serd laaya hai

kaho ab sadmaat ka hisaab kaise ho
chaand ,raaton ka bekal verd laaya hai

deewangi khud dwaam ki chah kar baithi
darmaan phir koii naii serhad laaya hai

gar mohabbat khata hoti khuda nahi hoti
majaz khud haqeeqat ke gerd laaya hai

wehshat laai hai chaman se sehra tak
tujh tak maseeha mera ahad laaya hai

visal dayem ek anokha rang maange hai
hosh shert tehri hai,ishq jahad laaya hai

khudi khud se nikal kar jub mili us se
dekha wahi tha azl,wahi abad laaya hai

wabasta rahe jis se ruste zakham ye saare
"chaand"wahi derd,mera humdard laaya hai

Friday, November 7, 2008

Ghurur

Baat ye sadion purani hai mere dosto
Adam ki wahi kahaani hai mere dosto
Kal jub hukum sajda-e-adam ka hua
Shaitan ghurur may apne hi mara gaya
Ghurur uska dushman insaan ka hua
apni hi jannat se vo nikala gaya
jannat jo adam ke liye thi bani
havva ke masoom jalwon se roshan rahi
kahaan taqdeer ko ezaaz ye tha pasand
kitna pur-yaqeen tha iblis ka ghamand
kaash havva ko nadaan na banata khuda
adam na hote apne khuda se juda
gharz shaitan admi hi ka hai ghurur
zyada ke laluch may jo khoye shaour
bakhshe they adam ko donon jahaan
gumraah dil ne aakhir patka kahaan
jiski ulfat may dil tha maara gaya
hijr may usi ki shaour pa gaya
nafs-giri ko apna mazhab na bana
khuda ko suna jisne khud ko suna
naya daur, maseeha naye, aur ulfat naii
ek khahish pe dekho lutey dil kaii
na-shaad dilon ko gar zubaan mil gaii
ek dozhaq ke dahaane khulenge kaii
muh kahaan chupayega maghrur admi
darya pahad jungle na bachega kahin
khuda ki inaayaat ka tassavur sone na de
zameer shaitaan ko bhi chain lene na de
bhatka kare hain sadion se kamzoriyan
talab rehbari ki najaat ki hain doriyaan
jaanib-e-khuda dil ne dhunda wasseela sada
pareshaan dil ko kabhi na mile maye-kada
ya-rab, ye dekar azmane ki hikmat teri
kahan samjh paai hai ye dunia ser-phiri
teri inayet ko taaqat bana kar haakim hua
ghulam der-perda shaitan ka zaalim hua
jise bhi bakhshi tu ne raah-e-gumrahaan
duniya jahannum bani aur vo jiya neem-jaan
laakh tadbir hukumat ki karta raha admi
isi tag-o-dudh may umrbhar marta raha admi
aaya hai jahan se jaana hai wahin
kya jagah muh chupane ko milegi kahin
be-deen, jaan afreen khuda ke suprurd huii
sau jatan karke bhi haasil na junnat hui
soch lo waqt zaalim hai rahman hai khuda
"chaand" ishq aur hawas ki hain raahen juda

Thursday, November 6, 2008

Kali


Tohafa hun her anjuman ke liye
Main khili hun nasheman ke liye

Yehan parwa kise hai kanton ki
tayar hoon her chuban kay liye

qatra lahu jo baha bhi jayega
Kaafi hai kya dushman ke liye

Roz hi mujh ko mehakna hai
Gesu sage ya sajan ke liye

Gulcheen say jo bach bhi jaun
"Chaand" sauda hun malan ke liye

Naya daur


mai hairan hun aajkal
majnun yehan pe milte hain
laila ki talaash jaari hai
gareban bhi chaak hain
chehre per malaal bhi
dil bhi bhaari bhaari hai
ishq ka koi meyar nahin
Na wada-e-wafa ki qaid hai
bas Ek junoon sa taari hai
Mohabat ke rang kai hain
Ishq ke dhung naye hain
Dil ki ajab gulkari hai
her chehra mehbub nazar aaye
dil ki ajeeb halath hai
ishq nahi koi bimaari hai
sab kuch nazar ka dhoka hai
lub-o-rukhsar ki surkhi bhi
ishq bhi ab adakaari hai
Meri taraf na dekh zamane
Main tera hi shahakar hun
her lamha badalne ki tayaari hai

mohabbat ek haseen ibadat hai
kub samjhenge ye dil waaley
"chaand"ishq mukammal beqarari hai

Jaan Jaaiye

Gar saaz nahi soz se humen behlaiye

zara qareeb aaiye aur humen jaan jaaiye
Sun tou lijiye dil-e- bekhrar ka muddua
Shikayet hi sahi aaj bas maan jaaiye
Muddat hui kisi pe etbaar kiye huye
Dil chahe aaj kisi pe qurbaan jaaiye
Khamoshi si khamoshi hai kyon her taraf
bazm-e-ishq may ban ke mehmaan jaaiye
Shamma husn ki jale ishq ki chale hawaa
perwanon pe taqdeer bhi meherbaan jaaiye
Qalam ne kaha mai tera dil likh tou loon
"chaand"Raah-e-wafa ka shahid meri jaan jaaiye


Umr-e-Rawaan


Aye umr- e- ravaan tujh ko
awaaz de raha hai koi
Khamosh saa- aton ko
saaz de raha hai koi

Bas jism- o- jaan ka ek
tallukh thi zindagi
Tere wajud ko hamraaz
de raha hai koi

jinhen sada khwab-o-khayalon
kitabon may tha paaya
un Mohabbaton ko
aghaaz de raha hai koi

Shab-o-roz mehakne lage hain
gulabon say mere
Mere dil ko gudaaz
de raha hai koi

Aaina kyon baar baar yon
pukarta hai mujhe
Sanwarne ko naye andaaz
de raha hai koi

Mehboob hai mujhe
din raat ka yeh jalna
Parvane ko naii parwaaz
de raha hai koi

Tujhe soachna tujhe chahana
hai maqhsad- e- hayyat
"Chaand" ko nigaah- e- naaz
de raha hai koi

Wednesday, November 5, 2008

Baarish






Jab bhi baarish hoti hai 
Dil may ek khahish hoti hai
Thaam kar dil haathon may 
Kho jaaun uski baaton may 
thandi hawavon kay jhonke 
koi kaise khud ko rokey
mastani si leher uthti hai 
Pyaas nazar ki kab bujhti hai 
Shor rim jhim boondon ka 
Chain churaye meri nindon ka 
Shab-e-hijr bada tadpati hai 
Vasal kay khwab dikhati hai 
Haal bura hai furqat mein 
Kya ayenge vo fursat mein 
Aas mein unki ji loongi 
Sawan kay sung ashk pilungi 
Khoon-e-jigar kab kehta hai 
Behta hai chup rehta hai 
Saare zakhm sanwar jayenge 
piya ki ek nazar jub payenge 
Dekh deewane dil ki betaabi 
Her simt vo cehra mahatabi 
Kal ki kis ko hai yehan khabar 
Mere sanam ab der na kar 
kal jazbon ki ye baarish ho na ho 
hum tum may ye khahish ho na ho 
Aa ke ji loon mai in lamhon ko 
utaar de 'chaand" may apne jalwon ko