Search This Blog

Thursday, January 19, 2017

ye koi daur hi nahi shayed...............





kaii dino se lagta hai
ye koi daur hi nahi shayed
na koi beeta hua zamaana hai
humare kal ka na koi thikana hai
bas hawa may tahleel ho jaana hai

aakhir ye kaunsa padau hai
koi shajar koi saaya bhi
sukun kyon nahi deta
hamari daastan si dastanon ka
kaash naya unwaan koi hota

jub bhi nazar pairon pe tikti hai
ghabra kar kahin door ja teherti hai
ye qismat ke maare thakan kahan jaanein
inhein le gaya tha koi khud ko azmaane
abila paa sadion likhte rahenge afasaane

khayaalon ko gar kisi ne suna hota 
phir na koi kisi ka hum-nawa hota 
raaz ki tarha tha khayaalon may umarbhar 
uska martaba jisey hai jaan se azeez-tar
dil hi dil may rahe tou hai khoob-tar

Sunday, January 15, 2017

khamoshi teri mujh may dhal gaii..................



khamoshi teri mujh may dhal gaii
tere nasib ki kadi mujh se mil gaii
udaas hai koii baadlon ke darmyan
bundon ki jhadi ankhon ko khal gaii
mosam aate jaate rahe hafize ki tarha 
chupke se teri yaad phir machal gaii
sayaad ne qufas sajaya tha pyaar se
per,perwaz ki lagan paron ko mil gaii
ye khwab hai ya vo koii khwab tha
yehi kashmakash mujh ko nigal gaii
jabar sa jabar zad may sabar ke tha
ek kamzor aah phir,apni chaal chal gaii
chod,khasta haal dil ke ashvon ki dastaan
kya ho aag ishq ki gar tujh se nikal gaii
ab yaad bhi nahi kis baat ka sila hai tu
vo kya nigah thi jo mujh ko badal gaii

Friday, January 13, 2017

mai adam ki hun buniyaad................






Mera naam Mazhab hai

Mai Hindu Hun na isaai
Mai yahud ki na maa jaai
gar mujhe samajhna chahoge
mujhe apni rooh may paaoge
Mai adam ki hun buniyaad
mai aaj lagti hun kyon fariyaad
Mai tumhein zindagi samjhane Hun aai
Mujh May maujud hai pehchan-e-khudaii
zindagi sirf saanson ko nahi kehte
Gar tum jaan lete tum bhi yehi kehte
Arey jaago mujhe samjho mujhe chaho
Ke mai azal se zindagi ka tareeqa hun
Mai na-samajh duniya ka pehla saleeqa hun
Kaash mujh ko logon ne baanta nahi hota 
Unke darmyan tafreeq ka kaanta nahi hota 
Mujhe tumne kabhi kahan socha 
Mere sach se guzar kar kahan dekha 
mai tumhari dhadkan hun deewano
Mai tumhari azli Lagan hun deewano
Aah! Ye likha qismat ka to hona tha
Mujhe kuch ne paana kuch ne khona tha
Mai aaj tak andheron ki paheli hun
Mai tumhare raaste ki manzil akeli hun
Mai aaj bhi Israar Hun shayed
Mai aaj bhi ekhteravon may giraftar Hun shayed
Suno mai raasti ka hun paighaam
chain-o-aman laai hun tumhare naam
Mai ab talak jis ke haath na aai
meri uski puraani hai shanasaai
ye jo hersu hiraasani si phaili hai
dil paraganda aur soch maili hai
Ye fitna firauni sada tumse kheli hai
Chalo waqt se pehle atta ki ghadi aai
 Mai ujaala Hun adam ki qismat ka
 Mai rab ki inayet samjhaane Hun aai
 Mohabbat buniyaad hai mazhab ki
 Ye emaarat us waqt hoti hai qaayem
 Gar insaanon ne insaanon se mohabbat ki

Thursday, January 5, 2017

saadat




kitna mushkil hai yarab
insaan ka insaan hona
us se bhi kathin hai shayed
uska tera nishaan hona
sab haar ke maine dekha
apni hasti ka zyaan hona
ek tere siwa sab dhoka
tu chahta hai ayaan hona
ye bechaini ek ishaara hai
mushkil ka hai asaan hona
koii kasafat na rahe baaqi
mumkin hai uska bayaan hona
haath aayenge jahaan dono
afzal hai khalikh ka nihaan hona
arzooo gar ek himaqat hai
laazim hai haasil ka gumaan hona
mokhtar ki baagein hain teri hasti
bekar hai tera chaak garebaan hona
ye mohabbat bhi uski inayet hai
ain saadat hai uska makaan hona
Roz milaata hai ek haqeeqat se
Uske hone se hai apna yehaan hona