Search This Blog

Tuesday, August 19, 2014

rab dekhta hai kya hai banda mera...................






ab aye dil tujhe
na denge hum koi fareb
ke saare mosam aaye guzar gaye
un ke saare naale be asar gaye
ab dhadkanen bhi pareshan hain
apni be-rabt laye say nalaan hain
ye najaane kis ka qasoor hai
tera tujh per koi na zor hai
jo mile waqt se usey thaam le
her lamhe se zindagi ka jaam le
is daur ko chahe teri zarurat nahi
rab ki tu hikmat hai zarurat nahi
tu apni nermiyaan na chodna
rab se kiye waade na todna
apne karam se na munh modna
ke tujh ko aakhir kahin thamna to hai
kabhi is waqt ko bhi teherna to hai
is jahaan ko tu na jaan ayesh-kosh 
tere jism-o-jaan mitti hi karegi nosh
tu kuch bhi nahi sanbhaal paayega
acha hai gar saath kuch lekar jaayega
teri khushi may hai rab ki khushi
ke tune chuni hai apne rab ki khushi
ke rab madaah nahi jalwon ka tera
rab dekhta hai kya hai banda mera

ek sargoshi hai teri khamoshi...................





be-intiha hai ye jo darya hai
juda hai 
kinaron se to kya hai
rawani  kehti  hai  maujon ki 
ye talaash ke siwa kya hai
ek sargoshi hai teri khamoshi
ummid gardab ke siwa kya hai
koi lamha namud ka gawah hoga
zindagi us lamhe ke siwa kya hai
athkehliyan 
sujhi hain samandar se
tufaan ki peshqadmi ke siwa kya hai
apne asaaase ki khabar hai dost
ek apni zameen ke siwa kya hai
asmaan gar hojaaye zameen teri
moqadar perwaaz ke siwa kya hai
hogaii khabar humein raaz-e-ulfat ki
ek qalb-e- baa-hu ke siwa kya hai

Wednesday, August 6, 2014

jo mujh may kuch ajeeb hai..............




jo mujh may kuch ajeeb hai
dil-e nadan mera habeeb hai
sau jatan karke jo paaye koi
mil gaya jo mera naseeb hai
shareek-e-ghum hai mera ghum
mera derd hi mera tabeeb hai
jisey jaana azeez jaan se jaan
usi se hui khata jo khateeb hai
kutba samajh kar dil kunda kiya
haaye sitam ke vo niklii saleb hai
tere saath badla waqt her chalan
log kehte hain ye naii tahzeeb hai
aye waqt teri raftar se ab gila nahi
ye bhi khuda ki behter tarkeeb hai
jo likhta raha sada apni hi daastaan
zamaane may us sa na koi adeeb hai