Search This Blog

Tuesday, June 18, 2019

koi khwab sa lamha ................................






kabhi koi yehan per bhi rahta tha
is jadunagri ko bhi veerana kehta tha
in phulon say mehek lekar mehekta tha
husn ki is waadi may jawan rahta tha

koi khwab sa lamha socho to lagta hai
behta hua waqt zamanon may badalta hai
kya umar ka waqfa koi bichda hissa hai
guzra hua ye kal aaj mahaz ek khissa hai

subahein na jaane ab kahan gum hain
din qiston may kitnon may bat ta hai
shaam jaise udas lamhon ki sargam hai
raat ka seena kis ghum may paht ta hai

ab kahan chashm-e-saaqi tak rasaii hai
lagta hai pyaase ki jaan pe ban aai hai
takrar maye ki maye-kadey ki ruswaii hai
ishq kehta hai teri talab hi herjaii hai

ye kya hua ke yaadon per bhi pehre hain
khayalon ke zakham bhi ab ke gehre hain
in ankhon ke qaafiley kahan pe tehre hain
Zindagi may faqat tere rang sunehre hain

ye akhir mere maula daur kaisa hai
sab kuch hai phir bhi dil kaasa hai
ek usi ke naam ka dil ko dilasa hai
tere aage mera daman zara sa hai