Search This Blog

Sunday, December 25, 2016

Mujh ko qabul hai zindagi....

Image result for beautiful paintings

Mujh se tum ne aaj phir
Ek aur rang le liya
Vo jo etbaar tha
Zaamin tha her khushi ka jo
Zaayel zindagi se hogaya
Aah! Ye keel thi aakhiri
Muntazar tabut may meri
Meri jaan ne hi li jaan meri
Laakh chaha koi vavela na ho
Per saare sadiyon ke zakham
Aaj ek saath bilbila uthey
Aye khuda maine ye tou na chaha tha
-----------------------------------------------
mohabbat jiski dilon ka ghamaz thi
Duniya ke alam jiski ulfat ka raaz they
Tanhaiiyon ne bhi jisey toda nahi
aaj khud may bhi tanha na kaam kar gaii
Lagta hai jaise zindagi ek waham hai
Aur Her yaqeen mahaz gumaan hai 
Ek shaadab labraiz dil pal may tamaam kar gaii
Ye dastoor peechle daur ki hi meeraas tha
Aaj bhi khud Se nalaan,kal bhi badhawas tha
Waqt ki ye berukhi khud ko aam kar gaii
Kal bhi tutey they dil, be-awaz hotey they sitam
Aaj aaya hai,le ke wahi ehsaas wahi ankh num
Aah! Zindagi shaam se pehle shaam kar gaii
Kar qabul aye dil tere naseeb ki nawazishein
Kya hua gar mohabbat maat, jeet unki sazishein
Zindagi mujhe phir se apna pyaam kar gaii
Kya hua raazi nahi duniya Teri , tu ummid hai Meri
Duniya haar kar hi milti hai qurbat teri
Ye teshnagi, teshna dilon ka jaam kar gaii