Search This Blog

Saturday, September 24, 2016

Mere habeeb phir safar per hai zindagii..................





Mere habeeb phir safar per hai zindagi
Aaj ye moqam hai kal koi moqam ajnabi
Tu mahavir hai aur ye hai gardish meri
Tawaf-e-ishq nasib hota hai kabhi kabhi
samajh soch kar kehti hai aage aur kya
Dushman bujh leta hai chaalein nai nai
pachtaye jaan kar duniya ki keena perwari
tha aage kunwaan peeche thi khaii bhi
Manzar dhundlakon ki ote Se aaye they nazar
Paheliyaan bujhne ki dil ko fursat nahi rahi
Aqal per pada ho jub perda junun ka
bina ko bhi kisi nazaare ki zarurat nahi rahi
Ustaad ki chadi bhi yed-e-baiza lage jise
Us taalib ke yaqeen ko koi hajath nahi rahi

Tuesday, September 20, 2016

Teri yaad hai sukun.......





Teri yaad hai sukun teri yaad hai khushi
Mere hison ko roz,bedaar karta hai wahi
Kul kaainaat hai meri,hai mata-e-zindagi
Rabba,utri hai rafta rafta tere ishq ki wahee
Ghair kehta hai tu jise tere ashnaa hain sabhi
Unki nigaah se khaira khaira hain dil ajnabi
Dastaar-e-ishq bandh kar pesh kar diye dil kaii
Ab kis kis ko chahiye arzoo bana hai her koii
Teri yaad Se munawar,hai ye subah ye roshni
Her dum,dum dum may hai mera zikr bas yehi
Tauba ke raaste, hain saare waaste aur bandagi
Maangne se pehle niyaz,be-niyaz deta hai jaan bhi
Khoobi usi ki hai,bashar ki her khoobi may wahi
Insaan,insaan ka bojh uthaane ki karta na sayee
Ya khuda in uthe haathon ka muddua bas ek dua
apne bandon per kabhi,tung na karna apni zameen

Sunday, September 18, 2016

ye khayaal hain ke rawan dawan.....................



 kyon na is waqt ke buraaq ko aaj moad lein
 is be-rang zindagi se koi naya rang nichod lein
 tere khayaal apne khayaal se kyon na joad lein
 ban jaayein khud kamand aur chaand toad lein
------------------------------------------------------------------

ye khayaal hain ke rawan dawan
ye ashk hain ke dhuan dhuan
na jaane kis ka ye malaal hai
na jaane kis ka ye khayaal hai
kabhi dil ki dil na sun saka
kabhi aur kuch na ban saka
kabhi kisi lamha na teher saka
kabhi Us se aage na guzar saka
aur ab na isko koii aas hai 
ab tak ek hi jazba khaas hai
maqdoor bhar uski nawazishein
pal pal mere khayaal ki guzarishein
koi aur khayaal kahan ban saka
us sa kamaal koi na kar saka
vo khayaal tapti huii ek lahar sa
vo jamaal bulandion per abar sa
ruwan ruwan may wahi to hai basa
ek usi ne tarasha hai khayali  kada
jisey koi tere siwa nahi sochta
usey bhala kisi aur se kya waasta
tujh per mujhe chahe laakh guman ho
mujh per tera yaqeen her zamaan ho
meri adna si ye iltija bas maan jaa
mere derd ka faqat tu hi hai aasraa
laakhon muddaee tere mai bhi ek hun
aah! kya tere khayaal ke nazdeek hun
chalo kabhi do pal ka mai bhi ezaaz thi
tere jalwon ke aage kya hua majaz thi
teri nazar-e-karam se mile dono jahaan
tere khayaal se roz jaati hai aati hai jaan
ek lamha aa nigah may ke phir deed ho
her shaam meraaj ho her subah edd ho

Friday, September 16, 2016

Ek pal ki inayet hai............





 Afkaar ki adat hai milna bikher jaana
 Roz kahin aana aa aa ke guzar jaana
 Insaan ki adat hai taqdeer Se lad jaana
 khasa-e-rahbar hai duaon may uter Jaana
 Rab ki rahmat hai duniya ne tujhe jaana 
 Ek pal ki inayet hai duniya ka badal jaana
 mushkil asan hai uski jo raaz khudi jaana
 Asman ke parinde ko laazim hai gir jaana
 Ek roz tamaashe ke perde ko hai uth jaana
 is khel ka matlab tum bhi samajh jaana
 kaam maseeha ka maseehai sikha jaana
 raah-e-khizar milna manzil ka hai paa jaana

Friday, September 9, 2016

Teri nazar se meri nazar ka.....................




teri nazar se meri nazar ka
haseen ehsasath ka safar hai
-----------------------------------
Tere nazuk labon ki nermi
Tere nerm ehsaas ki germi
Teri rukhsaaron ki ye laali
Teri nazar nazar matwaali
Jaise ho shahad ki koi pyali
Tujh per ek nigah jisne daali
Dil her ghum se hua khaali
Kitne nalaan they faaslon say
Hum bhule sabhi khushi say
koi gila raha na zindagi say
Tujhe paaya hai bandagi say
Tu gawah usi ka hai jaan meri
Uski pehchan se hai shaan teri
Tere wajud se khusbu usi ki aaye
Teri maa may usi ke hain saaye
us ke karam ki tu intiha hai
Tu hi haasil  tu hi muddua hai

Sunday, September 4, 2016

Justaju asl adraak-e-zindagi hai....





Rooh ko qarar kyon nahi hai
Rooh jism Se juda to nahi hai
Khaak ki pazerai ki khuda ne
Hawa ka ye mizaj to nahi hai
Beqarar hai jaa-e-panah may 
Ke Mustaqal mizaj bhi nahi hai
Beshak dene waala jaanta hai
Justaju asl adraak-e-zindagi hai
Kami kahin na rakhi khuda ne
Sairi insaan ki fitrat may nahi hai
Guzaarta hai roz ek naye tajrube se
Zindagi dene wala aam to nahi hai
Jis ko bhi patta hai teher Gaya hai
Khuda uski zaat Se Gaya nahi hai
Aye adam beqarari besabab nahi hai
Teri talaash ko,vo ab tak mila nahi hai

Thursday, September 1, 2016

mere sarkaar ke mai sadqe......................






aaye they adam se aakar adam ko chale gaye
tujhe na samajhne ka ghum le kar chale gaye
hans hans kar humari arzoo may jhankte rahe
hum apni deewangi ko arzoo karte chale gaye
ek maan tha ahad ka na they vo mahaz ishaare
hum sitaaron se apne nazar churaate chale gaye
her ek jalwe may chupa tha dulaar ka zakheera
madhoshiyon may moqadar ganwate chale gaye
aye kaash hosh ki ankhein hoteen samaatein bhi 
tu yehin tha mujh may tujhe dhundte chale gaye
her baat may khabar chupi thi aane waale kal ki
andekhe khwab saare haqeeqat bante chale gaye
mere sarkaar ke mai sadqe mujhe karliya gawara
paakar aapke astaan ka gauhar sanwarte chale gaye