Search This Blog

Wednesday, January 14, 2009

Haqeeqat


ek roz yon hua
khuda udaas tha
mohabbat asmaan ne ki
malayekon ne rab kaha
bhishtion ne sab kaha
phir ye tha kaunsa khula
kya chahiye takmil ke liye
kise dhundta hun mai
kya chahta hun mai
Noor ne muskura ke kaha
aaina chahta hun mai
tujhe paana chahta hun mai
khuda ko baat ye aai pasand
Noor takhliq ke liye hua razamand
Asmaan ke roub ne kaha
Rab hoga kis pe fida
Rab ko inkisaar tha pasand
Zameen se zarrat liye chund
Apne noor ko shaamil usme kiya
Yon zahur mehbub ka hua
Mohabbat naam uska rakha
Apni hi noor ka
khud deewana hua
Mohabbat azal se
Khudaaii may maujud thi
Ban kar Mehbub-e-do-jahaan
Duniya may jalwagar huii
Yon akseer-e-mohabbat
Bande ki Charagarh huii
Mehbub ki khatir
Adam aur Duniya bane
Mehbub ki khatir
Rab ne deen-o-dil chune
Mohabbat ka sila
Gar mehbub maangte
Uski rehmaton ka raaz
kaise pehchaante
Saare jalwe usi ki
Zaat ka Jamaal hain
Saari hikmaten Usi ki
wasaf ka kamal hain
Khud apne noor ko
Usne mehbub kar dia
Khud apni haqeeqat ko
Ser basajood kar dia
Samjhni ho agar
Raah-e-mohabbat tumhi
qaliq ke qurb ki
raah chunni hogi humen
tu paalega usey
apne hi amal may
Vo milta hai sab ko
mohabbat ki shakal may
Mohabbat ki haqeeqat
Bas itni hai dosto
Mohabbat bhi hai
Ek ibadat hi dosto


No comments:

Post a Comment