vo awaaz de na khayaal ko..
vo awaaz de na khayaal ko
haqeeqaton ka jisey shaoor ho
usey gharz kya jahan ki bheed say
jo asmaanon may mashoor ho
tu pukaarta hai jisey hai yehin
vo koi bharam nahi ke door ho
mohabbat hai ek khamosh ada
zaruri nahi ke waan shore ho
tu jaanta hai,nahi pehechanta
Aaina ban,ke usey ghurur ho
2 comments:
रेहाना जी, "आसमानों में मशहूर वही शख्स होता है जिसके ख्याल , हकीक़त में बदल जाते हैं.........
"दुनिया की इस भीड़ में
फ़क़त एक चेहरा हूँ मैं ,
मुझे यूं ना तलाश कर ,
ऐ मेरे खैरख्वाह !
कि किसी दिल के ,
जलते अरमानों का
एक सेहरा हूँ मैं !!"
vo ek chehra
kabhi nazar may nahi tehra
kyonki
uska khayaal hi payaam hai...
sehraaon ko jis say nakhal mile
vo chehron ka mohtaj hi nahi....
Post a Comment