Search This Blog

Tuesday, August 4, 2015

roz ek taqaza karte ho.................





roz ek taqaza karte ho
roz dawa ki zid karte ho
per marz apna hai nayaab
her roz hai roz-e-hisaab
jub dil shikwa karne lagta hai
ek aaina ankhon may khulta hai
dekh aye baatin tere sitam
rooh ko diye hain tune zakham
kaash jawani hoti na ghum
kaash ye bachpan jaata thum
aane ko mod sunehere bhi aaye
mosam malhar darbaari bhi gaaye
panchi sa dil gaaye haaye vaaye
pal may phir wahi haaye haaye
koi kahan baandh saka lamhon ko
jub dil ne par they apne phailaaye
ek jast ki bas doori thi
hum hote aur unke saaye
taaron se bhi baatein hoti theen
chaand se mulaqatein hoti theen
badal door se lalchaate they
ek ek buund ko tarsaate they
rahbar dil dhona chahta tha
so roz lahu rulaata tha
ek roz qayamat se bhi mile
us lamha saare armaan jale
bhasam huye khahison ke marz
usne yaad dilaaye ulfat ke farz
usne hans hans kar ye samjhaya
bas ek raaz hi apne haath aaya
sabar ka phal meetha ho na ho
ezaaz zabt ka wahi kehlaaya
ek jahaan ki hasrath may
dono jahaan se jaaoge
gar khud ko samajh jaaoge
dono jahaan khud may paaoge

No comments:

Post a Comment