Search This Blog

Monday, September 1, 2014

ek rang mohabbat ka........


Kal
------
in khilti kaliyon se
tere lub badey pyaarey they
is shafaq ki laali ne
tere rukhsar sanwarey they
un nhanni ankhon may
maano chaand sitaarey they
jaisey phoolon se goondha tha tu
tujh se chaman ke waare nyaare they
tha ek noor ka paikar tu
tujh may qudrat ke ishaare they
ek tabbasum ne tere mujh se
chin liye ghum saarey they
aah tujhe seene se laga kar hum
bhul gaye apne galiyaarey hey
tu mila ek saaz naya ban kar
hum sadiyon se soz ke maarey they
tu israar tha rab ka jaan meri
her pal hum khud ko haarey they
tha tera lams khuda ki qurbat 
tujh may uske jalwey saarey they
taa-umr maangi thi jo dua humne
tum meri ummid se pyaarey they
apni ulfat bheji rab ne tum may
saarey rang uske badey nyaarey they


Aaj
----
Ummid ka her mosam
tere lafzon ne jala daala
dil-e-maadar jo qila tha kal
usey ek pal may hila daala
kal jaise koi nahi aaya
aaj may us kal ko sula daala
is tu tu mai ki jang puraani se
her ehsaas ko zang laga daala
kub vo ehsaas huye zaayel
is daur ne saayel unko bana daala
kya waqt us kal ko mitaata hai
ya insaan ne usko mita daala
aaj ka her pehlu kal se jooda hai gar
phir us kal se kisne tujhko kata daala
ek asaan zubaan hai maa tere ulfat ki
tere lahu se tune ek dil bana daala
vo jism bhi tera hai vo dil bhi hai tera
ye kisne hukumat ka sikka bitha daala
yehan daur badalte hain aur hukumat bhi
dekh rang mohabbat ka kitnon ko saja daala

No comments:

Post a Comment