Search This Blog

Saturday, November 26, 2011

Meri Maa


haan maa tu ne hi mujhe haan
kaanton pe chalna sikhaya tha
uljhi huii duniya may sulajhne ka
hausla tujh say hi tou paaya tha
teri ek ungli ka sahaara le kar
thokron say khud ko bachaya tha
aye maa ,teri kasoti ban kar
maine tujhe  kitna sataya tha
umr hawadis halaath ke tufan say
tere anchal ne mujh ko bachaya tha
tu mujhe ek pal ko nahi bhuli
meri khatir khud ko bhulaya tha
aaj maa daman hai tera khaali
tera gulshan hi tera sarmaya tha
udd gaye hathon say tere tottey
jinhen tune udna sikhaaya tha
aaj un aankhon may hain ansu
jinhon ne kabhi tujh ko rulaya tha
dekh kya marzi hai mere rab ki
kahan tujh say mujh ko milaya tha
barson baad tere gale say lag kar
Maa jaane kya kya yaad aaya tha

No comments:

Post a Comment