Search This Blog

Wednesday, June 26, 2013

khwab si us jheel per aksar......................




inhi baharon ke saaye may
kabhi koi matwala
apni berang duniya ko
aksar abaad karta tha
khwab si us jheel per aksar
apne khwab bunta tha
shadab shajar ke pehlu say lag kar
uski suprudgi may kho kar
apni mayusiyon per ro kar
vo khud ko bhalaya karta tha
daali daali jhuk kar ye kehti thi
deewane tera koi ho na ho 
mai tere dastaras may rehti thi
mujhe chu kar ehsaas tere saare
sandali hojaaya karte they
makhmali sabz nazare kehte they
hum sada teri ankhon may rehte they
tune jub dekha khwab hi dekha
ek nazar nawaz ki nazar say mil kar
phir teri nazar ne kya kya nahi dekha

Thursday, June 13, 2013

ye buundein............






baarish ki ye bunden
jaane konsa raag sunati hain
ye chum chum karta paani
jaane kis ke ghar say laati hain
ye shor machaate bheege payd
kehte hain ye tou purane saathi hain
ye pyaasi dharti say mil kar
ek naii mehak de jaati hain
in nhanni munni bundon say
humko pyaar bada hai laikin
jub ye milti hain num ankhon say
apna akaar bada kar jaati hain
aksar ye sawan ki raaten
in bundon ke sang beh jaati hain
koi dil pyaasa hai in bundon ka
kabhi ye pyaasi reh jaati hain
khaali ankhon may ye bunden
koi khwab puraana laati hain
aye kaash in bundon ke sang
kisi ko yaad hamari aati ho
baarish ki is tip tip say
koi baat hamaari sataati ho
maana ke tum badal ho hum mitti
ye baarish haq hamara yaad dilaati ho