Search This Blog

Monday, September 22, 2014

Dosti








huzur dosti may sirf dil ki raaye li jaaye
dushmanon ko bhi dosti ki raah di jaaye

maut ko bhi ab muyassar nahi hai adam 
roz zindagi se kyon takraar koi ki jaaye

saans saans ghabra ke khud se kehti hai
mujhe phir koi wajah zindagi ki di jaaye

kashtiyan khadi hain apni bechaini chupaye
mujhe may bhi zindagi ki sair koi ki jaaye

zakham to zakham hain kya haal kya maazi
bhool kar bhi khudara na koi bhool ki jaaye

duboya ho jisne khud ko teri nigahon may
ab us say kahaan maye aarzi koi pi jaaye

Sunday, September 14, 2014

Aye Shamma.........................






aye raat tujhe patta hai
shamma ke saath kya hua hai
nahi ye khwab ki khumaari
ye hai umrbhar ki beqarari
ye nasib hai shamma ka
be vasal mitne ki tayyari
koi perwane se bhi to pooche
kya teri ulfat bhi hai ayyari
shaatir waqt ka hai tu nishaana
kaise bachegi koi taqdeer ki maari
teri roshni may bhiga hua husn hai
usper jaan leva perwane ki gulokari
shab bhar may kitne dil sulagh uthe
koi ji utha koi kare alwida ki tayyari
meri maan jaa abhi khud ko na jala
tu nahi jaanti perwana hai sarkaari
ek tu hi nahi hai is jahan may bebas
behissi may uski chupi hai khaaksaari
mit jaana kisi per aam tou nahi hai
misl shamma kisi ne na jaan apni haari

Thursday, September 11, 2014

mera junun keh raha hai..................





mera junun keh raha hai
ye tere junun ka asar hai
warna kya thi zaat meri
jaise gidh khoon se tar hai
jise apni khudi ne ho maara
vo khud se bhi bekhabar hai
mujhe muaf kar mere maula
tera ishq sada se bekhatar hai
tu her lamha mera gawah hai
mujh may meri hi kasar hai
shab-o-roz jisey khojte they
vo rag-e-jaan se qareeb-tar hai
kal paaya usko apne pusht per hi
jiske baghair her jazba be-asar hai
khudaya tera inaam hai mohabbat
tere karam per hi guzar basar hai

Monday, September 1, 2014

ek rang mohabbat ka........


Kal
------
in khilti kaliyon se
tere lub badey pyaarey they
is shafaq ki laali ne
tere rukhsar sanwarey they
un nhanni ankhon may
maano chaand sitaarey they
jaisey phoolon se goondha tha tu
tujh se chaman ke waare nyaare they
tha ek noor ka paikar tu
tujh may qudrat ke ishaare they
ek tabbasum ne tere mujh se
chin liye ghum saarey they
aah tujhe seene se laga kar hum
bhul gaye apne galiyaarey hey
tu mila ek saaz naya ban kar
hum sadiyon se soz ke maarey they
tu israar tha rab ka jaan meri
her pal hum khud ko haarey they
tha tera lams khuda ki qurbat 
tujh may uske jalwey saarey they
taa-umr maangi thi jo dua humne
tum meri ummid se pyaarey they
apni ulfat bheji rab ne tum may
saarey rang uske badey nyaarey they


Aaj
----
Ummid ka her mosam
tere lafzon ne jala daala
dil-e-maadar jo qila tha kal
usey ek pal may hila daala
kal jaise koi nahi aaya
aaj may us kal ko sula daala
is tu tu mai ki jang puraani se
her ehsaas ko zang laga daala
kub vo ehsaas huye zaayel
is daur ne saayel unko bana daala
kya waqt us kal ko mitaata hai
ya insaan ne usko mita daala
aaj ka her pehlu kal se jooda hai gar
phir us kal se kisne tujhko kata daala
ek asaan zubaan hai maa tere ulfat ki
tere lahu se tune ek dil bana daala
vo jism bhi tera hai vo dil bhi hai tera
ye kisne hukumat ka sikka bitha daala
yehan daur badalte hain aur hukumat bhi
dekh rang mohabbat ka kitnon ko saja daala