Search This Blog

Sunday, June 21, 2009

ek korey kaghaz per



Jub humen derd
sataaya karte they
Jub ghum se
maare maare phirte they
jub apne garebaan
chaak chaak rehtey they
jub tanha tanha
aahen bharte they
tab koii kaanon may
aa aa kar kehta tha
kuch haath nahi aane waala
tu khaali ghar may rehta tha
ek korey kaghaz per
lafzon ko zaaya nahi karte
lifafon may dil nahi rehte
mohabbat ko marz nahi kehte
derd nishaan they manzil ke
ek kasoti ulfat thi
Aansu tohfa they jazbon ka
meher-o-wafa ki shert hi
insaan ko kaamil karti thi
ye daur sabhi ko nahi milte
ye raaz sabhi per nahi khulte

Monday, June 15, 2009

Kahin koi gul nahi hai


Ajab hai ye mosam
Kahin koi gul nahi hai
Na kahin koi koyel
Bahaar se mil rahi hai
hai sakut be-sabaati
hai shor be-hijaabi
hai Hersu khana kharabi
Ab zad pe sitam ke
Tegh hain pareshaan
Ab shaanon pe unke
Sar lamhon ke mehmaan
Yehan her koi khuda hai
Kaun rahega baaqi
Inhi ke haath faisla hai
Hairathon se keh do
Ye bhi karbala hai
Aal-e-karam se qaayem
Sunnaton ka silsila hai
Junnat khushi nahi hai
Insaniyet ki khatir
haar may chupi hai
ilzaam lo apne sar pe
parcham wafa ke
lehrao apne ghar pe
ab na jhukenge
ye ghair ke dar pe
ye zameen se asman tak
saara mera watan hai
her pyaar karne waala
mera hum-watan hai
kaisi ye jung chidi hai
mohabbat sab se badi hai
zindgani ghadi do ghadi hai
thaam lo girte hauslon ko
samet lo bikharte palon ko
in may apne rang bhardo
javidaan mohabbat apni kardo

Sunday, June 14, 2009

Raah-e-Faham


Aye mere khuda Tera shukriya
Ye derd hain Mere hosh ki dawa
Teri hikmaten wahi Admi jaanta nahi
apni raah-e-behetari Pehchanta nahi
Arzu kuch bhi nahi Ek perde ke siwa
Gar uth gaya Mil jaayega khuda
Kal, sogawaar tha ,Aaj, ek taaza hawa
Khamoshio kuch kaho Tumhen kya hua
Gar dagmagaoge Manzil kaise paaoge
Hum-raahi phir haan oob jaayega
Gar qadam dar qadam Naii chot khaoge
Zabt ke abhi Dene hain imtihaan
Abhi na-gurez hain,Kal honge meherbaan
Aye dil sanbhal Yon na machal
Tera makin Kahin aur hi sahi
Tu usme hi maujud hai kahin
sun Ye khud-faramoshi teri
Faramosh us se Na hosakegi kabhi
sadaon may rahegi ,Sada rahegi tu
Uske labon per Ban kar dua koi

Wednesday, June 3, 2009

Tauba



Humse khata huii hai
Be-shak sazaa mili hai
khuda ne yehi kaha hai
tauba mera hi raasta hai
shakista dilon ka mujhse
baraah-e-raast waasta hai
be-aasra ko karle miskin
be-parwa ko karde muhsin
uske siwa koi kya hai
baatin may rah raha hai
derd derd may chupa hai
her marz ki dawa hai
khaar ki tarha chub raha hai
gul ki paanah aur kya hai
faasiq ko miljaye furqan
gumraah ko dede quraan
wahi raheem hai rahmaan
mujh per uski atta hai
vo jaanta her khata hai
wahi mera khuda hai
phir khaaki ka imtihaan hai
phir bismil neem-jaan hai
phir waqt hukmaraan hai
phir kaun uske siwa hai
wahi dil ka muddua hai
wahi aaj bhi dua hai