Search This Blog

Friday, March 29, 2013

ek rang hai deewana..................




her subah milti hai
mosam ek naya le kar
her shaam dhalti hai
ek paigham naya de kar
nayaab raat ye kehti hai
mujh ko na  ganwa so kar
pal do pal ka mauqa hun
pachta na mujhe kho kar
khursheed bujha sa hai
pareshan hai tera ho kar
rifaqat rab ki agar chahe
dekh duniya pe zara ro kar
naaz nafs ke na utha nadaan
dekh apni rooh ka kabhi ho kar
ab ek rang hai deewana
tere jalwon ka asar le kar

Thursday, March 28, 2013

phir usne liya mera imtihaan..............



phir usne liya mera imtihaan
phir na samjha mujhe meherbaan
mai ne shayed na tha bolna
na tha raaz dil ka kholna
jo theen khahishen meri hi theen
saare zakham bhi faqat mere hi they
uski nazar may sab raah-e-gumrahaan
mai thi bas ek khahish-e-neem jaan
raaz khamoshi ka jub paa liya
jub her zakhm khud hi si liya
phir kyon chahta hai unki zubaan
kyon kiya ummid ka ek pal ziyaan
kahaan milteen mujhe vo samaa-aten
ban jaati jo be-zubaani ki zubaan
kabhi sun paati unki khamoshiyan
kaash ye junun le kabhi raah-e-faham
kabhi tuut bhi jaaye us ka bharam
mai saare naqaab dil ke noch lun
deewangi ka koi naya naam soch lun
phir hogi meri zameen na mera asmaan
phir rahungi mai na ye dono jahaan
Maula tu samjha raha hai kub say zindgi
Her arzu may chupi hai teri bandagi
Tu hi hai meri khahishon ki zuban
Tujh say hi hai meri ulfat ka jahan
Tera hona hi hai mere hone ka nishan
gar tu na hota phir Maula mai kahan

Friday, March 22, 2013

Mohabbat ek nagahani hai......................





Mohabbat ek nagahani hai
Mohabbat na koi kahani hai
Mohabbat sadion purani hai
Mohabbt lahu ki rawaani hai
Mohabbat adam say bhi pehle
Mohabbat noor-e-asmaani hai
Mohabbat hai rooh ka ansar
Mohabbat rab ki nishaani hai
Mohabbat imaan saadiq hai
Mohabbat looh-e-qurani hai
Mohabbat dastaan-e-sulaimani
Mohabbat seeshson ki zubani hai
Mohabbat siddiq ki zeenath hai
Mohabbat yaar ki jaan-fishaani hai
Mohabbat shamsheer-e-haidar hai
Mohabbat be-loos qurbani hai
Mohabbat Farooq ka tewar hai
Mohabbat Ghani ki hukmarani hai
Mohabbat ehsaan khuda ka hai
Mohabbat mehbub--e-do-jahaani hai
Mohabbat Mohammed ka sadqa hai
Mohabbat ashiqon ki shaadmani hai
Mohabbat ezaaz hai dilgiron ka
Mohabbat derd ki jawaani hai
Mohabbat insan ki fitrat hai
Mohabbat rab ki zu-fishani hai
Mohabbat nazaan apni qismat per
Mohabbat khuda ki meherbani hai
Mohabbat mehbub ki surat hai
Mohabbat her pal manaani hai

Thursday, March 14, 2013

ruposh hogaye gar mere khayaal ye..............





ruposh hogaye gar mere khayaal ye
kon jaan paayega hai kiska kamaal ye
------------------------------------------------------------
vo khana-badosh hai ya sarfarosh hai
ek  israar purana kub say khamosh hai
labada gada ka hai shahon ka bhes hai
uski her ada may jaanbazon ka josh hai
manzar nigahon ko ghair ka dikhaaye vo
vo dostaan-e-rehmat ka halqa bagosh hai
jisey panaah na mile sabar-o-qarar may
wahed thikaana unka ek uski aghosh hai
kaif uski khamoshi, masti hai us say agahi
maye hain khayaal ye,dil maye-farosh  hai

khwab-e pareshan dhalne do...................





Koi shab  zindgi  si  khilne do
Kisi subah say ankh milne do
khwab-e pareshan dhalne do
be-naam seher say nikalne do
shama si hasti ko pighalne  do
maati ka diya pal pal  jalne  do
zulmaton ko ankhen malne do
be-par tayer ko na sanbhalne do
apne deewane ki ek na chalne do
us bandh darwaze ko ab khulne do
apni gali say hum ko gale milne do

Saturday, March 9, 2013

kahin hai raat ka andhera................








kahin hai raat ka andhera
kahin hai phaila hua ujala
koi kahin din mana raha hai
koi kahin shab ko bhula raha hai
dono ki hasrath yehi hai
koi paighaam hum ko dede
koi paighaam hum say lele
kahin kisi ka waqt teher jaaye
kahin kisi ka waqt guzar jaaye
zehen-o-dil ki kofaton say
apne dil-o-dimaagh dho le
kahin koi nayab lafz kisi ka
kisi ki mayus rooh ko chu le
ek nerm taaza hawa ka jhonka
kisi khuli khidki ko tatoley
kahin koi jharoka koi jhuri mil jaaye
mai uski tamazaton ko sametun
saari veeraniyaan uda lun
wahi dost mera sadiyon purana
inhi khulavon may phir say paa lun
koi kub say khud may khojta hai
apni deewangi may dhundta hai
aye kaash hum, hum na hote
aur ye waqt ke sitam na hote
aaj bhi vo nhanni si gileheri
ab bhi pahad khojti hai
apna agla konsa hai thikana
apni qismat say poochti hai

Friday, March 8, 2013

ban gaya meri aadat vo..............





mere hisson ki herkat vo
ranj-o-ghum ki raahat vo
mere khayaal ki farhat vo
ban gaya meri aadat vo
vo hai tou mai hoti hun
us ek wajah ko jeeti hun
wahi ek khayaal piroti hun
her lamha us say milti hun
nayab hai ye rishta apna
maano jaise ho koi sapna
suna hai kya rab ka kehna
ab na door mujh say rehna

Thursday, March 7, 2013

tut-ta raha ek khwab raat bhar.................





jo paas tha sab tou gaya
tujhe aur kya sanam chahiye
khwab chahiye khayal chahiye
shabdon ki konsi qisam chahiye
hoshwaalon ki lun tarani chahiye
ya deewane ka bharam chahiye
pooch na us say hijr ki khushi
vasal may jise ghum chahiye
khamosh ko dua shor ki mili
aur konsa naya sitam chahiye
ye tapish kitnon ko jalaa gai
is aag ko tera karam chahiye
tut-ta raha ek khwab raat bhar
her raat tujhe kyon num chahiye
ek dil pe nashtar kitne chalayenge
unhen kuch tou sharam chahiye

Ghum na kar zindagi......................




Ghum na kar zindagi
tere saath bhi hai koi
tu dhadak rahi hai abhi
isi saaz say hai zindagi
gar ye nahi tou tu nahi
ek ehsaas hun mai tera
mujh say hai ye naghmagi
gar mai nahi tou tu nahi
koi phul hai khaar ka badan
koi khaar hai be-chaman
koi ghuncha hai be-watan
inhi say mili hum ko agahi
gar ye nahi tou kuch nahi
kaii ansaron ki amajagah
ye jasd-e-khaaki hai mera
ek jo duje say bichad gaya
koi pehchan ki raah bhi nahi
hujum gar kabhi daboch le
tere firaq ki raahen noch le
hogi ek naye safar ki ibtida
gar teher gaii tou kuch nahi