abhi khayaal apni manzilon se kahan mile hain
ye tou kaaghazi gulon se, sukhey padey hain
ye udhaar ke mosamon se, udaas badey hain
apni rahguzar se, jub se janaan ye mudey hain
teri mehekti huii gali se, door jaa padey hain
aaj bhi waqt ke thapedon ke aagey khadey hain
-------------------------------------------------------------------------
kuch dair aur jhulney do
janaan khwab jhulon ko
is ufaq ki laali ko
gaalon may uterne do
in salma se sitaaron se
maang apni bharne do
in asmaani ujalon se
rang apna karne do
bedagh in jalwon ka
roop zara nikharne do
qudrat ke saare rang dhanak
khud may sanwrne do
hasrath hai jo barson ki
aaj usko haqeeqat karne do
ek inaam hai apni hasti
isey phir kabhi na girne do
No comments:
Post a Comment