Maine phir aaj tumhen dekha maine aaj phir say tumhen chaha jaisey koi khayaal rubaru hojaaye jaisey koi aks hubahu nazar aaye aisey tumsa koi jub saamne aajaye kaash phir say koi khwab hojaaye mai us lamhe ku giraft may le lun tumhen ek baar nazar say chu lun kisi pal mujhe bhi hosh aajaaye jub saamne tumsa koi aajaaye vo ghadi yaqeen ki surat le le pehchaan ke saaye usko tatole dum bhar ku ujaala hojaaye jub saamne tumsa koi aajaaye ek yehi rishta nibha hai hum say ye dil kub chupa hai tum say ye ek dum say tumhara aana ek nazar-e-karam ka mil jaana sau darr shifa ke kholey ek nazar tumhaari jub boley mere derd door huye ab saare ek tumhaari uns ke aagey sab haarey mai ne haar ke sab jug paaya tumhen paana hi mujhe raas aaya mai mamnun hun ulfat teri tune laaj ulfat ki rakhi hai meri jub bhi koi ghum nay mujhe sataaya tu ek naye roop may saamne aaya tu le jaata hai mujh say mujh ko her dum mai paas rakhungi tujh ko
ye tere karam ki intiha hai regzaron may gul khila hai teri meher nahi tou kya hai ab ke Rida ban ke tu mila hai jahaan boye khaar zindgi ne usi chaman ka tu silsila hai naukheez titliyon ke paron sa ajab gudaz tujh may ghula hai masumiyet teri karti hai baaten ek khamosh derd ka tu sila hai tu sar hai sajda hai bandagi hai maa ko rutba tujh say mila hai qudrat ka tu anmol hai khazina tujh say raaz zindgi ka khula hai tu hai wada bihisht ka meri jaan jo dil rab ki raah per chala hai
ye jo ruka hua carvan hai khud manzilon ka nishan hai jahan chahun ho ulfaton ki wahi uska naya makaan hai barha sehra ne us say poocha ye kya tere mere darmyan hai jaise ufaq vasal ka hai dhoka mera teherna tera gumaan hai nakhal jusatju ka hi hai haasil sarab ye jahan ya vo jahan hai ab pyaas koi nahi hai baaqi her qatre may kausar ayan hai tune kaha hai tu sab jaanta hai phir kis liye tu badguman hai ye ret ka safar hai na rukega qadmon ko iski khabar kahan hai