Search This Blog

Tuesday, January 7, 2014

ehsaas ke dareeche ................





ehsaas ke dareeche 
bandh kyon pade hain
sehen-e-arzoo bhi 
kyon hai soona soona
jub moqabal hasraten hain
phir dil betaab kyon nahi hai
mosam ki aab-o-taab hairan
ye kis dil say mil gaye hain
jo  kabhi bahaar khud tha
jo khud chaman chaman tha
jiska her lafz lailawi tha
jo tha ishq ba mujasam
jis ka khayaal junun-e-majnun
thi jiski chasm naveed-e-mahtaab
jis ka sukhan they
baad-e-seher ke naghmath
uske azam-o-ahad ko kya hua hai
jo rang shola-o-shabnumi they
jo waqt say mayus na kabhi they
taqdeer thi jiski nishaat tabayee 
dilgiron ke halqe may kyon khada hai
ye libaas matami say
uske aaj per kyon chade hain
vo haseen kal, dost ban kar
shaayed kal hi may kho gaya hai
vo khuslibaas dil ka mosam
kyon taar taar hogaya hai
akhir ye bijli kya yehin giri thi
ya phir ye bhi ek rahbari thi
ke waqt aur mosam 
dil na badal sakenge
ye daur chahe badlen
hum na badal sakenge
mohabbat ki lori ehsas ko suna kar
yaadon ko apni haseen maazi bana kar
her zakhm rab ka tohfa kahenge
kahin koi gul kabhi to khila tha
kahin koi nadiya hum say bhi aa mili thi
jiski hasrath may khayalon ko sanwara
do qadam per dil ki vo gali thi
bas itna sa hum ko gila hai
jub bhi mila vo,ghair ban ke mila hai
anjam derd ka beshak bhala hai
rab kay ishq ka ye bhi ek silsila hai

No comments:

Post a Comment