Search This Blog

Sunday, December 25, 2016

Mujh ko qabul hai zindagi....

Image result for beautiful paintings

Mujh se tum ne aaj phir
Ek aur rang le liya
Vo jo etbaar tha
Zaamin tha her khushi ka jo
Zaayel zindagi se hogaya
Aah! Ye keel thi aakhiri
Muntazar tabut may meri
Meri jaan ne hi li jaan meri
Laakh chaha koi vavela na ho
Per saare sadiyon ke zakham
Aaj ek saath bilbila uthey
Aye khuda maine ye tou na chaha tha
-----------------------------------------------
mohabbat jiski dilon ka ghamaz thi
Duniya ke alam jiski ulfat ka raaz they
Tanhaiiyon ne bhi jisey toda nahi
aaj khud may bhi tanha na kaam kar gaii
Lagta hai jaise zindagi ek waham hai
Aur Her yaqeen mahaz gumaan hai 
Ek shaadab labraiz dil pal may tamaam kar gaii
Ye dastoor peechle daur ki hi meeraas tha
Aaj bhi khud Se nalaan,kal bhi badhawas tha
Waqt ki ye berukhi khud ko aam kar gaii
Kal bhi tutey they dil, be-awaz hotey they sitam
Aaj aaya hai,le ke wahi ehsaas wahi ankh num
Aah! Zindagi shaam se pehle shaam kar gaii
Kar qabul aye dil tere naseeb ki nawazishein
Kya hua gar mohabbat maat, jeet unki sazishein
Zindagi mujhe phir se apna pyaam kar gaii
Kya hua raazi nahi duniya Teri , tu ummid hai Meri
Duniya haar kar hi milti hai qurbat teri
Ye teshnagi, teshna dilon ka jaam kar gaii

Monday, December 19, 2016

khwab jhuley


Image result for beautiful paintings

abhi khayaal apni manzilon se kahan mile hain 
ye tou kaaghazi gulon se, sukhey padey hain
ye udhaar ke mosamon se, udaas badey hain
apni rahguzar se, jub se janaan ye mudey hain
teri mehekti huii gali se, door jaa padey  hain
aaj bhi waqt ke thapedon ke aagey khadey hain

-------------------------------------------------------------------------

kuch dair aur jhulney do
janaan khwab jhulon ko
is ufaq ki laali ko
gaalon may uterne do
in salma se sitaaron se
maang apni bharne do
in asmaani ujalon se
rang apna karne do
bedagh in jalwon ka
roop zara nikharne do
qudrat ke saare rang dhanak
khud may sanwrne  do
hasrath hai jo barson ki
aaj usko haqeeqat karne do
ek inaam hai apni hasti 
isey phir kabhi na girne do

Thursday, December 15, 2016

Kya Hun......

Image result for beautiful paintings


Vo ek titli jo khayalon may ud rahi hai
Vo bhi meri nahi Hai
Ye dil sawali haath khaali
Tahi damani keh rahi hai
Yehan mera kuch bhi nahi hai
-----------------------------------------

Yaqeen-o-gumaan ke dayeron ki
Koi patli lakeer ban gaii hun
Asman  zameen ke dhundlakon may
Mai kahin bhi nahi hun
Per mai yehin kahin hun
Ye jo dubaiz chilman giri hui hai
Uski kisi dore may ulajh gaii hun
koii ghayebana safar tou nahi Hun
Isi tazbazab may kho ke rah gaii hun
Kya khaak hojayegi ye deewangi bhi
Tere noor ki Kya mai kadi nahi hun
Chor raston se aati jaati saba sang
Lahak lahak kar patang ban gaii hun
Kya waqi khushi itni hai arzaan
Jiski khaatir apni hadon se ad gaii hun
Suna hai khayaal,khaatir gunah nahi hai
phir is khayal se kyon mukar gaii hun
Log qatal kar ke bhi jhumtey hain
Mai qatal ho kar laraz rahi hun
Kahin mere rab ne koi aah sun li
Apne dil ko dhuwan kar rahi Hun
Rahe salamat khwab tere taqayamat
Mai khayalon may sab piro rahi hun

Monday, December 12, 2016

Do ghadi hai zindagani.....






Saba keh rahi hai
Aa mujh se jaam le
Qamar ka bhi hai ishara
Aa mujh se pyaam le
Do ghadi hai zindagani
Isey kas ke thaam le
Gaye waqt may lutey jo
Un lamhon ka salaam le
Vo haala hai noor ka
 us ka asli moqaam le
 Umr haal malaal bhul jaa
 Apni nesti ka inaam le
 aqal Ne tujhe pareshan kiya
 Apne dil se bhi kaam le
 takiya kiya Jis pe ta umar
 kaho kabhi mera naam le
 Ungliyan na utha maan jaa
 unhi ungliyon ka kalaam le
 Bhulta nahi hai waqt ka sila
 Teri sohbaton ka ek aur ghulaam le

Saturday, December 10, 2016

Mere Habeeb.......




Mujh ko yaqeen hai
mere habeeb
Jub tak rahenge hum
Tu hi mera naseeb
Her lamha yaad ka
Tu hai mere qareeb
Javidan ulfat Teri
Ban gaii hai tabeeb
Mere khayaal ki
Tu tasweer hai habeeb
Dilon ke bhedh tou
Hote hi hain ajeeb
Jisne bhi paa liya
Ban jaayenge raqeeb
Jo saaya bhi nahi
Haqeeqat bhi hai muheeb
Phir bhi derd sa koi
Rehta hai kyon habeeb
Andheron may charagh sa
Milta hai tu habeeb

Saturday, December 3, 2016

reza reza ye dil ................




ab aakhir ye kaam bhi hum kar lenge
dil dushman ka naam apne kar lenge
jinhein qabul nahi hai aisa ilzaam koi
unke liye ye ilzaam bhi apne sar lenge
vafaavon ka bhi aakhir hoga mole koi
un ki jafaayein naam apne kar lenge
ulfat unki sada rahi do dhaari talwar si
reza reza ye dil ankhon may bhar lenge
vo jaante hain moam ko akhir behna hai
hum ek din ek ek  pathar paani kar lenge
vo door rahen ya paas hain hamare khaas
waada hai rab ka saath hamare kar lenge
hum ko pata hai nafrat ek beemaari hai
hum darkhwast shafa ki un se kar lenge
mohabbat derd ke maaron ka tohfa hai
dono jahaan ka sauda bas isi se kar lenge