Search This Blog

Thursday, December 25, 2014

Zindagi her lamha badalti hai.......



Zindagi her lamha badalti hai
Zindagi per kisi ki na chalti hai
Zindagi her Surat may dhalti hai
Zindagi sab se ek baar milti hai
Zindagi ko na samjho to ghalti hai
Zindagi ban jao tab ye khulti hai
zindagi phal de kar hi phalti hai
Zindagi chasm-e-num se  nikalti hai
zindagi derdmandon ke sath chalti hai
Zindagi roz ek  wada ban ke milti hai

justaju mere khayal ki.................








justaju mere khayal ki
gar tere khayal se mil gaii
jo bisaath barson bichi rahi
gar qismat vo baazi chal gaii
gar yaqeen ko murad haasil na hui
samjh lo zindagi se  rooh bhi gai
muzmahal mosam bhi khamosh hain
waqt ki suii isi khayal se thum gaii

Wednesday, December 24, 2014

Aye dil na shor kar......






umr ke is mod per
aye dil na shor kar
Eksay hain dil agar
tu kya hai ghaur kar
yaad rakh itna magar
ek ehsan thi vo nazar
tu durust apna haal kar
tere kal ki usey hai fikr

Sunday, December 21, 2014

Vo shaam .................




vo shaam bada hi yaad aati hai
vo shaam aaj bhi dil gungunati hai
vo shaam muradon ki pazeeraii thi
vo shaam paas-e-wafa ki ronumai thi
vo ek shaam khwabon khayalon si
vo shaam ajab khisse sunaati hai
us shaam pehlu bhi tha ghaafil
us shaam ehsaas bhi they ojhal
us shaam gumaan binaii ko bhi tha
us shaam dua shahid ban ke aai thi

us neechi nazar ke fitne saarey they
us tabassum may dil ke khasaare they
khamoshi guftar per thi maayel
arzuyen uske aage huyeen ghaayel
magar dum tod raha tha waqt
us dum halaath bade they sakht
yaqeen o gumaan ki jung thi jaari
ek birha ki maari herdum hi haari
magar aaj tak vo pal zinda hai
khayal ka vo jugnu aaj bhi tabinda hai
ke vo lamha mera na ho kar bhi mera hai
usi lamhe se in zulmaton ka sawera hai

Friday, December 19, 2014

Mere charagar mere humsafar........................





Mere charagar mere humsafar
Teri inayeton se hun bakhabar
Tu ek aam ko yon na khaas kar
Sab kuch hai tere saath ka asar
Meri zaat ki puri huii her kasar
Maine kar liya apni zaat ka safar
hai ab-e-hayat ya raah-e-Khizar
thi Raah-e-faham badi mokhtasar
Meri deewangi hai ab tere ziasar
Khayal hogaye khoob se khoobter

Monday, December 15, 2014

aye khamoshi hai ye tera karam............






ye raah badi ajib hai
hogaii hai rasmon ke naam
ye soch ki udaan bhi
soch per hogai hai tamam
faasle taveel tar sahi
per hain muqribon ke jaam
ke yehi hai vo rah-o-rasam
hote hain ek dusre ke naam
aye khamoshi hai ye tera karam
mere shor ki hogaii hai shaam
ye sunnate mujh may uterte huye
de rahe hain anokhe payaam
khayaal ki nahi hain ye manzilein
ye hai ahal-e-dil ka inaam
shab-o-roz ye nafs ki mushaqaten
kar rahi hain tujh ko salam

Friday, December 12, 2014

yehaan husn hai nahi hain raunaqen.........






yehan charagh hain nahi hai roshni
yehaan husn hai nahi hain raunaqen
yehan jawaan hain nahi hain hausle
yehan gumaan hai nahi hain haqeeqaten
yehan ikhtra pasandon ki bheed hai
yehan raah hai nahi hain manzilein
yehan muyasar nahi hai waqt ko admi 
yehan dil to hain, kum hain mohabbaten
yehan tareekiyaan tarik kar gayein zehen
yehan subahen hain nahi hain sohabaten
yehan sab kuch hai nahi hain qurbaten
yehan admi hi admi nahi hain fursaten

Wednesday, December 10, 2014

khushbu tere khayal ki hersu mehek uthi..........................






khushbu tere khayal ki hersu mehek uthi
ek maayus gadaagar ki qismat chamak uhi
barson raha safar may  jo ek tera khayaal
dil ke aaine may shabeeh uski jhalak uthi
tasawur banata raha teri tasweer baar baar
dil may jo reh gaii  so  dil may chalak uthi
teri sohbaton ke jaam they,aur mayekhwar 
vo mehefil-e-surur kahan phir ye kasak uthi
ab tak na khul saka us chasm-e-azan ka raaz
thi ek barq noor ki,sangdil ana bhi bilak uthi
malte hain ankh rah rah ke khoye huye hawaas 
in may kitne dinon ke baad koi dhamak uthi
chalo maana nawazishon ka moqadar hai admi
taalib-e-nawaz ki,nawaz ke dil may humak uthi

Friday, December 5, 2014

aye mere junun phir ek nazar..............





aye mere junun phir ek nazar
phir mere dil se ho kar guzar
meri veeranion ko zara tatol
meri behisi ke darwaze khol
ho na ho yeh mera zawal hai
gar hai to kyon ye malal hai
ab yaad bhi nahi na khayal bhi
shayed nahi hai koi sawal bhi
mujh may hi kahin rehta hai tu
her pal mujh may kehta hai tu
gar  mai  nahi tou  tu bhi nahi
tere baghair guzar mera bhi nahi

chin li tune meri beqarari......................






maine kaha chin li tune meri beqarari
usne kaha kha aur zarb koi karaari
maine kaha mai hi kyon nasibon ki maari
usne kaha tu lagti hai mujh ko pyaari
maine kaha aakhir kaisi hai teri yaari
usne kaha yehi ferman hua tha jaari
maine kaha shab khoon ki nahi thi tayari
usne kaha siffak hota hai ahalkar sarkaari
maine kaha mai sadion se birha ki maari
usne kaha nadan ab vasal ki hai baari                          

Wednesday, December 3, 2014

ye duniya ek tajruba hai..............







ab meri jagah is zameen per nahi hai
sochti hun kya ab tak vo dil yehin hai
duniya ko nazar na aao to ye samjho 
tumhara wajud ab us ka hissa nahi hai
ye kaisa lahu hai pal pal may rang badle
laikin kisi rang ka ehsaas kyon nahi hai
qabza dilon per asan kardiya hai usney
nabina nafs ke aagey ulfat jo nahi hai
ghulaam waqt ke hone lage hain nadan
kya bhul gaye waqt eksaa rehta nahi hai
faramosh hogai kyon gardish ki hakeemi
dar us ghadi se jiski tujhe khabar nahi hai
maula jawab tera muhamal hi raha hai
teri hikmaton may adam ka guzar nahi hai
duniya ek tajruba hai adam tajruba-gah 
ye rab ka safar hai tera safar nahi hai

Friday, November 28, 2014

Chahten zid hain manzilon ki...........................






jisne chaha ho zindagi ku
zindagi uske liye nafi hai
chahten zid hain manzilon ki
zindagi inme kahin nahi hai
kabhi khud ko azma ke dekho
waan khud ki haar hi chupi hai
bulandiyon per, jiski nazar tiki hai
pastion may bhi uska guzar nahi hai
maana her koi hum pe hukmaran hai
jism jhuk gaya hai per ankh to uthi hai
haq go guzar ja,dil may kisi ke chahe
apne hi haq per uski nazar nahi hai
duniya rishte, sab khel hain tamasha
per tujh sa madaari aur koii nahi hai
ye seene se kaisi, awaazein uthi hain
sadion ki ghutan se, azaadi to nahi hai
dil ke makhmason se aari hua dil
deewangi ki meri ,ye qeemat to nahi hai
ab na hai hayaath bakhsh, aab-e-hayaath koi
kahin isme bhi koi, milawat to nahi hui hai

Wednesday, November 19, 2014

na jaa lafzon pe mere...........





mai na likh sakun
ab kuch uske siwa
jub se hogaya hai
vo her ansar mera
zamana konsa hai 
kuch yaad na raha
koi na jaan paaya
pehchan ka ye silsila
na jaa lafzon pe mere
inme bhi hai teri ada
derd duniya ke they
mere hosh ki dawa
zindagi zyaan hi gaii
gila taumr khud se raha
tujh se meri nazar 
badi dair se mili
ek daur aarzi
madhoshion may cut gaya
banaye rishton ke ihaate
khud ko aseer unka kiya
khudgharzion ke jharoke bane
her rishta waan se nikal gaya
haasil murad koi na hui
kahin koi kamaal na hua
zindagi deewangi ki nazar hogai
tere khyaal ke siwa kya hai mera

------------------------------------------------

दिगांबेर नस्वा जी

आपकी इचा अनुसार ये रचना देवनागरी मे....


मई ना लिख सकूँ 
अब कुछ उसके साइवा 
जुब से होगआया है 
वो हेर अंसार मेरा 
ज़माना कॉन्सा है  
कुछ याद ना रहा 
कोई ना जान पाया 
पहचान का ये सिलसिला 
ना जेया लफ़्ज़ों पे मेरे 
इनमे भी है तेरी अदा 
दर्द दुनिया के थे 
मेरे होश की डॉवा 
ज़िंदगी ज़यां ही गाइ 
गीला तोम्र खुद से रहा 
तुझ से मेरी नज़र  
बड़ी दायर से मिली 
एक दौर आरज़ी 
मदहोशीोन मे कट गया 
बनाए रिश्तों के इहाते 
खुद को असीर उनका किया 
ख़ुद्घारज़िओं के झरोके बने 
हेर रिश्ता वाँ से निकल गया 
हासिल मुराद कोई ना हुई 
कहीं कोई कमाल ना हुआ 
ज़िंदगी दीवानगी की नज़र होगआई 
तेरे ख्याल के साइवा क्या है मेरा 

Tuesday, November 18, 2014

mukamal kardiya mujh ko usne duaon may............




husn khud dooba ho jub teri nigahon may
ishq bhi machla ho jub teri panahon may
tu hi tu hai chaandni raaton ki aahon may
zikr tera mehekta raha sunsan raahon may
ye jazba adhura hoke pura hai chahon may
mukamal kardiya mujh ko usne duaon may
meri aahaten kyon hain uski sairgaahon may
roohon ki mehefil sajti hai in khankhahon may

Tuesday, November 11, 2014

Aas....................






her dil ko kisi na kisi lamhe ki aas hai
her dil ke liye koi koi lamha khaas hai
kahin kisi lafz ko tere lafzon ka paas hai
kahin kisi sitar may koi jazba khaas hai
zindagi chahe chund saanson ki asaas hai
zindagi in saanson ko tere karam ki aas hai
jaate huye mosam may ye kis ki yaas hai
jaane kitne mosamon ki inme mithaas hai
duniya ka karobaar mahaz ek qasaas hai
duniya gar samjho to samundar ki pyaas hai

Thursday, November 6, 2014

koi khayaal jub bhi pukara kare...................








koi khayaal jub bhi pukara kare
koi khayaal na dil ko sataya kare
jub kabhi milein tere khayalon se
koi khayal humen na tadpaya kare
kya hain derd ye,ya yaaden haseen
koi khayaal derd ka ab na aaya kare
tera lafz lafz mehfuz-e-khayaal hai
koi khayaal ye gul kaise khilaya kare
meri justaju ko mil gaya tera alam-e-hu
koi khayal ye qismat kahan paaya kare
mehefilon ki roshni hai tanhai ka khiraaj
koi khayaal laakh khud pe itraaya kare
saaket hote huye hawason ne dil se kaha
koi khayaal kabhi na ishq ko jatlaaya kare

Tuesday, October 28, 2014

bas ek dhaal hai tere daman ki..............



kholi ankh tou uff kya dekha
bas darya tha na kinare they
bas saath kamzor sahare they
kaun humko paar lagayega
in maujon say koi kya payega
ye to waqti tez dhaare hain
ye bhi tufan ke aage haare hain
bas ek dhaal hai tere daman ki
dheemi chaal hai tere kherman ki
phir bhi mazbuti se tune thama tha
tere saath  mun mast kharaman tha
ye ehsaas ke darya laakh muhzor sahi
usey tujh se takra ke thak jaana tha
ab saare derd kaif ki manzil paalenge
ab saare zakhm teri mehefil saja lenge
ke tujh ko khabar hai is jhilmil ki
ke tujh ko khabar hai is bismil ki

Sunday, October 26, 2014

roz ek khwaab sanwarta hai.............




roz ek perda girta hai
roz ek rishta marta hai
roz ek shajar hara karta hai
roz ek sukha patta girta hai
roz ek takraar hai jeevan ki
roz ek khwaab sanwarta hai
roz ek dore bandhi hai dil se
roz ek bandhan tuta karta hai
roz ek saaya hai deewaron pe
roz ek deewar giraaya karta hai
roz ek jung hai dil ke khanon may
roz ek ek ahad aahen bharta hai
roz ek yaad hai tere qutbon ki
roz ek daras le ke ubharta hai
roz ek taara dooba in ankhon may
roz ek naya chaand khila karta hai
roz ek naye kal ka waada hai
roz ek irada raah dekha karta hai
roz ek naya tamasha hai duniya ka
roz ek purani baat bataya karta hai

Wednesday, October 22, 2014

kya bataun tum ko mai ke haal kaisa hai....................





kya bataun tum ko mai ke haal kaisa hai
is khushrang mosam may malal kaisa hai
nabz ashna jaanta hai dhadkanon ki laye
her ehsaas hairan hai vo kamal kaisa hai
rukti huii saanson ko vo rukne nahi deta
apni ankhen malta hua ye visaal kaisa hai
dum todti ummid ke moqabil yaad hai uski
gar mohabat imaan hai to sawaal kaisa hai
talab ki justaju gar zaaya kardegi haasil ko
phir khuda bande ka rishta lazawal kaisa hai
sada in khayalon se goya hai teri khamoshi
ek rishta unsuna hai per bemisaal kaisa hai

Thursday, October 16, 2014

vo kal aaj bhi gunja karta hai..................







vo kal aaj bhi gunja karta hai
vo kal aaj bhi khwab sa lagta hai
vo kal aaj bhi dil ki shadabi hai
vo kal aaj bhi dil ki bazyaabi hai

Aah koi dil suna karta tha
koi saath aahen bharta tha
koi pehlu mehkaya karta tha
koi ankhon may rang bharta tha

sab tab ki ye baaten theen
jub din apna tha apni raaten theen
chahe chund hi mulaqaaten theen
tamam umr ki saughaaten theen

jis per pathjhad ka saaya tha
ek naya mosam us per aaya tha
ek buund mangte ka sarmaya tha
wahi buund luta kar aaya tha

kyon apni ummid pe roya karta hai
kyon khud ko in may boya karta hai
kyon apni khamoshi goya karta hai
kyon bekar daman bhigoya karta hai

faqat ek dawa hai tere zakhmon ki
bas hai ek hi marham bechaini ka
apne hawason ko phir kal se mila
wahin maujud hai tere ghum ka sila

Friday, October 10, 2014

Zindagi phir shaam huii jaati hai..............





Zindagi phir shaam huii jaati hai
namukamal tamaam hui jaati hai
kaun ab ghaur kare haasil kya hai
jitni guzri tere naam huii jaati hai
umar waqi dhoke ke siwa kya hai
koi aah jaise nakaam hui jaati hai
zindagi dhundte hi rahe tera jawab
ek sawal per hi tamam hui jaati hai
kitna siffak tha daanavon ka qalam
koi tegh jaise be-niyam hui jaati hai
daman-e-taar se lipte hain khaar kai
yehi rasm-e-ulfat pyaam hui jaati hai

Wednesday, October 8, 2014

Tabeeb mera..................




Tabeeb mera khafa hai
Magar umid-e-shafa hai
Taalib saraapa iltija hai
Abadi adna,aala dua hai

Monday, September 22, 2014

Dosti








huzur dosti may sirf dil ki raaye li jaaye
dushmanon ko bhi dosti ki raah di jaaye

maut ko bhi ab muyassar nahi hai adam 
roz zindagi se kyon takraar koi ki jaaye

saans saans ghabra ke khud se kehti hai
mujhe phir koi wajah zindagi ki di jaaye

kashtiyan khadi hain apni bechaini chupaye
mujhe may bhi zindagi ki sair koi ki jaaye

zakham to zakham hain kya haal kya maazi
bhool kar bhi khudara na koi bhool ki jaaye

duboya ho jisne khud ko teri nigahon may
ab us say kahaan maye aarzi koi pi jaaye

Sunday, September 14, 2014

Aye Shamma.........................






aye raat tujhe patta hai
shamma ke saath kya hua hai
nahi ye khwab ki khumaari
ye hai umrbhar ki beqarari
ye nasib hai shamma ka
be vasal mitne ki tayyari
koi perwane se bhi to pooche
kya teri ulfat bhi hai ayyari
shaatir waqt ka hai tu nishaana
kaise bachegi koi taqdeer ki maari
teri roshni may bhiga hua husn hai
usper jaan leva perwane ki gulokari
shab bhar may kitne dil sulagh uthe
koi ji utha koi kare alwida ki tayyari
meri maan jaa abhi khud ko na jala
tu nahi jaanti perwana hai sarkaari
ek tu hi nahi hai is jahan may bebas
behissi may uski chupi hai khaaksaari
mit jaana kisi per aam tou nahi hai
misl shamma kisi ne na jaan apni haari

Thursday, September 11, 2014

mera junun keh raha hai..................





mera junun keh raha hai
ye tere junun ka asar hai
warna kya thi zaat meri
jaise gidh khoon se tar hai
jise apni khudi ne ho maara
vo khud se bhi bekhabar hai
mujhe muaf kar mere maula
tera ishq sada se bekhatar hai
tu her lamha mera gawah hai
mujh may meri hi kasar hai
shab-o-roz jisey khojte they
vo rag-e-jaan se qareeb-tar hai
kal paaya usko apne pusht per hi
jiske baghair her jazba be-asar hai
khudaya tera inaam hai mohabbat
tere karam per hi guzar basar hai

Monday, September 1, 2014

ek rang mohabbat ka........


Kal
------
in khilti kaliyon se
tere lub badey pyaarey they
is shafaq ki laali ne
tere rukhsar sanwarey they
un nhanni ankhon may
maano chaand sitaarey they
jaisey phoolon se goondha tha tu
tujh se chaman ke waare nyaare they
tha ek noor ka paikar tu
tujh may qudrat ke ishaare they
ek tabbasum ne tere mujh se
chin liye ghum saarey they
aah tujhe seene se laga kar hum
bhul gaye apne galiyaarey hey
tu mila ek saaz naya ban kar
hum sadiyon se soz ke maarey they
tu israar tha rab ka jaan meri
her pal hum khud ko haarey they
tha tera lams khuda ki qurbat 
tujh may uske jalwey saarey they
taa-umr maangi thi jo dua humne
tum meri ummid se pyaarey they
apni ulfat bheji rab ne tum may
saarey rang uske badey nyaarey they


Aaj
----
Ummid ka her mosam
tere lafzon ne jala daala
dil-e-maadar jo qila tha kal
usey ek pal may hila daala
kal jaise koi nahi aaya
aaj may us kal ko sula daala
is tu tu mai ki jang puraani se
her ehsaas ko zang laga daala
kub vo ehsaas huye zaayel
is daur ne saayel unko bana daala
kya waqt us kal ko mitaata hai
ya insaan ne usko mita daala
aaj ka her pehlu kal se jooda hai gar
phir us kal se kisne tujhko kata daala
ek asaan zubaan hai maa tere ulfat ki
tere lahu se tune ek dil bana daala
vo jism bhi tera hai vo dil bhi hai tera
ye kisne hukumat ka sikka bitha daala
yehan daur badalte hain aur hukumat bhi
dekh rang mohabbat ka kitnon ko saja daala

Tuesday, August 19, 2014

rab dekhta hai kya hai banda mera...................






ab aye dil tujhe
na denge hum koi fareb
ke saare mosam aaye guzar gaye
un ke saare naale be asar gaye
ab dhadkanen bhi pareshan hain
apni be-rabt laye say nalaan hain
ye najaane kis ka qasoor hai
tera tujh per koi na zor hai
jo mile waqt se usey thaam le
her lamhe se zindagi ka jaam le
is daur ko chahe teri zarurat nahi
rab ki tu hikmat hai zarurat nahi
tu apni nermiyaan na chodna
rab se kiye waade na todna
apne karam se na munh modna
ke tujh ko aakhir kahin thamna to hai
kabhi is waqt ko bhi teherna to hai
is jahaan ko tu na jaan ayesh-kosh 
tere jism-o-jaan mitti hi karegi nosh
tu kuch bhi nahi sanbhaal paayega
acha hai gar saath kuch lekar jaayega
teri khushi may hai rab ki khushi
ke tune chuni hai apne rab ki khushi
ke rab madaah nahi jalwon ka tera
rab dekhta hai kya hai banda mera

ek sargoshi hai teri khamoshi...................





be-intiha hai ye jo darya hai
juda hai 
kinaron se to kya hai
rawani  kehti  hai  maujon ki 
ye talaash ke siwa kya hai
ek sargoshi hai teri khamoshi
ummid gardab ke siwa kya hai
koi lamha namud ka gawah hoga
zindagi us lamhe ke siwa kya hai
athkehliyan 
sujhi hain samandar se
tufaan ki peshqadmi ke siwa kya hai
apne asaaase ki khabar hai dost
ek apni zameen ke siwa kya hai
asmaan gar hojaaye zameen teri
moqadar perwaaz ke siwa kya hai
hogaii khabar humein raaz-e-ulfat ki
ek qalb-e- baa-hu ke siwa kya hai

Wednesday, August 6, 2014

jo mujh may kuch ajeeb hai..............




jo mujh may kuch ajeeb hai
dil-e nadan mera habeeb hai
sau jatan karke jo paaye koi
mil gaya jo mera naseeb hai
shareek-e-ghum hai mera ghum
mera derd hi mera tabeeb hai
jisey jaana azeez jaan se jaan
usi se hui khata jo khateeb hai
kutba samajh kar dil kunda kiya
haaye sitam ke vo niklii saleb hai
tere saath badla waqt her chalan
log kehte hain ye naii tahzeeb hai
aye waqt teri raftar se ab gila nahi
ye bhi khuda ki behter tarkeeb hai
jo likhta raha sada apni hi daastaan
zamaane may us sa na koi adeeb hai

Tuesday, July 29, 2014

tu na rakh aye munafiq...........







tu na rakh aye munafiq meri namaz ka hisaab 
teri namaz dhong hai mera her fale hai namaz
jalwa-e-kibriya hain zakhmi qalb-o-jigar ye mere
mere zakhmon se chedkhani ka dhund na jwaz
ab tak shermindgi ka jisne chakha ho na zayeqa
sajdon ki haqeeqat ko bhala kya samjhe vo majaz
ye aag dil may rakh na is ko sholon may tu badal
is se koi na bach saka ke phailna is ka hai mizaj
maana ke patharon ne banaya hoga tujhe pathar
hum bhi qudrat ke usulon ka nazara karenge aaj
hum ne barha kohsaaron ko azmaaya hai kohsari
patharon may bhi gul khilana hai mehbub ka andaz

Thursday, July 24, 2014

Vo phir awaz de raha hai.................











ye kon bandh kiwaden
dheere se kholta hai
ye kon awaz de raha hai
madham si dhadkanon ko
mayusion ke andhere
lamhabhar ko chat gaye hain
mubham si koi kiran hai
jo ummid ban gaii hai
ek taar phir se chid gaii hai
jo khayal se mil gaii hai
un ankhon ki chamak may
manzil gum ho ke reh gai hai
ya yon bhi dil keh raha hai
unhi may manzil mil gaii hai
mujhe sada hi ye yaqeen hai
tu dil ke paas hi kahin hai
is subah shaam ke safar ka
tu shahid hai mere raston ka
tujhe mere lamhath ka patta hai 
jahan maine khud ko kho diya hai
ye waqt mujh se chin gaya hai
mere wajud se mukar gaya hai
azab se ab dar nahi lag raha hai
ke yehin se shuru vo silsila hai
vo ankhen ummid ki hain taalib
jahan khayal ko tu mil gaya hai
derd ka ye sauda bura nahi hai
khayal behlawon ki hi sayee hai
chalo do pal ummid ke shajar se
ek saaya hum bhi chura lein
do ghadi jaati huii saanson ko
hum teri awaaz dekar bula lein
ke ummid bhi ek arzoo hai
aur mohabbat arzoo nahi hai
mohabbat inaayet hai roshni hai
ye wahed ummid daayemi hai

Tuesday, July 1, 2014

ye Moqam hai makan nahi.....



ajab makhlukh hai maula teri
ajab hai tere khalkh ka carvan
saara jahaan bana adam ke liye
phir bhi adami dhundta hai makan
chuntiyon ne khoja zameen ka raaz
parindon ko kaafi na hua asmaan
tinkon ki niyu per bichaaye apne parr
apnon ke liye banaya haseen ashiyan
ghaaron ko banaya miskin shah-e-dasht ne
chopayon ne kaha hum bhi lamakaan
adami ne seekha inhi se saleeqa-e-zindagi 
adami insan bana inhi ke darmyaan
ye dar ye deewar kya banayenge ghar
ye hai bas aam sa khahishon ka kunwaan
gar adam ke seene may karwat na lega dil
uska thikana na ye zameen na vo asmaan
ye zarurat nahi hai adam zindagi ki teri
ye tera moqam hai ye tera makaan
khuda ka ezaaz hai ye hasti teri 
teri hasti se qaayem hai tera jahan
zamaane ki gerd may isey na malus kar
ke teri raah may hi hai teri manzil ayaan

Wednesday, June 4, 2014

tut-te bharam ka.......







usey  mujh  per yaqeen nahi  hai
shaayed  usey ye khabar nahi hai
najaane kyon vo mera yaqeen hai
rishton ki chahe zameen nahi hai
magar meri rooh usi say bani hai
her lamha kholta israr surmaii hai
us ki khamoshi hi us ki aagahi hai
zindagi khud ko paane ki sayee hai
khud se haar jaana zindagi nahi hai
tut-te bharam ko thaamta wahi hai
dubte dil ko dhadkan usi se mili hai

Thursday, May 29, 2014

vo mehfuz hai ban ke noor baatin ka......






kahan samjhe they hum tum ko
jub tak khud ko na they samjhe 
her subah ek sitar le ke aati hai
is adhurepan per ungli uthati hai
kya yehi adhura vo armaan tha
kya itna hi us junun ka tufaan tha
kya do lafzon ki tishna khumari thi
kya ek shaam ki anmit beqarari thi
vo mulaqat tamam umr ki tayari thi
chehra perda raha her tabasum ka
dil shahid raha ujalon ke mosam ka
vo mehfuz hai ban ke noor baatin ka
vo mullah ashna hai saahil saakin ka
udasi se mehek milne lagi gulabon ki
jaise ashnaii ho maye se kharabon ki
ek buund ki tamanna bhala usko kya ho
jisne chaadar uthaali ho tere hijabon ki