kahan samjhe they hum tum ko jub tak khud ko na they samjhe her subah ek sitar le ke aati hai is adhurepan per ungli uthati hai kya yehi adhura vo armaan tha kya itna hi us junun ka tufaan tha kya do lafzon ki tishna khumari thi kya ek shaam ki anmit beqarari thi vo mulaqat tamam umr ki tayari thi chehra perda raha her tabasum ka dil shahid raha ujalon ke mosam ka vo mehfuz hai ban ke noor baatin ka vo mullah ashna hai saahil saakin ka udasi se mehek milne lagi gulabon ki jaise ashnaii ho maye se kharabon ki ek buund ki tamanna bhala usko kya ho jisne chaadar uthaali ho tere hijabon ki
koi benaam si uljhan hai koi ansuni si hai bechaini jahan bichda tha dil apna bichad gaii thi zindgi apni koi palkon pe tehra hai koi paniyon may utra hai kehne ko ujala sawera hai ujalon may bhi andhera hai bahanon say dil ye tuta hai fasanon ka saath chuta hai haqeeqat ne humko luta hai khamoshi bas ek mukhota hai kinaare sada apni jagah per hain maujen khush apni fatah per hain aur gardab bhi apni jafa per hain bas doobne waaale sitah per hain
roz naya tamasha hai roz naya hai pagalpan roz wahi hai dil azaari roz sadayen deta mun roz mujhe behlata hai roz uthata hai chilman roz bike hai be-wiqat roz sauda hai ye jeevan roz nazar churayen ansu roz barasta bihter sawan roz paheli kyon lagta hai roz wahi dhundla darpan roz phir taaza hota ghum roz sajti khayaali dulhan roz sataati hai khamoshi roz pukaare tujh ko mun