Search This Blog

Wednesday, January 14, 2009

Mohabbat


Aye zindgi
Gar unwaan tera
Mohabbat hi hota
Na duniya may aate aate
Koii zeeh rooh rota
Gar waqi tu
Khubsurat hi hoti
Raat udasion pe apne
Yon phut phut na roti
Gar tu sunehra khwab hoti
Koii ankh phir na soti
Mohabbat mohabbat
kya jaan paya hai koi
aakhir in jazbon may
rakha hai kya
ghum-e zindgi ka
ek aur nasha
ek aur maza
warna ye ilzaam
kis per lagate
khaali haat aaye
khali haath jaate
gar waqi mohabbat
hoti jahaan may
ye be-kali si na hoti
kisi dil-e-badgumaan may
kahin koii soch
fursat bhi paa le
shaayed usey mohabbat ka
ghum hi maar daale
gar ho tou musibat
na ho tou musibat
tanha raha bhi na jaaye
tanhaiion may bhi milaaye
ke inhi tanhaion ne
samjhaii mohabbat
inhi tanhaion se
ki hai mohabbat
mohabbat kya hai
ek haseen tassaur
rang is may bhare hai
khud deewana mussavar
takhliq pe khud apni
gar nazaan hoga
ye jazba mere yaar
sirf ek gumaan hoga
mai chahti hun
ek baar mujh se
mohabbat mile bhi
sirf mohabbaton ki tarha
mujhe jaan le bhi
mai jaan lungi
pehchaan lungi
mai paigham lungi
mohabbat ko paighaam dungi

No comments:

Post a Comment