Search This Blog

Monday, January 11, 2016

dono jahan arzu ke siwa kya hain........................






jub khud may tujhe bolte dekha
usi lamhe ko humne sawa jaana
khwab junnat ka vo kyon dekhe
mil gaya ho jise tera veeraana
dono jahan arzu ke siwa kya hain
kisi ke liye kisi ko chod kar jaana
mulaqat haq se yon  roz hoti hai
jub jub pada hai thokarein khana
laakh hikmat sahi,zahur adam ka
asan nahi duniya ko jhayl kar jaana
waqt thoda hai sabaq hain beheterey (kaii)
kar diya chund lafzon ne aqal se begana
kan kan may jub namud hai us ka
bura kya hai duniya se dil ka lag jana
kaash kabhi hum per vo alam bhi aaye
tu saamne ho ,hosh may bhi ho deewana

Friday, January 1, 2016

Ek taara...........






ek taara teri tarha
roz ankh micholi karta hai
kon in siyaah khaali raaton may
khud ko tatola karta hai
asmaan ki taraf nazar uth jaaye tou
vo taara paas bulaaya karta hai
ek shoghal hai jaari baala baala hi
hawaon per kub koi tehra karta hai
ankhon may khinch kar surkh doriyan
kisi ke ashk dobaala karta hai
ye veeraani ankhon ki kehti hai
ke vo khwaab churaya karta hai
kya ye lafz tera dil paa jaayenge
phir goyaii se kyon darta hai
maan le baat purane waqton ki
zakaat-e-ishq koi koi hi liya karta hai
hain saare bakhedey tujhi se husn-parast
tu her nazar may khud ko dhunda karta hai