Search This Blog

Wednesday, November 6, 2024

Aye kaash hum bhi..............

 


mohabbat ke liye

ek umar kaafi nahi hai

jo be lutf cut gaii   

us ki muafi nahi hai

--------------------------

khauf-o-kashmakash  may

husn waqt ka na ganwatey

aye kaash hum bhi

kabhi dil ko azmaatey

kabhi mosamon ki suntey

kabhi zindagi ki maan jaatey

kabhi  dhadkanon ki laye per

mohabbat ka geet koi gaatey

her kisi ka moqadar  

dil ki abiyaari nahi hai

her kisi ki qismat may

ye zarb kaari nahi hai

gar ghum  se yaari nahi hai

haaziri ki tayaari  nahi hai

zindagi ke naghmageen lamhe

sarmaya hain aane waale kal kay

yehi derd  baa-wafa hain aye dil

ji uthenge baar baar insay mil kay

Tuesday, September 17, 2024

Zindagi kaash tujh say mil kar....




zindagi kaash tujh se mil kar tujh ko apni arzoo bataate

tujhe jeena chahte they gar jeene ke mauaqe haath aate

-----------------------------------------------------------------------------

zindagi ab aur konsa perda uthana chahati hai

mere azam kyon khaak may milana chahati hai

mere bharam mere sukun ka wahed aasra hain

kyon meri nazron se khud ko giraana chahati hai

kal talak meri muskurahaton ka jo sabab rahe they

kyon bhent apni kasoti ki unko chadana chahati hai

humein ye rishtey badey maan se bakhshe gaye hain 

kyon tu un ke dil se meri hasti bhulana chahati hai

zindagi,kitni mushkilon se behala rakha tha tujh ko

kyon khaak hote jism-o-jaan ko aur jalaana chahati hai

akhir ek din in sanglakh junglon se muh modna hi hai

chund palon ke sarab ko kyon aina dikhana chahati hai

zindagi tujhe guzara hum ney khwab-o-khayal may hi

kyon ghurub-e-shab say pehle humko jagana chahti hai

jaane hai ye khel kaisa tulu-o-namud ki ibtida say pehle

kyon hijir ki daastaan kay panne paltaana chahati hai

chalo sar tasleem-e-khum hai jo mizaj-e-yaar may aaye

zindagi mere maula tera paigham hona chahati hai

Friday, September 13, 2024

Ek Shaam khud ko khojti hai....



ek shaam hosh dhundti hai

ek shaam khud ko khojti hai

mai akhir gaii tou kahan gaii

mere hosh ko akhir ye hua kya 

meri soch se kyon kar mahu hui

Ya-rab mere hafizey ki khair ho

tere karam may kabhi na daiyr ho

mera tere siwa yehan kon hai bhala 

gar dasht yaadon ka bhi kho gaya

gar ye sarab hasti ko nigal gaya

mujh may sab jo hai bas tu hi tu

tu hi rakhna apni haqeeqat ki abru

mai jaisi bhi hun maula hun tou teri

teri dast-e-nagar hai zaat ye meri

tu jaanta hai weheshet ki chaal say

usey bakhabar karna uske zawaal say

ke teri laathi be-awaz hai jaan le

khata se pehle taye hoti hai saza 

zara be-khata ki aahon ko pehchan le

gar arsh waaley ne sunli dil ki sada

ab bhi waqt hai baat haq ki maan le

kya kya mitaayega tu mere hafizey say 

kya nikal paungi mai tere hafizey say

mai bujh lungi  hikmat ki ye adaayein

herdum gheyrey huye hain teri panaahein

Thursday, August 29, 2024

charagh warna paani se bhi jalta hai...........

 




yarab mere shauq ki intiha karde
tere shauq ka izhar barmala karde
-------------------------------------
roz ek darr maazi ka khulta hai
mere haal ka patta aise chalta hai
zindagi ne tukdon may baant diya
ek dil kitnon ko warna milta hai
lahu teri shert kyon hai lau dene ki
charagh warna paani se bhi jalta hai
ek sheher-e-kamoshan sa baatin hai
aur zaahir roz ek rang may milta hai
ye jo bayabaan abad hai tere dum se 
yehan ab koi daur kabhi na dhalta hai

Monday, August 5, 2024

Aye Dil

 



Tujhe pesh kiya sab ne 

nok palak sanwar kar

mai ne dil rakh diya 

tere seene may utaar kar

-------------------------------------

ek zindagi mili hai vo bhi mokhtasar

jaan teri jaayegi jaan lene se peshter

barha dekha taqazon ney hoke darbadar

maangne se pehle pesh karna khoobter

----------------------------------------------------------

jub tu mil gaya aur chahat hai kya

kis liye ye raat din ki aah-o-baka

her rang may jhalke hai noor-e-khuda

maula her kasoti may tha tu hi tu poshida

shab-o-roz ki giraft may jo aa hi na saka

tujh se mila kar nazar raaz apna paa liya

ye duniya ek sitam ke siwa kuch bhi nahi

in aziyeton may bekaar apna dil na jala

amanat hai atta hai yehi hai tera martaba

khauf khaye khair-ul bashar se her shar her bala 

Thursday, June 27, 2024

Meri pehchan kehti hai...

 



meri pehchan kehti hai 
yaad rakh mujh ko
gar bhulna chahegi
na bhulne dungi tujh ko
---------------------------------


lafz apni haqeeqat dhundne lage hain
khayaal bhi ab pareshan hone lage hain
dil aur zuban apni hadein todne lage hain
khamoshiyon ko apni taraf modne lage hain
musalsal jahad ne shal kar diye jism-o-jaan bhi
ab tut-te hauslon ko awaz  hum dene lage hain
zara dum tou le lein apni himmatein juta lein
dekh zakham saare taaza dum hone lage hain
tum muskurao lutf derd ke maaron ka uthao
ye saathi puraane galey say lagne lage hain
ab daam may tumhare dil aane waala nahi hai
baad sadiyon ke hum dil apna bhulne lage hain
shore saahibo tumhare dilon ka sataane laga hai
bas hum hirasaan apne dil ko todne lage hain
kya faida gunj ka jo mehroom ho saama-aton se 
teri be-hisi ko apne dil may jodne lage hain
rasam-e-duniya hai duniya nibhaye jaa rahi hai
zindagi tere usulon say daman chudaane lage hain
kahin dil chalak kar zindagi ko sherminda na kar de
is liye apni hasti ko faramosh hum karne lage hain

Thursday, June 20, 2024

zia


Meri azeez dost ismat ke naam jin ki hasti may mujhe vo nazar aaya jo kabhi mujh se door ho na paaaya...yaane mere raahber ka saaya...

Ismat ki khushiyon may mai barabar ki shareek hun..khuda unki khushi ki umar daraaz kare..Amin..

-------------------------------------------------------

pariyon ki nagri se haseen paigham aaya hai

dil-e-muztar ko sohne rab ka salam aaya hai

-------------------------------------------------

meri jaan tujh se hi tou meri baqa ki kahani hai

tu hi mere aane waale her pal ki zufishaani hai

teri hasti ne motabar kar diya hai meri hasti ko

tu thofa khuda ka hai , khuda ki meherbaani hai

wajah zindagi ko mil gaii hai ek tere tabbasum say

teri her ada  mey daadi jaan ki unmit nishaani hai 

Tu israar hai rab ka , tu silsila hai zeest ka meri

Jaane e jahaan tujhi se mukammal meri kahani hai

Meri dua hai jhuley tu khushiyon ke jhulon may

Ek tere hi dum se is mehefil ki shaadmaani hai

-------------------------------------------------------

پریوں  کی  نگری   سے حسین    پیغام  آیا  ہے 

دلے مضطر کو سوہنے رب  کا سلام آیا ہے

----------------------------------

میری جان تجھ سے ہی تو میری بقا کی کہانی ہے 

تو ہی  میرے ہر آنے والے پل کی ضوفشانی  ہے  

تیری ہستی نے معتبر کر دیا ہے میری ہستی کو 

تو  تحفہ  خدا  کا  ہے، خدا   کی   مہربانی    ہے  

وجہ زندگی کو مل گئی  ہے ایک تیرے تبسم سے 

تیری ہر ادا میں دادی جان کی انمٹ نشانی ہے 

تو  اسرار ہے رب کا تو  سلسلہ ہے زیست کا میری    

  جانے   جہاں تجھی   سے مکمّل  میری  کہانی  ہے

   میری دعا ہے تو جھولے خوشیوں کے جھولوں میں 

ایک تیرے ہی  دم سے  اس  محفل  کی  شادمانی  ہے