Search This Blog

Monday, June 15, 2009

Kahin koi gul nahi hai


Ajab hai ye mosam
Kahin koi gul nahi hai
Na kahin koi koyel
Bahaar se mil rahi hai
hai sakut be-sabaati
hai shor be-hijaabi
hai Hersu khana kharabi
Ab zad pe sitam ke
Tegh hain pareshaan
Ab shaanon pe unke
Sar lamhon ke mehmaan
Yehan her koi khuda hai
Kaun rahega baaqi
Inhi ke haath faisla hai
Hairathon se keh do
Ye bhi karbala hai
Aal-e-karam se qaayem
Sunnaton ka silsila hai
Junnat khushi nahi hai
Insaniyet ki khatir
haar may chupi hai
ilzaam lo apne sar pe
parcham wafa ke
lehrao apne ghar pe
ab na jhukenge
ye ghair ke dar pe
ye zameen se asman tak
saara mera watan hai
her pyaar karne waala
mera hum-watan hai
kaisi ye jung chidi hai
mohabbat sab se badi hai
zindgani ghadi do ghadi hai
thaam lo girte hauslon ko
samet lo bikharte palon ko
in may apne rang bhardo
javidaan mohabbat apni kardo

No comments:

Post a Comment