Search This Blog

Wednesday, November 25, 2009

Tu Hi Mera Ghurur Hai

ye raat ka fusun hai ke
Udaas shaam ka qusur hai
Ye dil ki baat hai dilruba
Kahin tera khayal zarur hai
Tu moqam hai mai haal hun
Mera kaif tera shaoor hai
Mai abhi mahu-e-khayaal hun
Tu saheb-e-huzur hai
Mai ek bhatakti shama
Tu dayaar-e-noor hai
Meri roshnion ka raaz tu
Tere dam se mera zahur hai
sab ne bas dekha tujhey
Duniya ka ye hi dastoor hai
Najaane kyon hai yaqeen
Tere bhes may koi aur hai
Haala hun mai hai chaand tu
Tu hi mera ghurur hai

Tuesday, November 24, 2009

Nasib karde...................


Ab tou nasib karde tera dayaar bhi
Jaanti hun rehta hai tu is paar bhi
bhatkta hai maqsud manzil se pehle
Laazim hai khud ko kare sangsar bhi
beshak wahi hai her taareef ke qaabil
Usey marghub hai bande ki takrar bhi
Azal se insaan ne insanon ki,ki tijarat
Aao karen aam admiyet ka karobar bhi
Mehbub hi,mohabbat hai haqeeqat hai
mohabat jahaan,wahin jalwa-e-yaar bhi
kahan samjha hai koi khilafat ki zarurat
afu ke aage kya hain tegh-o-talwar bhi
khahish-e-qurb hi gar wahed ho tamanna
Haazri se pehle karo khud ko tayaar bhi
Vo chahe tou mushkilon ko karde masiha
Sar-nigun hojaayen pal may aghyaar bhi
Taghayur-e-qalb se haasil ummid hogaii
Ab shaamil-e-haal hai raza-e-yaar bhi

Monday, November 23, 2009

Ab kis liye hijaab hai


Subah sa ek khayaal hai
Shaam mahaz khwaab hai
Raat jaise koii saraab hai
Zindgi ki gardishon may
Ab Na koii mahtaab hai
Tapish si hai chaar-su
Seenon may inqlaab hai
nazar chura rahey hain sab
Aainon se hi ijtinaab hai
Hai Na darmyaan Koii nadi
Be-patwar Kashti be-aab hai
In sozishon se puch le
Inki chahat ab bhi aftaab hai
Be-perda hogaii kiran kiran
Ab kis liye hijaab hai
hain jo sawaal be-zubaan
unhi may her jawaab hai
Tera gada-e-be-nawa per
meher-o-karam be-hisaab hai
Sar hi kya dar per tere
Anmol ek ek gulaab hai

Wednesday, November 18, 2009

Kabhi tou khud ko Araam de


Mere dost mere humnawa
Aaj derd saarey bhul jaa
Kabhi tou khud ko araam de
Kabhi tou le furqaton ka maza
Ye subahen teri kyon udaas hain
Inki Bechainion ko kar widaa
Pal pal tujh per ye azaab kya
Ye raaten hain ke maatam-kada
Ye kisi aur ke khwab hain
Her aah may kis ki hai iltija
Aaj bhi wahi gharz hai hukmaran
khudgharz se kabhi na dil laga
kahaan koii samjh paaya hai ye
ulfat ka jahaan se kya waasta
hum aam, zindgaani apni aam si
tujh se khaas ka khaas hai martaba
khahishon ka basher ghulaam hai
teri saadgi se usey hai gila
musibaten bhi deti hain sakun
mohabbaton may jub hota hai khuda
na badal sakega tu mosamon ka mizaj
in may azal se admi ki hai ada
ye zakhm nahi,hain tamgha-e-wafa
her qatra lahu ka ban gaya hai dua
tu akela nahi derd ke is safar may
tere hamraah ek carvaan-e-ulfat hua

Monday, November 9, 2009

Mere Dost Sun



Mere Dost sun
zindgi chahati hai kya
Tujh sa ek rahbar
Tujh sa koii dilruba
Derd gar tu ban gaya
Phir kaun derd ki dava
Mere derd jub jub mile
Teri udasion se humnasheen
Derd saare apne bhul kar
Maine maangi tere liye dua
Koii tamanna gar zid kare
Koii aarzu gar machal uthey
Yaad karna, mere shab-o-roz,
Hasrathon ka na dam ghutey
Chund roz zindgi hai chaman
Kaif tanhaii ,seher hai sukhan
Apne saathi wahi ranj-o-alam
Kahaan tanha hain derd aur hum
zindgi amanath hai kisi aur ki
Aa Ummid ban jayen naye daur ki
Adaab-e-bandgi bas yehi kahe
Bandon se ulfat bandgi rahe

Friday, November 6, 2009

Mere Khuda


Mere khuda rehna sada
Hum per yon hi meherban
be-aasraon ka mere khuda
tere siwa kaun hai saaybaan
Mere shab-o-roz they eksaan
Khaali jism be-rooh neem jaan
Meri himmaton ka badha carvan
Mere hauslon may hogaya tu rawaan
Mera her azm hogaya phir jawaan
kis aah ka jaane vo jawab tha

Unke aastaan may tu be-hijaab tha
Ye tera karam nahi tou kya
Jahaan khwaja mile,mile Mustafa
Had-e-inayet mil jaaye jub khuda
Mera sar aur teri zameen
Teri mohabbat sab se haseen
Mere khuda tu kahaan nahin
Mere derd may mere chain may
Tu la-makaan, qaab-o-qausain may
Her basher tera jalwanumaa
Gar tu nahi tou hum kahaan
Tu hi wahed adam ki panaah
Tu hi donon aalam ki hamd-o-sanaa