Search This Blog

Wednesday, January 7, 2009

Her Sher Sukhanwar Ka


Her sher sukhan-war ka
khud apna bayaan hota hai
shayer dar perda takhyul ke
kaise kaise ayaan hota hai
Her zakhm mohabbat ka
ek ghazal gumaan hota hai
Dekhiye khoon-e-jigar in ka
Kaise kaise zyaan hota hai
her shab ghum-e-yaraan,
ek derd jawaan hota hai
surat ho koi arzu ki ,
phir sher kahaan hota hai
ye saleb hai chahat ki,
shayer qatal jahan hota hai
jahan jazbon ki ho hukumat ,
wahan aur sama hota hai
dam bhar may ye perwana,
kaise kaise dhuaan hota hai
ek umr ganwa kar shaayer,
phir se jawaan hota hai

No comments:

Post a Comment