Search This Blog

Thursday, November 21, 2013

dono jahaan ka faqat mohabbat hi naara hai .........................





Rab meherbaan hai hum bhi meherbaan hain
kya hua dushman hain magar vo insaan hain
agar gunah unke gintey ginti hum bhul jaate 
hum apni nadaanion pay khud pasheman hain
ghalath samjhe they jeet lenge duniya ulfat say
dil ke hukmaran jaane kyon ab tak shaitan hain
kabhi koi apna na ban paaya jisey bhi apnaya
shaayed  moqadar  zehen-o-dil ke tufaan hain
dono jahaan ka faqat mohabbat hi naara hai 
hamara bhi wahi dil hai hum bhi insaan hain
la-mehdood rab ki la mehdood mohabbat hai
hamaari siffat may bhi bas uske hi nishan hain
jo begaana-e-dil hain vo raaz-e-dil kya jaanen
hum deewane,deewane dilon ke mehmaan hain

Friday, November 8, 2013

meri soch ka ye daayera............................





meri soch ka ye daayera
apni shakal hai badal raha
khaali lakeer say kahin
apni haden yon phalangta
mujhe apne peeche pukarta
mai chali hun us ki taraf
uski hadon may khud ko baandhne
ya phir uski hadon ko thaamne
ke aakhir kahin usey rukna tou hai
mujh ko bhi kahin teherna tou hai
ankh micholi perde kahan uthayegi
bulbul ko kahan gul de paayegi
meri maan jaa mere daayere
apne asal say kabhi mujhe mila
tujhe tere karam ka waasta
mai thak gaii hun sochte sochte
tu mujh ko milega kis raaste
maine apne karam may dhunda tujhe
maine apne karam may paaya tujhe
teri aannkh khulti hai meri ankh may
mere azam hote warna khaak may
tera tabasum  hai tawanaai meri
tera hona hi hai raanaai meri
tera wajud hi hai mera daayera
jisey kabhi mai phalang na saki
ke hai abru ye nisbat ki teri
tujhi say zindgi hai zindgi meri

Wednesday, November 6, 2013

haqeeqat inaam ki.....................






phir khushi aai hai
unhi chor raston say
kotwal agarche apna hai
phir bhi daant khaai hai
koi hakim nahi hai rab sa
phir kaisi ye sunwaii hai
sab ku chahiye qimaten apni
apni qimat rab ne chukai hai
hai rab ka jawab-dah banda
phir kyon ye ungli uthai hai
haqeeqat inaam ki hai bas itni
pyaase ne pyaase ki pyaas bujhai hai