Search This Blog

Wednesday, September 24, 2025

Pyaari Ayesha .


دعا


 Shaadi Mubarak ho tumhein Ayesha aur Omar

Duavon ke Phul hain hai khushiyon ki rahguzar

Milengi Zindagi may tumhein jitni bhi fursatein

In haseen palon ko rakhna tum jod jod kar

Ye saaheb e nabz  hote hain badey mamla faham

In ki nabz kabhi na dekhna tum tatol kar 

umar ki muskurahaton say zindagi apni sanwarna 

Ek dusre ke hum qadam rahna tum dono umarbhar

Suneheri hurfon may likhey waqt tumhari daastaan 

Tum Mohabbat ek dusrey ki rakhna yunhi odh kar

Her ankh hai khushi her dil hai yehan bheega hua

Ye saare rang ley jaogi tum hum ko chod kar 

Phir bhi meri jaan maa baap ki hai arzoo yehi

Tum khushi say qadam rakho zindagi ke is naye mode per

-----------------------------------------------------------------------------

شادی  مبارک   ہو تمھیں  عایشہ  اور  عمر  

دعاؤں  کے  پھول ہیں ،ہے خوشیوں کی رہگزر  

ملینگی  تمھیں   زندگی   میں ، جتنی  بھی  فرصتیں 

ان حسین   پلوں  کو   رکھنا ،  تم   جوڑ   جوڑ   کر 

یہ  صاحب  نبض ، ہوتے  ہیں  بڑے  معاملہ فہم 

ان  کی  نبض  کبھی   نہ   دیکھنا ،  تم    ٹٹول کر

عمر  کی مسکراہٹوں  سے ،زندگی اپنی سنوارنا 

ایک  دوسرے   کے  ہم  قدم  رہنا ، تم  دونوں عمر  بھر

سنہری  حرفوں   میں  لکھے   وقت ،  تمہاری   داستان 

تم  ایک دوسرے کی محبت، یوں رکھنا اوڈھ کر 

 یہاں ہر آنکھ  ہے خوشی ، ہر  دل  ہے بھیگا ہوا 

یہ سارے رنگ لے جاؤگی ، تم ہم کو چھوڑ کر 

پھر بھی میری جان، ماں باپ کی ہے آرزو یہی 

تم خوشی سے  قدم رکھو ، زندگی  کے  اس  نئے  موڈ  پر 

Tere ankhon k paani may....






Tere ankhon k pain may

Koi    doobta ubharta hai

Vo derd ka mosam

Kahin aur bhi uterta hai

Shayed unhi bheege lamhon may

Kahin koi dil tujh ko yaad karta hai

Bahut kum dil mile hum ko

Jin ki khatir dil ye aahen Bharta hai

un gulon ka sauda baarha kiya tune

Jo Pathjhad se pehle shakhon se girta hai

In paaniyon ki zad se koi kaise nikle 

Jo    liye pyaas sehra ki , is lamhe se guzarta hai