shaayed kabhi usey,ye patta na chal sake hum kahan is shaayed ki zad say nikal sake uski talaash aur apni justaju,kabhi na mil sake mokhtar bekason ki duaon may na dhal sake deewane kahan deewanon ko deewana kar sake na koi aah hi nikal saki,na hi dil machal sake kya daana-e-waqt ghafil ko hoshiyaar kar sake kahan hai mauj vo, jo seenon may ubal sake nabz azma-e-waqt ,na hi koi tadbeer kar sake na mere haatim ghareeb ki,taqdeer badal sake ek shoreedasar ki dastaan mukamal na kar sake tumsa shaayed hi meherban koi humko mil sake
vo lau jo jul gaii phir kabhi na bujh saki vo saza jo mil gaii phir kabhi na tul saki vo nazar jo mil gaii phir nazar say na mil saki vo dil may jo chub gaii phir dil say na nikal sakii vo raah jo muud gaii phir kahin na chal saki vo shaam jo guzar gaii phir humko na mil saki
kisi ko tashnagi gawara kisi ko jaam ki talab hai yehan her dil mokhtalif hai aur her arzoo alag hai kisi ko chah hai manzilon ki kisi ko safar ki umang hai kahin dasht zindagi hai kahin zindagi malang hai kahin ummid her sawera kahin mayusion ki jung hai kahin sawal ki hai hasrath kahin sawal khud say tang hai kahin serd jaan muntazar hai kahin shola nawa dabang hai kahin maqsood rahnuma hai kahin raahbar uske sang hai