zindagi khafa khafa si hai akhir meri khata kya hai mili hai kisi aur ki ban kar bata de ab ke saza kya hai israar ka haq tou zaahir hai justaju may phir maza kya hai ghum-e-hijr ummid ka pehlu bata tera ab muddua kya hai khayal aakhir khayal hi tehre aakhir in say chupa kya hai nesti ka gawah hai abad tera admi mitti ke siwa kya hai ye daau ye pech ye karam saazi aakhir is daam may rakha kya hai maqsad zuban ka hai jigar-saazi aye nadan tujhe ye hua kya hai sarsarati khamoshi se poocha hai waqt ke perde may chupa kya hai arsh aur farsh ka darmyan ghadi koi kehti hai maang le teri dua kya hai
maine abhi thama tha qalam maine uthaya tha ek qadam maine jana hi nahi kya hai sitam maine abhi dekhe hi na they ghum maine abhi paaye they na zakham maine khaii thi khud se ek qasam kabhi bazar apna na sajaungi mai meri hasrathon ki boli na lagaungi mai mera moqadar mere sarkar ki paa-e-khaak wahi raah-e-mehbub jaanan apnaungi mai meri fatah hogi dilon ki tashkeeri meri zubaan hogi mulukgeeri meri bihisht teri nishst may paaungi mai mai na jaanti thi duniya kya hai yehan soch ki manzil ka taqaza kya hai haayel waqt ka her dar giraungi mai log mita kar mit jaate hain farq dilon ka mitaungi mai meri yaas ko meri kamzori na jaan wahin mili thi mujhe meri jaa-e-amaan wahin baab-e-awal se mulaqat hui us ka unwan khud ko banaungi mai meri pukar may rang usi ke they her rang may mai uski hi thi jaisi bhi hun uski khelaungi mai
Vo kehta raha Mai sunti rahi Is taane baane se Khayaal bunti rahi Zindagi ki ote se Khwab chunti rahi Talkhiyon ke tezab se Koii maye banti rahi Kahin koi gulabi shaam Tere khayal ki dhalti rahi Her subah tere naam ki Apni ankh malti rahi saath hai vo saaya sa Bas mulaqat talti rahi Naye saal ki tarang se Ek umang behelti rahi