hai gar ishq khata ka pehalu tere pehalu ki zarurat kya hai maana ke aur bhi ghum hain phir derd-e-mohabbat kya hai hain ek zeest ke jhagde kitne aye dil ek aur musibat kya hai lutne waaley ne kahan ye dekha akhir in halaath ki surat kya hai tere mana ke hain lakhon chehre bata is chehre ki muddat kya hai waqt tere andaaz bade hain qatil akhir ek shaam ki qeemat kya hai
mai abhi talak hun nind main koi mere hosh ki dawa tou ho mujhe jagaye koi khumar say mera nasha kabhi hawa tou ho ye zarb kaari mujh say kahey kabhi ghum-e-dil sawa tou ho patharon tale bhi milte hain dil koii taalib-e-humnawa tou ho teher ek aur ilzaam le apne sar ishq ka ye chalan rawa tou ho
namaaz ho tou bilaal ki ishq ho tou bilaal ka jahan aai dil say sada haq mebhub ka ada hua koi dhundta hai simt waqt kahin chahiye jaa-e-namaaz iztarar ki yehi ek dawa her waqt ba-haq khuda ishq ka koi paikar nahi ishq saraapa jamaal hai kamaal khud ho sarba sajood vo rang hai bilaal ka ishq muntaqal hua ishq say hum-ahang hogaye rahbar araam paagayeen saubaten bilaal hogaye ishq-e-khuda rang nasal ki haqeeqat yehi khuda say admi juda nahi wahi hai uska martaba ishq adam ishq hai khuda
soch ke taanon baanon may uljha uljha sa ek rishta hai kabhi khayalon ki galiyon may kabhi gumsum si dhadkan may aksar doobte mayus jazbon may chupke say aakar mil jaata hai thamti nabz ko thaam ke aksar kehta hai tu jism mahaz hai mai tere lahu ki gardish hun tera ishq agar ibaadat hai tere ishq ki mai parastish hun