us chaand ko lag gaya girahan roshnion ko jis pe etbaar tha un taaron ka nasib kho gaya chaand ko jin say pyaar tha tamaam shab tha jo mahu-e-raqs vo bas ek pal ka khumaar tha kahin tou khatam hota ye silsila ye wahi sadion purana intizar tha dekh chaak chilmanon ki oat say wahi wahashaton ka talabgaar tha dil ne samjha jisey daana hakeem vo bechara khud bhi beemaar tha koi raah dhundta hai,manzil koi carvan-e-safar ka yehi qaraar tha rahbari chaand ko bhi maqsud thi uski yehi thi dua,yehi israar tha
tujhe khabar hai meri zindgi mujhe khabar teri mili nahi teri nazar may mai sada rahi mujh may hi mai tujhe mili teri soch may mai chupi rahi tera zikr hi meri zubaan hui ye zindgi tujh say hui zindgi be-sabaat hi sahi tu hai meri tujhe bhul jaaun mumkin nahi tu hi mera gurur meri bandagi tera saath hai khizar-e-hayath mere saath thi do qadam sahi