in sunnaton say sadiyon ka
umr ki in kadion say hai koi
jaise uljha hua koi rishta
aakhir bikhar kyon nahi jaata
ye perda gir kyon nahi jaata
ye mosam teher kyon nahi jaata
ye sauda uter kyon nahi jaata
un kaali siyaah aankhon ka
seher guzar kyon nahi jaata
koi sach khud bol uth-ta hai
koi aahaton may roz milta hai
aksar raaton may neendon say
koii saaya aa aa ke kehta hai
mai jaagun aur rooh sojaaye
lamha vasal ka na kho jaaye
kya kahin yon bhi hota hai
ye wahi mode hai wahi manzar
ye door aankhon say nahi jaata
ye gul mehkta hai nahi khilta
ye kisi mosam say nahi jaata

7 comments:
Aaj Khayal aya ke "Khayaal"se guzrey hum !
:)
bahut khoob ....guzrey bhi tou kub...jub ke khayaal khud guzarne waale hain..shukriya waise..
रेहाना जी, ये सदियों के सन्नाटें , वक्ती कोलाहलों से नहीं जाते .....रिश्ते रेत की तरह होते हैं मोहब्बत की नमी जब तक बनी रहे तो जमे रहे .........खुश्क हो तो हाथ से फिसल गए ...... जब तक दिलों में दरक गहरी न हो ...कोई रिश्ता नहीं बिखरता .....
"वक़्त की इनायत ही रही है 'तल्ख़ 'पे
की खामोश तरानों से अब मेरा याराना है ,
जो चमन आबाद थे कभी आज़ाद परिंदों से !
वो वीरान आज मुर्दा जिस्मों की नींदगाह हैं !!"
खुश रहें...
kyon ji ...
dar o deewar bandh ho rahey hai ? makeen makaan chor raha hai ?
kya maajra hai ..?
apko yaad na aaye ...na sahi
hum apni yaad dilwaney to aajatey hai
Dixit ji
mohabbat ki numi phisalti ret ko jamaaye rakhe bhi tou kaise...jub ke bandh muthi bhi usey rok nahi paati...khair jo bhi waqt ke daman may apne liye hoga vo mil ke hi rahega...so sochna kya jo bhi hoga dekha jaayega...
shukriya ...
ye makeen tou aisey hain ke makaan say bhi bekhabar kiye de rahe hain...so chodna chudaana kaisa jee...
aap ne yaad kiya tou samjhiye ke hamaari hi yaad ka jawaab hai...
khush rahen khush rakhen...
Post a Comment