Search This Blog

Saturday, February 25, 2017

ye lafz hain gulaab ..............





ye lafz hain gulaab 
inhein tou hai mehekna
ye lafz lafz hain kitaab
inhein kahin tou hai bikherna
shola-e-dil hain ye janaab
inhein kabhi tou hai dahakna
ye shauq-e-hijr ke hain chanaab
inhein kabhi tou hai bhiparna
humne chaha kabhi na chalkein
vo chahta hai paaniyon may uterna
gar ankh uth gaii ye num num
kahin aab-doz kashtiyon ka 
mushkil na hojaaye chalna
patwar bane huye hain kab se
jin ka khud mushkil hai sanmbhalna
muntazar ek soch ka hausla hai
kabhi tou mujh ko us paar hai uterna
badha ke dekho kabhi qadam ye
agle qadam pe taye hai uska milna
kyon lagta hai waqt ruk gaya hai
ya zameen bhul gaii hai sarakna
ye kon baagein meri sanbhalta hai
mushkil hai hadon may iradon ka teherna
mohabbat waqi ek kashmakash hai
Is palde ko hai lazim  dono taraf hi jhukna
humein ye zamaana phunk na sakega
humein aata hai mohabbaton may jalna bujhna 

Thursday, February 23, 2017

Tamam umr ki musafaton ne.......





Tamam umr ki musafaton ne
Kahin bhi ojhal kiya na tum ko
Mere raat aur din ki gardishon nay
koi ghadi bhulne diya na hum ko
Gar tilsm per na ho tumhein bharosa
Aao ek baar phir ji ke dekho hum ko
Khuda khuda pukaarte they umr bhar
Tha vo achamba jahan milaya tum ko
Mushkilon may munkir hua Hai insan
Mushkilon ko kar ke asan bataya hum ko
Ek raah hai ulfat jahan khaar bhi hain gul
Kharon ko mehbub karna sikhaaya hum ko
Shayed usey patta Ho ke bismil be-khata ho
shab khoon ka matlab samajh aaya hum ko
kabhi atta bhi be-sabab mili hai kisi ko 
ek tabassum ne israar samjhaya hum ko
Na kar ranj duniya bani hi is liye hai
bekason ki nazar may rab nazar aaya hum ko

Wednesday, February 22, 2017

Zinda to hotey sabhi hain......................







Waqt tamaash been hogaya hai
Hum hogaye hain tamaasha  
Duniya ke rang hum per
Nahi lagey zara sa
Mushkil yehi hai apne dil ki
Apne haal ka ghum nahi zara sa
Zinda to hotey sabhi hain
Zindagi tou mehsus karlein zara sa
Humne lalkaar per lubbaik keh diya hai
Hum ko apne rab per shak nahi zara sa
Khair maangte hain apni deewangi ki
is waraftagi per, ho karam Zara sa
Teri khamoshi ne saakt kar diya hai
Humein hosh apna,nahi hai Zara sa
Shab-o-roz ka alam Kya Poochte ho
In May lagta nahi hai koi apna Zara sa
Hijrat aur hijr ke kar ke puray taqaaze
Qiston may but gaya hai wajud ye Zara sa
Achi sujhaii tu ne rasam ye wafa ki
Be-dil per ,taras khaa to le Zara sa
vo jalwa ashkar bas hua chahta hai 
Duniya ki bheed ka, perda hai Zara sa
Koi shabeeh uski,  banti kyon nahi hai
Kho jaata hai tassavur , aa aa ke Zara sa
Noor-e- mujassam dhalte kahan hain paikaron may
Deewanon ki khaatir bhes lete hain zara sa
Rooh may uter kar raaz hasti ka kholte hain
Is karam ke sadqe khud ko paaliya Zara sa
Mujh May sada ,wahi tou bolta raha hai
Jis Ki khamoshi ke aage hum hogaye hain kaasa
Khuda ne apne Faiz-e-be-karaan ka
Hum per kar diya khulaasa 

Thursday, February 2, 2017

Mai khwab nahi Hun....





Junnat Ke khwab 
dekh leta hai admi
Junnat chahati hai kya
Kahan sochta hai admi
Logon ka hisaab hai kharab
Bhul jaate hain karna shumaar 
ayesh koshiyon ka aage bhi hai intizar
Vo jo kiya nahi umarbhar
Vo jo karte rahe they umarbhar
Khuda se hut gaii bas junnat pe hai nazar
apne saudon se bakhabar hota hai admi
Khud ki bhul kar bhi bhulta nahi
Kisi aur ki meher mohabbat se tolta nahi
Warna Insaaniyet ko qarz ki tarha wasulta nahi
Rab ne ek dusre ki khatir baanaye they admi
Admi se hi cut ke rah Gaya hai admi
Duniya ke rang to adam ke dum se hain
Gar admi na raha Kya karega admi
kehte hai maut to aati hai waqt per
Aaj kal admi ke liye khud ajal hai admi
Dil ka gudaaz hi junnat ki peheli seedhi
meher-o-mohabbat se hi milti hai vo ghadi
Ek tabasum se bhi junnati hosakta hai admi
Kisi dil ki dua tujhe abaad karsakti hai admi
Khwabon se aa nikal mujhe paane ki sayee to kar
mushkil nahi hai kuch bhi gar thaan leta hai admi
Rab her raah per nishaan ban ke mil Gaya
Teri mohabbaton May tujh may hi dhal Gaya
Qaliq hai dastaras may admi aur tujh ko Kya chahiye
Us ki sangat se behter aur kaunsa moqam chahiye
Paana hai mujhe apni maa ke qadmon ko choom le
Ghaur kar junnat inaam kyon hui aur jhoom le
Mai yehin kahin Tere Amal ki Hun muntazar
Pehle khud ko tayar kar us ki  inayeton ka shumaar kar
ye duniya ka karobar sajaaya tere liye
Kal bhi tha vo Tera aaj bhi vo hai tere liye
Teri hi khatir junnat Se nikaala gaya tha admi
Ummati hone ki laaj rakh mujh ko paa le admi