Search This Blog

Tuesday, December 30, 2008

Aap Ki Bazm Ne


Aap ki bazm ne jub bhi pukara humen
isi khayaal ne phir se sanwara humen

kal raah zindgi ki jisey samjhe they hum
hayaath ne wahin per hai maara humen

inayaat per huzur aap ki nazar jub bhi gaii
usii ek tassaur ka raha hai chaara humen

waqt ne bhi kaha ekdin tum badal jaaoge
bisaath per dil ki usne hai lalkara humen

intizaar ka dia jub tak lahu se jaley
inhi andheron ka raha hai yaara humen

bhulne ki fitrat ishq ko haasil hi nahi
yaadon se usi ke hai guzaara humen

giraft may tumhare sada dil ye rahe
apna dil wahin lagta hai pyaara humen

gulaab sa tassaur tumhara jub tak khile
faaslon ka derd bhi hai gawaara humen

tumhi se seekhi hai mohabbat ki ada
ek tumhare hi dil ka hai sahaara humen

gar khamoshion ko meri tum sun sako
tumhara hersu mila hai ishaara humen

moqadar say mile jo,vo sitara ho tum
tumhare sang chaand lagta hai pyaara humen

Monday, December 29, 2008

Vo ek Shakhs




Vo ek shaks
jo haseen Baa-wiqaar tha
kahaan gaya kahaan gaya


vo ek shaks
jo bas pyaar pyaar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo ek shaks
jo ruvaan ruvaan bahaar tha
kahan gaya kahaan gaya

vo ek shaks
jo saaya-pur-bahar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo ek shaks
jo mohabbaton ka bimaar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo ek shaks
jo sada se ashk-baar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo ek shaks
jo khamosh zaar zaar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo ek shaks
jo sadiyon se laa-chaar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo ek shaks hogaya judaa
jo mera aitbaar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo ek shaks
jo tera hi talabgaar tha
kahaan gaya kahaan gaya

vo haseen shaks
chalaa gaya chalaa gaya
apni meher-baaniaan de gaya

Hasrath




Ek nakam hasrat
Ek tishna aarzoo
Ek beqarar mohabat
Ek pyaasi rooh
Ek haseen jazba
Ek tarasti tamanna
Ek natamam khwab
Ek benaam khwahish
Ek adhoori talaash
Tum koii naam do
Ek pehchaan do

Aa Aye Moqaddar




Aa aye muqhadar,tujhe galey laga loon 
Ek baar ujadne ka phir soug mana loon 
Harsu hai naala-e-gham aansoo main baha loon 
tehar Paana hai tujhe kuch gham kama loon 
Kar door andhere ke sab ko apna bana loon 
in Soye huvey logon ko ek baar jaga loon 
Mana ke main khuda nahin jo duniya ko sanmbhalun 
chaand tod ke yeh pathar do chaar dil hi banalun


Tilsim

saara tilsim tut gaya
ek tujh se jo nata tut gaya
deu malaii khissa tha koii
ankh khuli sahar tut gaya
ek khaali kore bartan may
dal ke khalis sona loot gaya
soi raajkumari ka pehlu
jaduii jin se chut gaya
kya aandhi thi kya tufaan tha
her manzar ankhon se chut gaya
in sunnaton ke seenon may
kitni siskiyaan ghont gaya
seh seh kar sadiyon serd hua
chaand phir na badal ki ote gaya


Mera Bachpan Chura Raha Hai



Ye aahat hai kis ki
Dabe paun kaun aaraha hai
Mera bachpan chura raha hai
Waqt ki silwaton ko
Shadabiaan vo de raha hai
Waqt ki karwaton ko
Apni karwaton se bhula raha hai
Mera bachpan chura raha hai
Tanha tanha raaston ko
Ek dusre se mila raha hai
Pat-jhad ke mosamon may
Masoom,gul khila raha hai
Zamane ki gardishon ka
dil behlane aa raha hai
Mujhe mujh se mila raha hai
Mera bachpan chura raha hai
Dil mera lubha raha hai
"Chaand"meri baahon may araha hai


December


Kaii saal guzre
mai ab tak yehin hun

Tum hi December
aate jaate rahe ho

mai hairaan si
veeran si ruk gai hun

tum hi December
saughaten laate rahe ho

mosamon ki tarha
dunia kaii baar badli

tum hi December
saath nibhaate rahe ho

jaati ruton ne sada
apna daman churaya

tum hi December
mujhe behlaate rahe ho

mai jaan gaii
waqt-e-aakhir ka aalam

tum hi December
usey milaate rahe ho

zeest ki tarjumaani
kare kaun tumse behter

tum hi December
dil lubhaate rahe ho

is saal pehchaan
admiyat ne kaise khoii

tum hi December
khabar sunaate rahe ho

kahaan koii maasumon ke
sunta hai naale

tum hi December
ansoo bahaate rahe ho

baharon ki hasrath,
khizaon ke derd saare

tum hi December
samajh paate rahe ho

di mosamon ne
naveed ek aur zindgi ki

tum hi December
khuda samjhaate rahe ho

misaal meraaj ki
qayam huii hai tumse

tum hi December
lut kar muskurate rahe ho

maine dekha tumhari
serd baahon may aakar

tum hi December
mujhe germaate rahe ho

umr mosamon ki tarha
aarzi kaif laaii

tum hi December
mujhe mehkate rahe ho

dunia apne hi
ghum may mubtila hai

tum hi December
ghum chupaate rahe ho

kabhi karam mosamon ka
mizaaj gar badle

tum hi December
dast badhaate rahe ho

Chaand ne paaliye
mosamon se raaz saare

tum hi December
haqeeqat sunaate rahe ho

Saal Umr Ka Meri


 

Saal umr ka meri
Ek aur gaya saheb
Aaj phir December
Khali haath Aaya hai
Kuch ummiden naii aur
Chund serd khwaab laaya hai
Pichli ruton ka janaan
Adhura jawaab aaya hai
Sun December teri tarha
Ye waqt faani hai
Ek lamha zindgani hai
Duja lamha kahani hai
Kya waqi mosam
Khushion ki jawani hain
Ya khushion se hi
Mosamon ki kahani hai
Mosam aate jaate hain
paigham laate hain
Her aane waali shaye ka
Moqadar laut jaana hai
Mosamon ki tarha
Lamha lamha suhana hai
in mosamon may
tum samaa jaao
in mosamon jaise
meherbaan hojao
waqt mokhtasar hai
behter karam peshter hai
Besh-qeemat hain nazaare ye
tum chaand, sitaare ye

Ek Subah



ek subha jub ankh khuli
saare manzar badal gaye
jo hum-qadam they kal,
aaj ho gaye hain paraaye

zindgi sunte they dunia may
her cheez badal jaati hai
mosam, manzer, rishte bhi,
ab dil ko unke koi bachaye

socha ji lenge ek teri
mohabbbat ka hi dam bhar ker
sawaan ki rut ki tarha ,
teri mohabbat bhi aaye Jaaye

mera dil kya muqtal hai
roz mange armano ki aahuti
yarab sun le mujh se
ye lahu dekha na jaaye

sisakti pyaasi ruhon ka
sakun kyon usey manzur nahi
chaand ka moqader hai
umrbhar ki ye haaye haaye

Saturday, December 27, 2008

Na Jaane Kyon


main sabse alag hoo
main sabse judaa hoon
na jaane kyoon main
khudh se khafa hoon
haasil na karoon kuch bhi
kya main koi khuda hoon
mangti hoon tumse
thodi si wafa hoon
barbaad tamanna hoon
apne zaqmon pe fida hoon
haan mosam-e-ghum ki
mai ek adaa hoon
dilon ko jo dhadka de
main aisi sada hoon
jismon ko jo garmaa de
main aisi hawa hoon
paaloge mujhe khud mein
kahan tum se juda hoon
sun ke khuda bhi khush ho
main aisi dua hoon

-->

Be Waqt Aaya Hai.................




Be waqt aaya hai Gham-e-yaar ka mausam
Be-lutf ho gaya hai takraar ka mausam
Subha-o-shaam kay har ehsaas may shaamil
Khubsurat tha vo khayaal-e-yaar ka mausam
suno suraj chaand taarey sab ye kehtey hain
Hadh-e-nigah tak mehke ypyaar ka mausam
Surur ek sa jab chaaya ho dono may
Kaif-o-masti sunaye jhankar ka mausam
Be-khayali may jo mohabbat hogai un say
umar bhar tarsaye na intizar ka mausam

Mujhe Chaha Nahi Kisi Ne


Mujhe chaha nahi kisi ne
maine chaha hai sabhi ko
dil ko dil samjhen
taufeeq nahi kisi ko
bhatakna hi zindgi bhar,
gar hai naseeb mera
kis se karoon mai shikwa,
fursat nahin kisi ko
taqdeer ka kya rona,
apnon ne mujh ko choda
resta nahin hai khoon bhi
dekh mere zaqhmon ki be-kasi ko
kahin ban na jaoon pathar,
najaat mujh ko de de
mujh ko bulaa le yarab,
ya bhej de kisi ko

Wednesday, December 24, 2008

Aye Taaj


Aye taaj tujhe jisne bhi banaya hoga
apne mehabub say nazar churaya hoga
Mayus nigahon mein mehebub ki usko
Aks taaj ka hi nazar aaya hoga
Gar mumtaz thi mohabbat us ki
Khud ko taaj pe khada paya hoga
Shahon ne yeh kaisi mohabbat ki thi
Aahon say sung bhi garmaya hoga
thi ada-e-mohabbat key ghurur-e-shahan
Ishq bhi khud say gabraya hoga
her derd kahega aye shah-e-jahaan
Taaj ne chaand ka dard sajaya hoga


Kitaab Dil Ki


Aaj phir koii dhadka gaya hai dil
Warna bahar bhi gum sum si gai thi
Sard sard say jimson mein meri jaan
Boond boond zindagi ki jum si gai thi
vo lamha javidan tha jab tum ney chuliya
Har raat judayi ki num num si gai thi
Ishq ka junun barson jalata raha lahoo
Tum kya miley ye aag thum si gai thi
Israar mohabbat ke pal may khul gaye
Chaand kitab dil ki jub gum si gai thi

-->

Tuesday, December 9, 2008

Mere Khwaja



ye ansoo jo aankhon se chalak rahe hain
haan mohabbat may un ki mahak rahe hain
dilon ki bekhudi ansuvon se keh rahi hai
khwaja piya tumhare der pe lut rahe hain
ajab hain manzar betaab hain nigahen
tumhari arzu may dil bilak rahe hain
ye saal bhi tumhari birha may cut gaya hai
humen kab bulaoge khwaja hum tadap rahe hain
darr se tumhare humen vo nazraane mile hain
jis dar pe do-jahaan ke khazane bat rahe hai
tumhaare mangton ki jholi mohabbat se bhar gai hai
is deewangi se anmol kya dil keh rahe hain
rooh kya jism kya insan ki zarurat hai kya
tumhare darr per ser jhuka kar samjh rahe hain
paigham-e-Nabi,khuda ki mehar hain mere khwaja
unki zaat se zamane imaan se sanwar rahe hain
ajab dil ki kaifiyet hai ghum-o-khushi ki amezesh hai
chaand ehsaas-e-khurbat udasiyon se gale mil rahe hain

Kal Aur Aaj


;Aaj mai duniya may tanha sahi 
Kal saara jahaan mere saath tha 
Aaj meri manzil haan koii nahi 
Kal her raasta mere paas tha 
Aaj mere dil ki koii qeemat nahi 
Kal har jazba mera khaas tha 
Aaj waqt mere bas may nahi 
Kal har faisla mere haath tha 
Aaj mera rangon say khaali magar 
Kal“chaand”mohabbat ki barsaat tha

Khushi Kehte Hain Jisey







khushi kehte hain jise
zindgi mai ne ganwai hai
ek rasam hai jeene ki
jo bas maine nibhaii hai
saansen bhi na apni hain
ab dhadkan bhi parai hai
jise na milna tha mila hai
ab khona use ruswaii hai
khird-mandi ki sanad"chaand"
shabnam roye,kali muskaai hai

Thursday, December 4, 2008

Tarkash




tarkash may tere ab bhi,kya teer koii baaqi hai 
haan mere jigar may taab abhi baaqi hai

kya maut nind hai ,
ke baar baar aayegi 
maut ki taqeer may koii ghadi baaqi hai

sada ummid badalne ki 
rakhna mere dil ki 
uski koshish hai aur shiddat meri baaqi hai

her hasrath gunaah ki,
mayel ba karam hai 
jub talak mujh may uska karam baaqi hai

hisaab azaab-o-sawab 
wayez ko ho tou ho
wahi ishq ki bekhudi aur junun baaqi hai

husn-e-agahi lutf-o-karam maalik-e-do-jahaan 
mehbub ki mohabbat ibadat may sada baaqi hai

daana hakeem ne 
marz may hi shafa rakhi 
shaoor ka safar aye nadan abhi baaqi hai

intiha ko bana rasta,Aazaar ko navid-e-sakun 
Irfan-e-Rasul-e-khuda poshida isi may baaqi hai

Ek tassaur Pulsiraat 
aur haqeeqat hai iztiraab 
karb-e-agahi se bada derd kahaan baaqi hai

jaanib-e-khayaal yaar 
yon tu na ungliaan utha 
"chaand" mohabbat may kahan shert koii baaqi hai

Gila waqt ka hum se......


Ek lamha sa guzar gaya dekho

mujhe le kar kidher gaya dekho

dil ki dastaan sunaane nikle they

unka dil gay jidhar gaya dekho

yaad aana tha,koi raat hi chunte

roz tadap kar,koi mar gaya dekho

jala kar dil koii,khamosh baitha hai

kahin khwabon ka mahal gir gaya dekho

mah-o-saal ki andhi na rok paaye hum

gila waqt ka hum se vo kar gaya dekho

mila jo qismat se usey paaya nahi humne

"chaand" jaan se apni guzar gaya dekho

Phir idd Aai hai


Ghar ghar may hungame they
Bas Bhaii udas baitha tha
abba na jaane kub aayenge

Idd ke kapde kub laayenge
Sare dost bazaron may they
junnat ke nazaron may they
Mere saare rang kub laayegi
Meri edd sayeed kub ayegi
Asmaan bhi yon bojhal tha
Maa ka pighla kajal tha
Behnon ki ankhen num theen
Kitni sochon may gum theen
Haaye munne dil ke armaan
Ek karam ho dedun jaan
Ab ke baras meher karde
roshan edd ki sehar karde
Kitne masum raah takte honge
Khud se baaten karte honge
Her baras yon milta tha
naii aas may dhalta tha
Phir Roti qurma honge kabab
Gar abba dikhayenge koii khwab
Haan khwabon ka galiyara tha
Ghar dil sab andhiyara tha
Sherminda darwaze se laut gaye
Abbu ke zabt sabhi tut gaye
Bebas maa ki ankhen theen
Lachari may bhi panahen theen
ghareebaan ki yon shaam huii
Intizar ki rasam tamam huii
Ab ke jaane kya laai hai
Chaand dekho phir edd aai hai