Search This Blog

Wednesday, February 27, 2013

waqt ka ye carvan................





koi dil ki baat kyon kare
koi chahe jiye mare
waqt ka ye carvan
mujhe chod kar badh gaya
mai wahin khadi rahi
jahan tu mujh say bichad gaya
koi dil tak na pahunch saka
na nigahon ka bhed pa saka
sab bas apni khudi may hi rahe
koi khud ko na samajh saka
badi ajib hai ye zindgi
koi apna, apna na raha
hain mutaharik saaye jism ke
kahaan hai in may zindgi
kahaan miti rooh ki tashnagi
na jazbon may hai koi dilkashi
yehan sab hain ajnabi ajnabi
koi maangta hai jaan meri
kisi ko chahiye bas haaziri
ajab hai waqt ki behisi
rishton ki raanaai bhi gaii
lafzon ke teer hain itne kargar
batey deewar ke baghair bhi
jo they jism-o-jaan mere
vo bhi kub ke rukhsat huye
jinhen hukumaton ka shauq hai
fun dilon ko jeetne ka seekh len
maskhar na hosakegi jungon say ye
ajab hai ye dil ki zameen
koi pyaar say rakhde qadam
uske liye bich jaayegi wahin
ye nishaniyaan hain wahi
jub hoga koi kisi ka nahi
log apne saayon say khauf khayenge
tanha haath malte rah jaayenge
kar haqeeqat ka apni saamna
siwa rab ke kisi say na maangna
saath ho ya halaath hon
her surat may usi ko thaamna
pukaar aur arsh-e-anbareen
dono ka faasla hai bas ek jabeen
ye daur khud ko dohrayega
her daur paayega phir ek mubeen

Saturday, February 23, 2013

vo zindgi jo kabhi mujh may...............




zindagi jo kabhi mujh may hua karti thi
ab  door khadi mujh  pe hansa  karti hai
shaakh say gul aur chaman say bulbul ka
ek haseen  tallukh  yehi tou hua karti hai
kaha maujh ko tufan ne thama kar kashti
dekh le ye kis ki marzi pe chala karti hai
bayabaanon ko bhala kya ghum tanhai ka
zindagi in say hi apne israr kaha karti hai
waqt aur hasti ka sabab tha maalum kise
zindgi ek sarphire ka khwab jiya karti hai
ghaafil  taayer ki udaan  pal do pal hi sahi
isi perwaaz ka naam zindagi hua karti hai

Friday, February 22, 2013

Aye mera chehra badalne waalo.............




Aye mera chehra badalne waalo
ye haqeeqat tum per bhi raqam hogi
meri teeson ka lutf uthaane waalo
kasak in ki tum per bhi na kum hogi
koi hasrath na reh jaaye tumhari pyaasi
waada hai her waar pe gerdan khum hogi
mujh say mayus na ho lahu maangne waalo
mere rag-e-jaan may ye amad kisi dum hogi
bekal hain dekh asaar junun ke saarey
teri khamoshi deewanon pe sitam hogi
na sahi mujh say koi roghbat tum ko
meri roghbat phir bhi na kum hogi

Thursday, February 14, 2013

is dubti shaam ko phir se dakh...................



is dubti shaam ko phir se dekh
bharosa hai teri amad ka
sab sojaate hain odh ke raat ki ye chadar
per ye shab bhar jaaga karti hai
gar mai sogaii tou phir shayed
us say kabhi mil na sakun
us say milna kitna zaruri hai
us say mil kar keh na sakun
her shab guman yehi hota hai
kya kabhi vo bhi kahin sota hai
shayed meri bojhal ankhon ne
uski palkon ko hawa dedi ho
kahin koi halki si jhapki
uske hosh kabhi le doobi ho
tabhi vo mujh ko bhul gaya
usey subah-e-nau ka na hosh raha
vo deewanon ki majlis may
ek deewane ko feramosh kar hi gaya
khair uske kaam hazaron hain
unme ek aur furqat ka maare ka hona kya
kya hua gar usko na yaad raha
is shaam ko roz hi aana hai
 tujh say ek roz gale mil jaana hai
tu laakh chupa le mukh apna
us naqab ko ekdin gir jaana hai

Monday, February 11, 2013

kya hun mai uski nigah may...........





Mai rehti hun her waqt jiski panah may
Sochti hun kya hun mai uski nigah may
Gar sawal uthega meri ulfat ki wafa per
Kya  karta  gar hota vo meri jagah  may
Phailaaye hain usi ne ye zeest ke jhagde
Warna kya hota koi aur qissa-e-jafa may
Bheja hai mohabat farishton ko sikhayen
Beshak ye bhi hai  ibadat  teri nigah  may
Ek qatra-e-neesaan ko banaye jo gauhar
Poshida  hai  vo jauhar  rab ki  raza  may
Hai marghub tere karam ko 'Aah"azal  say
banta hai dawa derd ki bandey ki dua may