Search This Blog

Thursday, November 30, 2017

in jalte bujhte palon ko...................




zindagi ki kashti gardab may phansi hai
maajhi ki koshish, ummid ki hai nishani
in bikhre huye palon ki wahi hai kahani
waqt dhal chuka, dhali na yaad ki jawani

---------------------------------------------------

tu apni sohbaton se 
mujhe kar gaya hai roshan
is madham si roshni say
kitne charagh jal uthe hain
in jalte bujhte palon ko
fanoos ban ke mil gaye hain
lafz dil ki dahliz say nikal kar
kisi khayal may dhal gaye hain
Is sach ke siwa sab hai jhuta
ek wahi duniya badal gaye hain
shamsheer keena-perwaron ki
kya chaak kar sakegi quba ye
jise sarkar khud sil gaye hain
laakh daman raha hai khaali
taa-umar dil  raha hai sawali
naam us ke saare pal gaye hain
sadiyon say muntazar arzoo ko
ek khayal say badal gaye hain

Friday, November 10, 2017

tere khayaal gunguna kar.................




mere khayaal bhi hain hairaan, 
meri soch bhi rahi pareshan
kahan kahan tujh se milti rahi hun
tere khayaal gunguna kar
khud ko lafzon may bunti rahi hun
ahaton ko wabasta kar ke tujh say
tere qadmon se phul chunti rahi hun
meri deewangi ka teri begangi say
ek atut rishta samajhti rahi hun
kitni sarkash thi perwaaz meri
khud apne per katarti rahi hun
mere haath na aa saka jo
us daman say ankh malti rahi hun
mai samajh rahi hun is khula ko
mai na-samajh kab se rulti rahi hun
yaqeen-o-guman may ajab dilkashi hai
yaqeenan mai tujh se hi milti rahi hun