Search This Blog

Saturday, February 25, 2017

ye lafz hain gulaab ..............





ye lafz hain gulaab 
inhein tou hai mehekna
ye lafz lafz hain kitaab
inhein kahin tou hai bikherna
shola-e-dil hain ye janaab
inhein kabhi tou hai dahakna
ye shauq-e-hijr ke hain chanaab
inhein kabhi tou hai bhiparna
humne chaha kabhi na chalkein
vo chahta hai paaniyon may uterna
gar ankh uth gaii ye num num
kahin aab-doz kashtiyon ka 
mushkil na hojaaye chalna
patwar bane huye hain kab se
jin ka khud mushkil hai sanmbhalna
muntazar ek soch ka hausla hai
kabhi tou mujh ko us paar hai uterna
badha ke dekho kabhi qadam ye
agle qadam pe taye hai uska milna
kyon lagta hai waqt ruk gaya hai
ya zameen bhul gaii hai sarakna
ye kon baagein meri sanbhalta hai
mushkil hai hadon may iradon ka teherna
mohabbat waqi ek kashmakash hai
Is palde ko hai lazim  dono taraf hi jhukna
humein ye zamaana phunk na sakega
humein aata hai mohabbaton may jalna bujhna 

No comments:

Post a Comment