Search This Blog

Friday, June 11, 2010

Ek qaatil se dil lagaane ki....................


Ek qaatil se dil lagaane ki
hum ney ye saza paai
Hamaari mohabbat ko
Kabhi maut hi na aai
Muh mod kar Saahilon se
doobney ki qasam khaii
manzil raastey safar chuta
patharon se hogaii shanasaii
hiss ehsaas kho baithey
ab deewane hain na saudaii
kya waqi “kal” koi guzra tha
“Aaj” per hosh ne ungli uthaii
ye saare fasaad dil ke they
ishq ki hi thi kaar-fermaii
gar junun shauq ban jaaye
hojaaye mohabbat bhi ruswaii
be-khudi ki apni sherten hain
isme aqal ki nahi sunwaaii
bhaley dil jaata rahe jaaye
dono jahaan haarey marifat paai
ye sauda bura nahi pyaare
ye zindgi kisi kaam tou aai

Thursday, June 10, 2010

They laakh jatan karne ko


Ek Chaak daaman seene ko
Ek be-maqsad se jeene ko
Lahu jigar ka peene ko
Azaab khwab ke sehne ko
Waqt ke saath behne ko
Waayez dekhe qareene ko
Maajhi musafir safeene ko
Majbur khud ko dhoney ko
Rishton ki kashti khene ko
Khud ko insaan kehne ko
They laakh jathan karne ko
Sirf Khaaki se mitti hone ko

Jo hain khud se bekhabar..............


Jo hain khud se bekhabar
Unhen sab ki hai khabar
Begaane se ye lagte hain
Deewane se aate hain nazar
be-deewaar-o-dar hain par
Kartey hain dilon ka safar
Be-niyaaz ke dil may hi
Be-niyaaz karte hain ghar

Monday, June 7, 2010

Aye maalik-e-kaainaath


Aye maalik-e-kaainaath
Tere aagey pailey huye
Damaan ki kya hai bisaath
Sherminda hui her aarzu
Ser-nigun hai her juztaju
Bas rubaru teri hai zaath
Sabar azma hausla shikan
Zindgi hai Musalsal thakan
Kya maut kya hai hayaath
Pukaar tod rahi hai dum
Waqt bhi yaarab hai kum
Ek ummid tera hai saath
Dil ka ruka hua hai safar
Kahin ghair na karley ghar
Koii lagaaye baitha hai ghaath
Meri Raah tu raahbar bhi tu
Qaasid bhi tu khabar bhi tu
Tujhse chupi koi nahi hai baat
Her arz hai gosh aagey terey
Ye zindgi teri hum bhi terey
Isme teri raza ka hai haath