Search This Blog

Monday, November 28, 2016

Intizar ke ye mosam







Aaj phir hum apni jadon Se aa mile hain
Rait ke is safar may taaza gul khile hain
Sadion purani dilbari ke ajib silsile hain
Sarakti hui zameen saath le kar chale hain
Ja baja dilon ke baab kitne khule hain
Khud apni zaat ke taley kaii dabe mile hain
Aaj is fusun may rang yaad ke ghuley hain
Manus Teri mehek se hum phir aa mile hain
Baad kitne dinon ke hum apne dil Ko mile hain
Teri nazar Ke nazar may kitne diye jaley hain
Pusht per Se tere saaye lafzon may dhale hain
Intizar ke mosam aaj bhi hayaat ke mashghale hain
Teri inayeton se raahaton ke darr ye khule hain
Her ek ki hansi may nishaan tere hi mile hain
Aaj bhi hum deewane wahi dil le ke chale hain


Tuesday, November 22, 2016

Adam ke dum se mai.......





koi ankh ansoo hai 
Koi masti ka naghma hai
Kahin dil sawali hai
Koi jazbon se khaali hai
Kisi ka khwab paana hai
Kisi ka muh mod jaana hai
Koi lub zabt ki nishani hai
Koi ash karti kahani hai
Gharz kis ko hai chahat ki
Kise perwa hai niyet ki
Yehan sab chut jaana hai
Koi saans gar sunaai de
Khud per roti dikhai de
Aah!kahan aagai hun mai
Adam ke dum se mai
Bojhal hun ghum se mai
Ye qaid mujh pe bhaari hai
Yehan ek jahad jaari hai
Log kehte hain zaruri hun
Magar mai unki majburi Hun
Inhein bas duniya pyaari hai
Meri to pal do pal ki yaari hai
Jaane jaan kar kyon hain anjaane
Khudara koi khud ko to pehchane
Ek dheir hai mitti ka
Ek din dheir hona hai
Jin Jin ki hasrath hai
Unhein Chod jaana hai
Paana lamhon ki kahani hai
Hona hi zindagani hai

Wednesday, November 9, 2016

Mujhe rahbari ne......




Mujhe rahbari ne 
Khaak hona sikha diya
Mujhe meri zindagi ka
Asal Matlab bata diya
Mai jahan jahan se guzri
Apna jalwa dikha diya
Mai lagi tanha Jahan bhi
Khud ko bawar Kara diya
Kaise maangti ghair se mohabbat
Tu ne khud ko sab ka bana diya
Tu Meri justaju ka haasil
Mera dil tujh ko bana diya

Mere yaqeen ko azmaane waale.....






Mere yaqeen ko azmaane waale

Kabhi mere liye khud ko azmale
-----------------------------------------
Ek dil aur saikadon fasaane

Ek shaam guzre kai zamaane
Ek dabi aag aaya tha bujhaane
Ek saaya badalta raha thikaane
Ek waada aaya tha dil nibhaane
Ek raah Lagi thi raah samjhaane
Ek arzoo lagi thi phir muskuraane
Ek dost mil gaya tha ghum sunaane
Ek lagi barson ki, lagi hai azmaane
Ek chaand laaya hai asman milaane
Ek dil aur sau khayaal hain suhaane
Ek din hongey rubaru dono mastaane